Biography of Hazrat Khwaja Mehmood Dariyai Dulha رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Khwaja Mehmood Dariyai Dulha رحمة الله عليه

Alqaab:

Mehboobullāh, Ghauṡ-e-Zamaan, Qutb-e-Aalam, Shams-ul-Aarifeen, Qudwatul Waasileen, Zubdatul Asfiya, Murshid-ul-Aalameen, Dariyai Dulha

Khwaja Mehmood Dariyai Dulha ki Wiladat:

Aap ki wilaadat 873 Hijri (1468 A.D.) me Ahmedabad (Gujarat) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Hameed-ud-deen Chaheldaah bin Qaazi Mohammad رحمة الله عليه hai. Aap Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.

Aap ki wilaadat ke baad aap ne apna ek haath apni aankho par aur dusra haath sharmgaah par rakha tha. Daaya ne bacha ladka hai ya ladki yeh dekhne ke liye aap ka haath hataana chaaha lekin woh haath waha se hata na saki. Jab Aap ko aap ki waalida ka doodh peelaane ki koshish ki to Aap ne doodh nahi piya.

Jab Aap ke waalid tashreef laaye to farmaaya “Yeh bacha muttaqi aur parhezgaar hai aur abhi se shariate Mustafa par amal karne waala hai. Aur maghrib tak yeh doodh nahi piyega, roza pura hone ke baad doodh piyega.”

Aap Hazrat Shaikh Ahmad se ta’aleem haasil kar rahe the. Ek martaba Ustaad ne kisi baat par Aap ko daanta. Raat ko Shaikh Ahmad ke khwaab me ek buzurg tashreef laaye aur farmaaya “Yeh bacha ALLĀH ka mehboob hai. Aa’inda is ka dil dukhaaya to saara ilm salb ho jaayega.”

Subah ko Shaikh Ahmad ne yeh khwaab Hazrat Khateeb Husain se bayaan kiya to unho ne farmaaya ke “Aaj se is bache ko hum ta’aleem denge.” 

Ek martaba Aap Shaikh Ahmad aur Khateeb Husain ke saath baithe the. Waha se Birpur ka Haakim ghode par sawaar hokar nikla. Use dekh kar Aap ne kaha “Is ghode sawaar haakim ke jism par sar nazar nahi aa raha hai.” Yeh sunkar Aap ke Ustaad ne khauf zadaa ho gaye.

Haakim thoda aage badha to dekha ke do shakhs aapas me lad rahe hain. Woh un dono me suleh karaane ke iraade se aage badha. Lekin jhagde ke dauraan ek aadami ki talwaar Haakim ko lag gai aur uski gardan kat gai aur jism se sar juda ho gaya.

Yeh dekhkar Ustaad Aap ko lekar aap ke waalid ke paas pahunche aur saara waaaqia sunaaya. Is ke baad Khwaja Hameed-ud-deen Chaheldaah ne khud Aap ko ta’aleem wa tarbiyat dena shuru kiya.

5 saal ki umr me Aap Haafize Qur’ān hue.

Ek martaba Aap apne waalid se sabaq le rahe the. Hazrat Khateeb Husain bhi waha maujood the. Achaanak uthkar aap maskije ke paas tashreef le gaye aur paani baha diya. Logo ne jab puchha to Aap ne farmaaya “Falaan jagah par aag lagi thi. Maine is paani se aag ko bujha diya. Ab sab khairiyat hai.”

Logo ne aap ki batai hui jagah par jaakar puchha to waha ke logo ne bataaya ke “Subah ke waqt aag lagi thi aur ek bache ne paani daalkar aag ko bujhaaya.”

894 Hijri (1489 Hijri) me Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ke farmaan par Aap ke waalid apne pariwaar ke saath Ahmedabad se Karanta ke qareeb ek pahaad ke bagal me sukoonat pazeer hue, yeh ilaaqa Birpur ke naam se mash’hoor hai.

Ahmedabad ke 2 shakhs saath milkar tijaarat karte the. Ek martaba dono Deccan ke kisi shaher me gaye. Kuchh waqt baad ek shakhs ne watan waapas jaane ka iraada kiya. Subah ko jab woh rawaana hua to dusra shakhs kuchh door tak us ke saath gaya aur zawaal ke waqt woh shakhs waapas aaya. Juda hone se pehle us ne apne saathi ko 6000 rupye diye aur us ki biwi ko dene ke liye kaha.

Jab woh shakhs watan pahuncha to us ke saathi ki biwi ne kaha “Aap akele aaye hain. Aap ke saathi kaha hain?” Us shakhs ne kaha “Hum dono bahot waqt pehle juda ho gaye hain. Khuda jaane woh kaha par hai.” Yeh sunkar woh aurat ghamgeen ho gai. Us ne sabr ke saath kuchh waqt guzaara. Lekin faaqa kashi se majboor hokar us ne apna makaan ek vyaapari ko bech diya. Woh vyaapari achha aadami tha. Us ne us aurat ko ek kamre me rehne diya.

Kuchh waqt baad us aurat ka shohar waapas aaya to us vyaapari ne aurat ko bulakar kaha “Tumhara shohar waapas aa gaya hai.” Woh aurat jab use apne kamre me le gai to shohar ne puchha “Yeh kya haal kar rakha hai? Maine mere saathi ke saath 6000 rupye bheje the us ka kya hua?” Us aurat ne rote hue kaha “Aap 12 saal ke baad waapas aaye ho aur mujh par tohmat lagaate ho?” Biwi se haqeeqat jaankar woh shakhs apne saathi ke paas gaya. Us ne jhagda karna shuru kar diya aur kehne laga “Aye logo! Mujhe bachaao. Yeh shakhs mujh par 6000 rupye ki tohmat lagaata hai.” Yeh jaghda jab adaalat me pahuncha to Qaazi ne gawaah ki maang ki. Us shakhs ne kaha “Birpur me baghair gawaah ke faisla ho sakta hai.”

Dono Ahmedabad se Birpur aaye. Kuchh bache waha khel rahe the. Khwaja Mahmood bhi paas me khade the. Aap se puchha ke “Miyan Mahmood kaha hain?” Aap ne farmaaya “Miyan Mahmood ko main nahi jaanta lekin Miskeen Mahmood se milna ho to main haazir hu. Batao kya kaam hai?” Dono ne ta’ajjub se kaha “Aap to umr me chhote hain Aap se kya batayen?” Aap ne farmaaya “Ahmedabad se ek mushkil muqadame ke silsile me aaye ho?” Phir farmaaya “Meri umr ka khayaal chhod do aur puri baat batao.” Dono ne jab saari baat batai to Aap ne farmaaya “Tumhare paas koi gawaah hai?” 

Yeh sunkar woh shakhs rone laga “Huzoor! Gawaah nahi hai isi liye aap ke paas aaye hain.” Aap jalaal me aa gaye aur farmaaya “Jis jagah amaanat di thi woh jagah yaad hai?” Us shakhs ne kaha “Ji Huzoor! Waha ek neem ka ped hai, ek kunva hai aur ek shaheed ki qabr hai. Neem ke ped ke saaye me shaheed ki qabr ke qareeb baithkar roti aur machhli khaakar amaanat di thi.” Aap ne farmaaya “Fikr mat karo, tumhare 4 gawaah hain.”

Phir Aap ne dono ko aankhe band karne ke liye farmaaya. Jab aankhen kholi to sab us maqaam par shaheed ki qabr ke paas khade the. Aap ne qabr ke paas jaakar farmaaya “Qum bi iznillāhi ta’ala.” Shaheed ne zinda hokar qabr se baahar aakar gawaahi di ke “Aye Khayaanat karne waale mard! Tu kyun 6000 rupye is ghareeb ko waapas nahi deta, Meri qabr ke paas baithkar us ne tumhe amaanat di thi.” 

Is ke baad Neem ke ped ne aur machhli ne ALLĀH ke hukm se zinda hokar gawaahi di. Kunve se bhi aawaaz aai ke “Mera paani peekar is shakhs ne ise amaanat di thi.” Hazrat ne us shakhs se farmaaya “Tum ne is ki amaanat ki raqam apne ghar me falaan jagah par gaad di hai. Waha se nikaalkar is ke haqdaar ko de do warna tumhara haath pakadkar pahaado me phenk dunga.”

Phir un ko aankhe band karwai aur jab aankhen kholi to sab Ahmedabad me us munkir ke ghar me pahunch gaye the. Us munkir ne amaanat nikaalkar us ke maalik ko de di. Phir Aap waha se rawaana hokar bache khel rahe the waha pahunch gaye.

Aap ke waalid ko ghaib se aawaaz aai “Aye Hameed-ud-deen Chaheldaah! Tumhara farzand qazaa’it aur faisle karne waala hai.” Aap jab waapas ghar aaye to Aap ke waalid ne kaha “Aao Qaazi Mahmood.” Is tarah Aap ‘Qaazi’ ke laqab se mash’hoor hue.

Aap ne 12 saal tak Birpur ke ‘Kohe Alat’ (Prem Gali pahaad) par ek ghaar me riyaazat aur mujaahida kiya. Aap apne saath 13 khajoor le gaye the jo ek moataqid ne aap ko di thi. Is dauraan Aap roza rakhte aur khajoor se iftaar karte. Aap ka nafs kamzor hokar aap ke taabe ho gaya. Is ke baad ghaib se aawaaz aai ke “Aye Mehboobullāh! Tum ne use door kar diya jo logo ko Rabb se door karta hai aur Rabb ke qareeb ho gaye.”

Is ke baad Huzoor Rasool-Allāh ﷺ Khulfa e raashideen ke saath tashreef laaye aur Aap ko Amaama aur kurta ata farmaaya aur Ghauṡiyat aur Qutbiyat ki bashaarat ata farmai. Phir Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Abdul Qaadir Jilani, Khwaja Ghareeb nawaaz aur Khwaja Badi-ud-deen Madaar Shaah ne bhi Aap ko mubarakbaad pesh ki aur faiz ata farmaaya.

Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki bashaarat ke baad 9 Safar 911 Hijri (10 June 1505 A.D.) ko Budh ke roz subah ko Aap apne waalid ke mureed hue aur un se khilaafat haasil ki.

Pariwaar:

Aap ka nikaah Bibi Fateh Malak urfe Raabia Ṡaani binte Sayyed Zain-ul-Aabideen urfe Shaikh Fareed se hua.

Aap ke 3 saahabzaade aur 5 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade:

(1) Shaah La’al Muhammad urfe Laad Mohammad,

(2) Shaah Abu Muhammad Ashraf Khan,

(3) Shaah Jamaal Muhammad.

Saahabzaadiya:

(1) Bibi Saahiba (Jin ka nikaah Hazrat Miyan Abdul Ghani se hua),

(2) Bibi Saahibe Jamaal (Jin ka nikaah Hazrat Sayyed Abdur Razaaq bin Abdul Ghafoor Ja’afari رحمة الله عليه se hua),

(3) Bibi Saahibe Daulat

(4) Chaand Bibi

(5) Bibi Amat-ul-Azeez (Jin ka nikaah Hazrat Peer Sayyed Abdul Wahaab se hua).

63 saal ki umr me Aap ne 17 sher anaaj khaaya aur 30 sher paani piya.

Gujarat ke Sultaan Muzaffar Shaah bin Mahmood Begda رحمة الله عليه Aap ke mureed aur moataqid the. Aap ki dua se baadshaah ko bahot saare qile par fateh haasil hui thi.

Baadshaah Humayun ne lashkar ke saath Gujarat par chadhaai ki to Gujarat ke sultaan Muzaffar Shaah apni peer ki baargaah me haazir hue aur hifaazat aur fateh ke liye dua karne ki arz ki. Aap ne farmaaya “Bhaaga aaye naatha jaaye.” Aap ki dua se Humayun naakaam hokar waapas chala gaya.

Khwaja Mehmood Dariyai Dulha ki Karamat:

(1) Aap ke zamaane me 84 bandar-gaah mash’hoor thi. Aap ko ALLĀH ta’ala ne samundar par tasarruf e ikhtiyaar ata farmaaya tha. Is liye ‘Daryaai Dulha’ ke laqab se mash’hoor hain.

Ek martaba Aap Birpur me majlis me maujood the. Achaanak Aap ke kurte ki aastin ko phata hua dekhkar lodo ne arz kiya “Huzoor! Aap ka naya kurta achaanak phat kaise gaya?” Aap ne farmaaya “Miyan sahib Khokhari naami ek shakhs kashti me sawaar hokar maal o saamaan ke saath Hurmuz ki bandar-gaah ki taraf jaa rahe the. 

Achaanak samundar me tufaan shuru ho gaya aur kashti bhanwar me phans gai. Us ne mujhe yaad kiya aur museebat se bachaane ke liye madad maangi. Maine waha jaakar apne kandhe ka sahaara dekar us ki kashti ko bhanwar se nikaali aur Hurmuz tak pahunchaaya.”

Kuchh dino baad Miyan sahib Khokhari Birpur me aap ki khidmat me haazir hue aur sab ko yeh pura waaqiya bayaan farmaaya.

(2) Ek martaba Aap Ahmedabad me Hazrat Shaah e aalam رحمة الله عليه ke mazaare ke qareeb baithe the. Hazrat Shaah e aalam ka zikr ho raha tha. Aap ne Shaah e aalam ke liye dehaati zabaan me ‘Manjha miyan’ lafz istemaal kiya. Ek shakhs ne aitraaz kiya. Aap kaha “Maine Hazrat ki be-adabi nahi ki hai. Hazrat ka naam lene ke bajaay maine dehaati zabaan me kaha hai.” Woh shakhs na maana. Aakhir kaar yeh tay hua ke Hazrat ke mazaar shareef par haazir hokar faisla karte hain.

Aap sab ke saath Hazrat Shaah e aalam ke mazaar par haazir hue. Hazrat Shaikh Jiyu aur Sultaan Muzaffar Haleem ne apne tareeqe se Hazrat Shaah e aalam ko pukaara. Jab Aap ki baari aai to Aap ne arz kiya “Manjha miyan! Aap ka khaadim salaam pesh karta hai.” Mazaare paak se aawaaz aai “Aye Mahmood! Hum ne tumhara Salaam qubool kiya.” Phir Aap ne arz kiya “Huzoor! Kuchh tabarruk bhi marhaamat farmaiye.”

Aap ka arz karna tha ke ek shakhs garm halwa aur roti lekar aaya aur sab ne milkar use khaaya.

(3) Ek martaba Aap Birpur me mehfile sama me the. Achaanak farmaaya “Kisi ke paas kuchh raqam ho to do.” Ek shakhs ne uthkar Aap ko 5 Mahmoodi sikke diye.

Aap ke daamaad Hazrat Sayyed Abdur Razaaq bin Abdul Ghafoor Ja’afari رحمة الله عليه ne Makka mukarrama me 14 saal tak ta’aleem haasil ki. Makka me qayaam ke dauraan ek martaba un ke paas kuchh bhi baaqi na raha. Tang-dasti ke haalaat me woh apni chaadar bechne ke liye bazaar me gaye. 

Jab bazaar me pahunche to dekha ke Khwaja Mahmood Daryai Dulha saamne se aa rahe hain. Peer ko yaha dekhkar unhe ta’ajjub hua. Jab Hazrat qareeb aaye to farmaaya “Aye chaadar bechne waale, haath laao.” Jab Sayyed Abdur Razaaq ne haath diya to Aap ne 5 Mahmoodi sikke un ke haath me rakh diye aur waha se gaa’ib ho gaye.

Jab Sayyed Abdur Razaaq Birpur aaye to unho ne saara waaqiya bataaya tab sab ko pata chala ke Hazrat ne mehfile sama me maujood hone ke ba-wajood usi waqt Makka mukarrama jaakar Sayyed Abdur Razaaq ki madad farmai.

(4) Ek martaba Qaazi-ul-Quzzaat Peer Sher Malik ne Aap ki da’awat ki. Jab Aap tashreef laaye to hazaaro log aap ki ziyarat ke liye aa pahunche. Sher Malik ne thode logo ke liye khaana pakaaya tha. Is liye fikr hui ke itne saare logo ka khaane ka intazaam kaise hoga? Aap ne farmaaya “Jitna khaana pakaaya gaya hai wo sab ke liye kaafi hai.” Aap ki dua se saare log khaana khaakar rawaana ho gaye us ke baad bhi khaana baaqi raha tha. Aap ne Sher Malik ke saahabzaade Qaazi abdul Khaaliq ke liye bhi umr daraazi ki dua farmai.

(5) Ek martaba Aap Mehfile Sama me mashgool the.  Aapke Khaadim ek sukhe hue darakht ko kaat rahe the. Aap ne farmaya ke “Is Ped ko na kaato”. Khaadimo ne arz kiya “Huzoor! Yeh Ped bahot zamaane se sukha pada hai. Is sukhe hue ped ko yaha rakhna bekaar hai.” Aap ne farmaaya ke “Jis ne ped ko sukha kiya hai wohi ise taaza bhi karega.” Aap ne Khadimo ko paani laane ke liye farmaaya aur us paani se wuzu farmakar wuzu ka bacha hua paani us sukhe darakht ke chaaro taraf daal kar kuchh sher padhte rahe. ALLĀH ta’ala ke fazl se woh sukha hua darakht phir se hara bhara ho gaya.

(6) Ek martaba Ahmedabad ke Muraad Khan naami shakhs ka 12 saal ka beta kho gaya. Us ne Hazrat ki baargaah me haazir hokar arz ki. Aap ne muraaqaba kiya aur farmaaya “Fikr mat karo. Kaangroo desh ki ek aurat tumhare bete ko le gai hai.” Phir Aap ne apne dono haath phailakar dua ki. Achaanak ghaib se ek bhed (sheep) waha aa pahuncha. Aap ne us bhed ke jism par apna haath phera to woh 12 saal ka ladka ban gaya. Apne bete ko dekhkar Muraad Khan ki aankho me aansoo aa gaye aur us ne apne bete ko seene se lagaaya aur pyaar karne laga.

(7) Ek shakhs ne Aap ki khidmat me haazir hokar arz kiya “Huzoor! Meri biwi londi ke saath us ki maan ke ghar gai thi. Main zaroori kaam se baahar gaya aur apna saamaan ALLĀH ko supurad karke ghar ko taala nahi lagaaya. Jab main waapas aaya to dekha ke mera saara saamaan chori ho gaya tha. Meri biwi jab waapas aai to us ne mujhe bahot si baaten sunaai. Aap maherbaani karke dua kar dijiye ke mera saamaan waapas mil jaaye.” 

Aap ne farmaaya “Are naadaan! Beshak ALLĀH sab ke jaan aur maal ki hifaazat karne waala hai. Lekin har shakhs ko apni hifazat ke liye khud bhi ehtiyaat rakhna chaahiye.” Us shakhs ne kaha “Aa’inda khayaal rakhunga.” Aap ne farmaaya “Fikr mat karo, In shaa Allāh tumhe tumhara saamaan mil jaayega. Us me se kuchh tum us chor ko de dena.” Us shakhs ne manzoor kar liya.

Phir Aap ne buland aawaaz se farmaaya “Aye Bani Ādam! Jis ne bhi is shakhs ka saamaan mazaaq karne ke liye liya hai woh sab saamaan ise waapas de de. Agar aisa nahi karega to badnaam ho jaayega.” Choro ne bhi aap ka farmaan suna aur foran saara saamaan laakar us shakhs ko waapas kar diya. Us shakhs ne us me se biswa hissa un choro ko diya aur baaqi saamaan apne ghar me le liya.

(7) Sultaan Mahmood Muchhaala ne Birpur aur Godhra ke Desaio (Baniya) ko qaid karke unhe qatl karne ka hukm kiya. Un ki aurto ne bacho ke saath Aap ki baargaah me haazir hokar rote hue arz ki. Aap ne ek kaagaz par likha ke “Hazrat Khwaja Hameed-ud-deen Chaheldaah رحمة الله عليه ka urs qareeb hai. Birpur aur Godhra ke Desaio ko riha kar do. Tabhi urs me tumhari khidmat manzoor hogi.” Aur us kaagaz ko hawa me uda diya.

Champaner me Ishaa ke waqt Sultaan apne takht par baitha tha ke achaanak ek kaagaz udkar takht ke qareeb gira. Sultaan ne apne khaadim se kaha “Yeh chitthi uthakar padho.” Us chitthi me likha hua Hazrat ka paighaam suna to Baadshaah foran qaid-khaane me gaya aur kaha “Desaio ko le aao.” Desaio ne jab yeh suna to dar gaye ke “Ab aakhri waqt aa gaya.” Jab wo qaid-khaane se baahar aaye to baadshaah ne unhe achhe kapde, achkan, pagdiya aur kamar patte pehna kar umda ghodo par bithakar Birpur rawaana kar diya.

(8) Ek martaba Champaner me ek aurat kunve se paani bhar kar waapas aa rahi thi. Us ka pair fisla aur us ka matka girkar toot gaya. Woh aurat kunve ke paas baithkar rone lagi. Us waqt Aap Chanpaner me muqeem the. Jab Aap ko is baat ka pata chala to Aap ne apne shaagird ko bheja. Us ne aurat ko paise diye aur kaha “Jaao, is paise se naya matka khareed lo.” Woh aurat Hazrat ki mureed thi. Us ne kaha “Meri jethaani bahot buri hai. 

Agar naya matka lekar jaaungi tab bhi woh mujh se jhagda karegi. Hazrat ke kaho ke meharbaani kare aur mujhe mera matka pehle jaisa bana de.” Shaagird ne aakar Aap se saari baat bayaan ki. Aap ne farmaaya “Theek hai. Us ke matke ke tukde lekar aao.” Jab matke ke tukde lekar aaye to Aap ne us par apna haath mubarak phera to woh matka pehle jaisa ho gaya. Woh aurat khush hokar matka lekar apne ghar chali gai.

(9) Ek martaba aap ke ghar par ek saa’il aaya. Aap ne khaadim ko use kuchh khaane ke liye dene ke liye farmaaya. Us waqt ghar me sirf roti ke kuchh tukde the. Khaadim ne saa’il ko wo roti ke tukde de diye. Saa’il ne socha ke “Hazrat ka bada naam suna tha. Lekin yaha se to sukhi rotiya hi mili.” Us ne Hazrat ke khaadim se kaha “Agar tumhare paas lohe ka koi bartan ho to woh mujhe do.” Khaadim lohe ka tawa lekar aaya. Us faqeer ne apni jholi me se ek patthar nikaala aur use us lohe ke tawe par ragad diya. Jis se woh pura tawa sone ka ban gaya. Saa’il use khaadim ko dekar waha se chala gaya.

Khaadim ne Hazrat ko saara waaqiya bataaya to Aap ne us saa’il ko bulaane ke liye farmaaya. Khaadim jab saa’il ko lekar aaya to Aap ne Jiva naam ke ek khaadim se farmaaya ke “Patthar aur eent ke tukde jama karo.” Jab Jiva Patthar aur eent ke tukde lekar aaya to Aap ne use us par peshaab karne ke liye farmaaya. Jiva ne un par peshaab kiya to wo sab tukde sona ban gaye.

Aap ne us saa’il se kaha “Tumhare kimiya ke patthar ki hume zaroorat nahi hai. Ye saara sona tum le jaao. Hamara liye khuda ka naam kaafi hai.” Saa’il ne sharminda hokar aap se muafi maangi. Aap ne use muaf farma diya.

(10) Ek martaba Aap apne Khalifa aur Wazeer e Gujarat Shaah Imaad-ul-mulk رحمة الله عليه ke saath Birpur ke ‘Kohe Alat’ (Prem Gali pahaad) par sair karte hue pahaad par chadh rahe the. Raaste me ek jaanwar ki haddiya dekhkar Shaah Imaad-ul-mulk ne arz kiya “Huzoor! Agle zamaane ke Aulia e kaamileen ki tarah Aap bhi in haddiyo se is jaanvar ko zinda kar dijiye.”

Aap ne muskura kar jawaab diya “Yeh haddiya baagh (tiger) ki hai. ALLĀH ke hukm se yeh zinda ho sakta he lekin aap ko nuqsaan pahuncha sakta hai. Is liye yeh kaam karna munaasib nahi hai.” Lekin Shaah Imaad-ul-mulk ne dobaara arz kiya ke “Huzoor! Jab Aap mere saath hain to is faqeer ko kis cheez ka khauf?”

Aap ne wuzu kiya aur do rak’at nafl namaaz adaa farmai aur ALLĀH ki baargaah me dua ki. Phir ek nazar un haddiyo par daali aur farmaaya “Qum bi iznillāh.” Aur baagh zinda hokar khada ho gaya. Aur gardan jhuka kar Aap ke saamne khada raha. Aap ne dua farmai aur Aapki dua se ALLĀH ta’ala ne us baagh ko qayaamat tak ki zindagi ataa ki.

(11) Ek martaba Aap Modasa (Gujarat) me tashreef farma the. Shaah Mahmood aur unke ghulaam Seedi Mahmood Aap ki khidmat me haazir hue. Seedi Mahmood ne adab aur inkesaari ke saath Aap ki naalaine paak ko apne sar par rakhi aur der tak khade rahe.

Yeh dekhkar Aap ne farmaaya “Tum dono ko shahaadat aur wilaayat ka martaba ata kiya jaata hai aur aur tumhara naam apne Aaqa ke naam se pehle bola jaayega.”

Uske baad dono Hazraat Aap se ijaazat lekar Modasa se Baayad aaye. Raat ko waha qayaam ke dauraan daakuo ne shaher par hamla kiya. Waha ke Haakim ne apne sipaahi aur waha rehne waale logo ke saath daakuo ka muqaabala kiya. Shaah Mahmood aur Seedi Mahmood bhi is jung me shareek aur Daakuo se ladte hue dono Hazraat ne jaame shahaadat nosh kiya.

(12) Ek martaba Sultaan Muzaffar Shaah Haleem ne Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki ziyarat ke liye arz ki. Aap ne muraaqaba kiya aur Sultaan ko 40 roz tak Masjide Muzaffar Khan me chilla kashi karne ke liye farmaaya.

Baadshaah ne chilla kashi shuru ki aur deen aur raat jaagkar ibaadat o riyaazat aur mujaahida shuru kiya. 7we roz baadshaah par neend ka ghalba hua. Aap ko ghaib se hukm hua aur foran Masjide Muzaffar Khan me pahunche aur baadshaah ko jagakar farmaaya “Koi ne’amat chaahte ho to kuchh qurbaani deni hogi.” Baadshaah ne apni palko me chhed karke resham ke dhaage se masjid ki chaat ke saath baandh diya. 40 roz mukammal hone ke baad Huzoor ﷺ tashreef laaye aur baadshaah ko ziyarat se musharraf farmaaya.

Jab bhi Birpur me baarish nahi hoti to log is fazeelat waali ‘Masjid-e-Haleem’ me namaaze istisaqa padhte hain to ALLĀH ke fazl se baarish hoti hai. Museebat zada log yaha 2 rak’at namaaz padhkar dua karte hain to Huzoor ﷺ ke sadqe me ALLĀH ta’ala apne fazl se pareshaani aur beemaari ko door farmaata hai.

Ek martaba Mohammadabad (Champaner) me Hazrat Malik Shaah Imaad-ul-mulk رحمة الله عليه shadeed beemaar hue. Kai roz tak khaana na khaaya. Qaasid ke saath Khwaja Mehmood Dariyai Dulha رحمة الله عليه ko khat bhejkar tashreef laane ke liye arz ki. Aap ne farmaaya “Khuda ki marzi ke saamne kya ho sakta hai.” Qaasid Mohammadabad waapas aaya aur Aap ka jawaab sunaaya. Malik Imaad-ul-mulk ne qaasid ko waapas Birpur bheja aur madad ke liye iltija ki. Aap ne khat padhkar phir se farmaaya “Imaad-ul-mulk ki ajal muqarrar hai. Khuda ke hukm ke aage koi chaara nahi.” Malik Imaad-ul-mulk ne teesri baar qaasid bheja aur arz ki “Huzoor! Iyaadat ke liye to aa’iye. Yeh haq to ada kijiye.” 

Khat padhkar Aap ne farmaaya “Hamara mureed baar baar arz kar raha hai to hum apni zindagi ke aakhri 12 saal use ata kar dete hain.” Yeh sunkar Aap ke saahabzaade Hazrat Abu Mohammad aur haazireene mehfil ne arz ki “Huzoor! Hum sab ki zindagi se 1-1 saal le lijiye.” Aap ne farmaaya “Jeb me agar sona ho to qarz lena munaasib nahi hai.” 

Phir Aap ne Qur’an majeed ki aayat tilaawat farmai “Tum hargiz neki ko nahi pahunch sakte jab tak (ALLĀH ki raah me) apni pyaari cheezo me se kharch na karo, Aur tum jo kuchh bhi kharch karte ho beshak ALLĀH use khoob jaanne waala hai.” (Soorah Aale Imraan, Aayat 92)

Jab sab farzand, rishtedaar aur khaas mureedeen jama gaye to Aap ne sab ko khilaafat aur jaagir ata farmai.

Phir Aap safar karke Birpur se Balasinor pahunche. Waha Malik Shaah Imaad-ul-mulk be-hosh the. Aap ne kuchh padhkar un par dam kiya to woh sehatyaab hokar khade hue aur peer ki qadam boshi ki.

Us raat mehfile sama muna’aqid ki gai. Jis me Aap aalame wajd me kho gaye.

Dusre din Malik Shaah Imaad-ul-mulk ne  aur bahot si qism ke khaane banwaayetamaam logo ko khaane ki daawat ki. Aap ne 2 ya 3 roti namak ke saath khaai aur bistar par lai gaye. Shaah Abu Muhammad Ashraf Khan aur Sayyed Shaah Abdur Razaaq Ja’afari ne puchha to aap ne farmaaya “Seene me thoda dard hai.” Aur aag laakar shek karne ke liye farmaaya. Garm shek karne se aap ko raahat mehsoos hui. 

Malik Shaah Imaad-ul-mulk ne tabeeb ko bulaaya to Aap ne farmaaya “Ab dawa ki zaroorat nahi, qaza ka waqt qareeb hai.” Aur mehfile sama jaari karne ke liye farmaaya. Raat ka ek paher guzra to Aap Shaah Abu Muhammad Ashraf Khan ke qareeb gaye. Unhe qibla roo bithakar apna amaama un ke sar par rakha aur Dua e maaṡoora padhkar un ke badan par dam kiya aur naseehaten aur wasiyat farmai.

Phir wuzu ke liye paani maanga. Wuzu karke Qibla roo hokar buland aawaaz se Soorah Ya-seen tilaawat farmai. Phir 2 rak’at namaaz e shukraana ada ki. Phir Malik Imaad-ul-mulk ke liye dua farmai. Phir mehfile sama me shareek hue. Phir paani maanga aur 3 baar gar gare kiye. Phir 3 martaba ‘Ya ALLĀH’ kaha aur intiqaal farmaaya.

