Biography of  Hazrat Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Download Free PDF

Hazrat Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه

Aap ki Wiladat:

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ki wilaadat Ramazaan 38 Hijri (662 A.D.) me Jumeraat ke roz Madeena munawwara me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Muhammad ibn Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu hain aur waalida ka naam Meharbanu bint Yazdigard hai (jo Iran ke baadshaah ki shehzaadi thi)

Aap ki Talimaat:

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ne apni phuphi Ummul mo’mineeen Hazrate Aa’isha Siddeqa aur Hazrat Ibne Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhuma se ta’aleem haasil ki.

Aap ne Hazrate Salmaan Faarsi radiy-Allāhu ta’ala anhu uloom e baatini ki ta’aleem haasil ki.

Aap ne Hazrat Saleem bin Abdullāh ibn Umar radiy-Allāhu anhu aur dusre Taabi’een se mulaaqaat ka sharf haasil kya.

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه Hadeeṡ, Fiq’h aur Tafseer ke maahir the.
Aap Madeena ke 7 fuqaaha me se 1 hain.

Bahot saare log Madeena me Aap ka dars aur wa’az sunne ke liye aate the.
Aap ke shaagirdo me Hazrat Abu Zannad Abdullāh ibn Dhakwan radiy-Allāhu anhu mash’hoor hain.

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه Muttaqi aur Aarif billāh the.
Aap har amal Sunnat e Rasool ke mutaabiq karte the.

Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi, Yahyā ibn Sayyid, Ayyoob as-Saqityani aur aap ke hum-asr deegar ulama wa masha’ikh Aap ki bahot ta’azeem karte the

Aap ka Pariwaar:

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ka nikaah Asma binte Abdur Rahmān ibn Abu Bakr Siddeeq se hua.
Aap ka 1 saahabzaada aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaada : Abdur Rahmān;
Saahabzaadi : Umme Farwah (Jis ka nikaah Imaam Muhammad al-Baaqir se hua).

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ‘Siddeeqi’ silsile ke Shaikh hain.
Aap Hazrate Salmaan Faarsi radiy-Allāhu ta’ala anhu ke khalifa hain.

Aap ke khalifa Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq radiy-Allāhu anhu hain.

Aap ka Hajj:

108 Hijri me Hajj ada karne ke baad Makka se Madeena ki taraf safar ke dauraan Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ne Maqaame Qudayd par qayaam farmaaya.

Yaha Aap ko ye mushaahida hua ke Aasmaan se beshumaar rahmat ke farshte tashreef laa rahe hain aur Aap ka qalb ma’arifat e ilāhi se munawwar ho gaya hai.

Us ke baad foran Aap par neend ka ghalba taari hua aur Aap ko khwaab me Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ki ziyarat hui. Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ne arz kiy ‘Aye Jadde amjad! Ye sab kya hai, Aasmaan se beshumaar rahmat ke farshten tashreef laa rahe hain aur mera qalb ma’arifat e ilāhi se munawwar ho gaya hai?’ Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ne farmaaya ke ‘Ye tamaam rahmat ke farishten Rab ta’ala ke hukm se us jagah ki ziyarat ke liye aa rahe hain jaha par tumhari qabr banegi. Bahot jald tumhe dunya se rukhsat hokar uqaba ki taraf aana hai.’

Jab Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ki aankh khuli to Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ko saamne maujood paaya. Aap ne puchha ke ‘Abhi maine aap ko khwaab me dekha.’ Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ne farmaaya ‘Haan, Mujhe tumhe bashaarat den eke liye bheja gaya hai.’ Aap ne arz kiya ;Kya waaqai main is dunya se rukhsat hone waala hu.’ Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ne farmaaya ‘Haan, Anqareeb tum is dunya se rukhsat hokar hume milne waale ho.’

Aap ka Wisaal:

Intiqaal se pehle Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ne wasiyat farmai ke ‘Mujhe un kapdo me Kafnaana jin me me namaaz padha karta tha  (Yaani qamees, izaar wa chaadar). Aap ke saahabzaade ne arz ‘Abba Jaan! Kya hum 2 Kapde aur zyada kar den?’

Aap ne jawaab diya ke ‘Aye mere bete! Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ka kafan bhi 3 hi kapde the. Murde ki nisbat zinda ko naye kapdo ki zyada zaroorat hai.’

Wisaal ke waqt Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ke paas  100000 deenaar the jo aap ne halaal rizq se kamaaye the wo sab Aap ne ghareebo aur miskeeno ko khairaat karne ke liye wasiyat farmai.

Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه ka wisaal 9 Moharram 108 Hijri (May 726 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Al Aziziyah, Khulais (Saudi Arabia) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imam Shaikh Qasim ibn Muhammad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *