Table of Contents
ToggleHazrat Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه
Laqab :
Hifz-ul-Hadeeṡ.
Aap ki Wiladat:
Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ki wiladat 214 Hijri (829 A.D.) me Nasa, Khurasan me hui.
Aap ke waalid ka naam Sho’aib ibn Ali hai.
Aap shaher me ulama ki majlis [halqa] me haazir rehte the.
20 saal ki umr me Aap mazeed ta’aleem ke liye Hazrat Qutaibah ibn Saeed رحمة الله عليه ke paas gaye.
Is ke baaad Aap ne Iraq, Kufa, Hijaaz, Shaam aur Misr ka safar kiya aur aakhir me Misr [Egypt] me qayaam kiya.
Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ne Hazrat Qutaibah ibn Saeed al-Balkhi, Imaam Is’hāq ibn Rahwayh, Imaam Abu Daawūd Sulaimān, Muhammad ibn Nasr, aur Muhammad ibn Bishr se ta’aleem haasil ki.
Aap ke mash'hoor Shaagird :
Imaam Abul Qaasim Tabarani
Imaam Abu Bakr Ahmad ibn Muhammad [Allama Ibn Sunni]
Shaikh Ali ibn Imaam Tahaawi.
Tasannif:
Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ki mash’hoor kitaaben:
(1) Sunan al-Kubra
(2) Sunan al-Sughra [Sunan al-Nisa’i] (5751 Saheeh Ahaadeeṡ)
(Jo Siha Sitta ya’ani Saheeh Ahaadeeṡ ki 6 mash’hoor moatabar kitaabo me se 1 hai.)
(3) Khasaa’is-ul-Ali
(4) Amal al-Yaum Wal laylah
(5) Kitaab Dufai wal Matrookeen
(6) Al-Jurhu wa Ta’adeel.
Aap Shafa’i mazhab ke muqallid the.
Aap ne puri zindagi taqwa aur parhezgaari ke saath guzari.
Aap hamesha Sunnat e Rasool par amal karte the.
Aap baadshaaho aur ameero ki mehfil se door rehte the.
Aap puri raat ibaadat e ilāhi me guzarte aur din me logo ko Hadeeṡ ki ta’aleem dete the.
Aap ne kai baar Hajj e baitullāh bhi kiya.
Aap Jihaad ke liye islaami lashkar me bhi shareek hue.
Pariwaar:
Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ki 4 biwiya aur 1 saahabzaada hai.
Sahabzada: Abdul Kareem
302 Hijri me jab Imaam Nasa’i Damishq (Syria) gaye tab Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ne dekha ke Khaarji log Hazrat Ali al-Murtaza رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki shaan me gustaakhi kar rahe hain.
Jab Damishq me logo ne Aap ko bahot zyada pareshaan karna shuru kiya to Zil Qa’ada 302 Hijri me Aap Misr chhodkar Daar-us-Salaam, Baghdad aa gaye.
Is ke baad Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ne Hazrat Ali al-Murtaza رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke fazaa’il ke baare me Ahadeeṡ jama karke ‘Khasaa’is-ul-Ali’ kitaab tayyaar ki.
Khaarji ke giroh ne Aap ke paas aakar Hazrat Muawiyah ke baare me bhi aisi ek kitaab tayyaar karne ke liye kaha. Aap ne farmaaya “Hazrate Muawiyah ki fazeelat ke baare me bahot zyada hadeeṡ nahi mil rahi hai.”
Yeh sunkar Khaarjiyo ko ghussa aaya aur masjid me hi aap ko buri tarah peetna shuru kar diya aur bahot zakhmi kar diya. Aap ne apne saathiyo se Aap ko Makka le jaane ke liye guzaarish ki. Raaste me Ramalah, Palestine me Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ka inteqaal ho gaya. Aap ko Makka le jaakar dafn kiya gaya.
Aap ka Wisaal:
Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليه ka wisaal 13 Safar 303 Hijri (915 A.D.) ko Peer ke din hua.
Aap ka mazaar Makka mukarrama me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Imaam Ahmad ibn Shoaib an Nasai رحمة الله عليهaur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
- Mazar Location