Shaah Abu Muhammad Ashraf Khan, Sayyed Shaah Abdur Razaaq Ja’afari  aur Malik Shaah Imaad-ul-mulk رحمة الله عليه ne ghusl ke liye takht par laitaaye aur jab paayjaame ko kholna chaaha to Aap ne apne haatho se rok liya. Shaah Abu Muhammad ne kaha “Huzoor! Yaha koi ghair mahram nahi hai.” Yeh sunkar Aap ne apne haath hata liye. Ghaib se aawaaz aai “Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain wo marte nahi hain balke ek ghar se dusre ghar me tashreef le jaate hain.”

Aap ko Champaner se Birpur laaya gaya. Birpur ke qareeb Namnaal par ek neem ke darakht ke neeche Aap ke janaaze ko rakha gaya to woh ped aur uske patte meethe ho gaye.

Jab Aap ko Khwaja Hameed-ud-deen Chaheldaah ke mazaar par laaya gaya to waha ek shakhs so raha tha. Aap ne janaaze me se farmaaya “Aye sone waale jag jaa,  yeh mahmood ki jagah hai.” Yeh sunkar woh shakhs bedaar hua aur Aap ke faiz se use wilaayat haasil hui. Isi tarah Aap ke janaaze ko kaandha dene waale bhi wilaayat se sarfaraaz hue.

Aap ke saahabzaade waha tashreef laaye to un se musaafa kiya. Aap ke bhai Hazrat Chaand Mohammad tashreef laaye to Aap ne un se musaafa kiya aur apne honth hilaaye. Jab unho ne apne kaan rakhe to Aap ne kuchh baaten irshaad farmai.

Ek Baniya waha aakar rone laga. Aap ne janaaze me farmaaya “Mujh par is Modi ka 18 rupye qarz hai. Wo ise de dena.” Shaah La’al Muhammad ne kaha “Hum ise ada kar denge.”

Phir Aap ko aap ke waalid Khwaja Hameed-ud-deen Chaheldaah ke bagal me dafn kiya gaya.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap (apne waalid) Hazrat Khwaja Hameed-ud-deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khulfa :

(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Shaikh-ul-Islaam Peer Shaah La’al Muhammad urfe Laad Mohammad رحمة الله عليه,

(2) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Peer Shaah Abu Muhammad Ashraf Khan رحمة الله عليه,

(3) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Peer Shaah Jamaal Muhammad رحمة الله عليه,

(4) (Aap ke bhai) Hazrat Peer Shaah Chaand Muhammad رحمة الله عليه,

(5) (Aap ke bhai) Hazrat Peer Shaah Sharf-ud-deen رحمة الله عليه,

(6) (Aap ke bhatije) Hazrat Peer Shaah Abdul Qawi bin Chaand Muhammad رحمة الله عليه (Bhalej, Gujarat),

(7) (Aap ke pote) Hazrat Peer Shaah Pyaarullāh Noorullāh bin La’al Muhammad رحمة الله عليه,

(8) (Aap ke daamaad) Hazrat Mufakhkhr-ul-Ulama Sayyed Shaah Abdur Razaaq Ja’afari urfe Islaam Khan رحمة الله عليه (Balasinor),

(9) Hazrat Peer Sayyed Shaah Jamaal Qaadri رحمة الله عليه,

(10) Hazrat Peer Sayyed Shaah Qutb-ud-deen Jahaangeer رحمة الله عليه (Meghraj, Gujarat),

(11) Hazrat Peer Sayyed Shaah Dost Mohammad رحمة الله عليه (Unava, Gujarat),

(12) Hazrat Peer Sayyed Shaah Ali Mohammad رحمة الله عليه (Pandarwada, Gujarat),

(13) Hazrat Peer Taajan رحمة الله عليه,

(14) Hazrat Peer Baajan رحمة الله عليه,

(15) Hazrat Peer Malik Daulat رحمة الله عليه,

(16) Hazrat Peer Qaazi Malik Taa’ib رحمة الله عليه,

(17) Hazrat Peer Qaazi Sher Malik رحمة الله عليه,

(18) Hazrat Peer Rukn-ud-deen رحمة الله عليه,

(19) Hazrat Peer Nasala رحمة الله عليه,

(20) Hazrat Peer Moosā رحمة الله عليه,

(21) Hazrat Sayyed Mustafa رحمة الله عليه,

(22) Hazrat Peer Noor Mohammad رحمة الله عليه,

(23) Hazrat Malik Shaah Imaad-ul-mulk رحمة الله عليه.

Khwaja Mehmood Dariyai Dulha ka Wisaal:

Aap ka wisaal 12 Rabi-uṡ-Ṡaani 941 Hijri (21 October 1534 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Birpur (Zila Kheda, Gujarat) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Mehmood Dariyai Dulha رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen. 🤲

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *