Biography of Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai رحمة الله عليه | Download Free Pdf

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai رحمة الله عليه

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ke Walid:

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ke waalid ka naam Nusair hai.
Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai Banu Taai qabeele se ta’alluq rakhte hain

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai tabe taabi’i han.

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ne Imaam e aazam Abu Haneefa رحمة الله عليه ki sohbat me rehkar 20 saal tak taaleem haasil ki.

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ne Hazrat Khwaja Habeeb Raee, Hazrat Khwaja Fuzail bin Ayaaz, aur Hazrat Khwaja Ibrāheem bin Ad’ham se bhi faiz haasil kiya.

Ek baar Aap ne ek shakhs ko ek sher padhte hue suna. Jis ka mafhoom ye tha ‘Kaun sa chehra hai jo jhukkar khaak par aata nahi? Kaun si aankhen hain jin me se aansoo nikal kar zameen par aate nahi?’ Aap ye sunkar bahot be-chain ho gaye.

Aur Imaam e aazam Abu Haneefa ki baargaah me aakar ye baat sunaaya aur kaha ‘Main ab dunya se ukta gaya hu aur ek anjaan shay qalb ko muztarib kiye hue hai.’

Aur phir Imaam e aazam Abu Haneefa ke mashware par aap ne tanhai me mujaahida kiya. Kuchh din baad Imaam e aazam Abu Haneefa ne aap ko tanhaai chhodkar sufiya e kiraam ki sohbat me rehkar faiz haasil karne ke liye farmaaya.

Is ke baad Hazrat Khwaja Habeeb al-Ajami رحمة الله عليه ki baargaah me tashreef le gaye.

Aap Uloom e haqaa’iq ke Shanaasa, Raah e Tareeqat ke aamil aur Saalikeen o Aarifeen ke Peshwa aur Muqtada the. Aap hamesha saadgi pasand farmaate the.

Aap roz paani me roti bhigokar namak lagaakar khaate the aur khaane ke dauraan aap Qur’an majeed ki 50 aayate tilaawat farmaate the.

Ek baar Aap ke khaadim ne achha lazeez khaana banaakar diya to Aap ne us se farmaaya ‘Ye khaana falaan yateemo khila do. Kyun ki agar main use khaaunga to wo baad me nikalkar kude me chala jaayega aur khatm (bekaar) ho jaayega. Magar wo yateem use khaayenge to wo mere liye aakhirat ki jama punji banega.’

Ek baar ek shakhs ne Aap ke yaha paani ka ghada dhoop me rakha hua dekh kar arz kiya ke ‘Is ko saaye me kyun nahi rakha?’ Farmaaya ‘Jab maine is ko yaha rakha us waqt saaya tha lekin ab dhoop me se uthaate hue nadaamat hoti hai ke mahaz apni raahat ke liye tasi’a auqaat karte hue Zikr e Ilāhi se ghaafil rahu.’

Aap sirf namaaz ke liye ghar se baahar aate aur ba-jama’at namaaz ada karke foran apne ghar me waapas chale jaate.

Aap ke makaan ka ek hissa munhadim ho gaya (gir gaya) to Aap dusre hisse me muntaqil ho gaye aur ab wo bhi munhadim ho gaya to darwaaze me muntaqil ho gaye lekin us ki chhat bhi bahot bosida thi. Jab chhat ka kuchh hissa toot gaya aur logo ne chhat theek karaane ke liye kaha to farmaaya ke ‘Main ALLĀH ta’ala se ye ahad kar chuka hu ke Duniya me taamir ka kaam nahi karaaunga. Aap ke wisaal ke baad wo chhat bhi munhadim ho gai.

Aqwaal:

Ek baar Hazrat Abu Rabi’a ne kuchh naseehat ke liye kaha to Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ne farmaaya:

(1) Dunya se parhez karna ALLĀH ta’ala se qareeb karta hai. Tarq e Duniya se banda Khuda tak rasaai haasil kar leta hai.

(2) Deen ko dunya par tarjeeh do aur apne dil ko dunyadaar logo ke khayaalo se paak rakho. Dunya me jo kuchh halaal mile agarche thoda hi ho us se khush raho agar deen ki hifaazat hoti ho.

(3) Fahash-kalaami aur bad-zabaani se bacho aur logo se alaahida raho.

(4) Dunya me roza rakhoge to aakhirat me Iftaar milega.

(5) Murde tumhara intazaar kar rahe hain (ya’ni ek roz tumhe bhi marna hai), is liye waha ki tayyaari karo.

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Khwaja Habeeb al-Ajami رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Ma’aruf al-Karkhi رحمة الله عليه hain.

Ek baar Khalifa Hāroon Rasheed Imaam Abu Yousuf ke saath aap ki mulaaqat ke liye aaya. Aap ne milne se inkaar kiya aur farmaaya ke ‘Main dunyadaar aur zaalim logo se milna pasand nahi karta.’ Aap ki waalida ki guzaarish par aap ne khalifa ko andar aane ki ijaazat di magar shart rakhi ke wo chand lamhe rookkar waapas chala jaayega.

Khalifa ne jaate waqt aap ko chand sone ki ashrafiya bataure hadiya dena chaahi magar aap ne use lene se inkaar kiya aur farmaaya ‘maine apna ghar bech diya hai aur us ke badle me jo halaal raqam mili hai usi me se kharch karta hu aur maine ALLĀH ta’ala se dua ki hai ki jab ye raqam khatm ho jaaye tab mujhe dunya se utha lena.’

Baad me Imaam Abu Yousuf ko Hazrat ke shaagird se pata chala ke ‘Ab us raqam me se sirf 10 dirham se kam bache hain.’ Ye sunkar unho ne kaha ke ‘Ab chand din me hi Hazrat dunya se inteqaal farmaane wale hai.’ Aur us ke chand din baad aap ka wisaal hua.

Wisaal ke agle din ek buzurg ne Aap ko tez dhoop me tilaawat e Qur’an karte dekha to aap ko saaye me aa jaane ke liye kaha. Aap ne farmaaya ‘ Main apne nafs ki mukhaalifat karke us ko aur kamzor karna chaahta hu.’

Wisaal se pehle Aap ne puri raat ibaadat e Ilāhi me guzaari aur aakhir me haalat e sajda me Aap ka wisaal hua.

Inteqaal ke waqt ghaib se nida aai ke ‘Daawūd Tai apni muraad ko pahunch gaya aur ALLĀH ta’ala us se raazi hai.’

Aap ke wisaal se waqt ek nek shakhs ne khwaab me dekha ke Aap bhaag rahe hain. Us ne aap se puchha ‘Aap kyun bhaag rahe hain?’ Aap ne farmaaya ‘Maine qaid se aazaad hua hu.’ Subah ko use pata chala ke raat ko Hazrat ka inteqaal hua hai.

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ka Wisaal:

Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai ka wisaal 27 Rabi uṡ ṡaani  165 Hijri (783 A.D.) ko hua.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Abu Sulaiman Daud al Tai رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *