Biography of Hazrat Khwaja Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Khwaja Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه

Laqab:

Qutb e zamaan, Mehboob e Jalle ula, Sartaaj e Agra.

Aap ki Wiladat:

Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ki wiladat 990 Hijri (1582 A.D.) me Narela (Delhi) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Ameer Abul Wafa bin Sayyed Abdus Salaam hai.
Aap Husaini saadaat hain.

Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ke daada Mughal baadshaah Akbar ke zamaane me Samarqand (Uzbekistan) se Hindustan aaye aur Fatehpur Sikri me muqeem hue

Aap ke bachpan me hi aap ke waalid ka wisaal ho gaya. Is ke baad aap ke naana Hazrat Khwaja Faizi ne Aap ki parwarish ki.
Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ke naana Vardhman (Bengal) ke Governor the. Un ke wisaal ke baad baadshaah Akbar ne aap ko un ki jagah par Naazim-e-Aala (Governor) banaaya.

Akbar ke baad Jahaangeer baadshaah bana tab us ne tamaam Governor ko apne darbaar me haazir hone ka farmaan bheja. Aap apni marzi na hone ke bawajood darbaar me gaye. Aap Governor ka ohada chhodna chaahte the magar Jahaangeer ne israar kiya aur Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ko apna ohada na chhodne ke liye mana liya.

Ek baar Hazrat Maula e kaa’inaat Ali al-Murtaza رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aap ke khwaab me tashreef laaye aur Ajmer jaakar Khwaja Moeen-ud-deen Chishti رحمة الله عليه ki baargaah se faiz haasil karne ke liye farmaaya. Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه apna tamaam maal ghareebo me khairaat karke Ajmer ki taraf rawaana hue.

Pehle aap ne Delhi jaakar Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki رحمة الله عليه ke mazaar par aur Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya رحمة الله عليه ke mazaar par haazir hokar faiz haasil kiya.

Phir Ajmer pahunchkar Khwaja Ghareeb nawaaz ke mazaar par haazir hue. Khwaja Ghareeb nawaaz Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ke saamne haazir hokar aap ko faiz o karam ata farmaaya.

Ek baar aap mazaar par tashreerf farma the ke Khwaja Ghareeb nawaaz رحمة الله عليه ne Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ko tasbeeh ke daane ke baraabar ek surkh rang ki goli ata farmai. Use khaate aap ka qalb roshan ho gaya.

Khwaja Ghareeb nawaaz رحمة الله عليه ne aap ko Agra (Akbarabad) waapas jaane ki taaqid farmai aur aap ke chacha Hazrat Sayyed Abdullāh Naqshbandi Ahraari رحمة الله عليه se bai’at karne ke liye aur un ki sohbat ikhtiyaat karne ke liye farmaaya.

Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ka nikaah Aap ke chacha aur peer Hazrat Sayyed Abdullāh Naqshbandi Ahraari رحمة الله عليه ki saahabzaadi se hua.

Ek din aap apni khaanqaah me ronak afroz the. Achaanak aap ne Ameer Noor ul Ula se farmaaya ke ‘Kuchh aisa maaloom hota hai ke Shaah Jahaan ke darbaar me is waqt khoon rezi ho rahi hai.’

Thodi hi der me shaher me khabar phail gai ke Nawaab Sadaaqat Khaan ko kisi ne Shaah Jahaan ke darbaar me qatl kar diya hai

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Abdullāh Naqshbandi Ahraari رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ne Hazrat Shaah Muhammad Daulat Firdausi Maneri رحمة الله عليه se bhi faiz haasil kiya.
Aap se tareeqat ka ‘Naqshbandi Abul Ulaai’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Ameer Noor ul Ula رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه (Kalpi),
(3) Hazrat Sayyed Dost Muhammad Burhanpuri رحمة الله عليه (Auranagabad).

Aap ka Wisaal:

Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه ka wisaal 9 Safar 1061 Hijri (February 1651 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Agra (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *