Table of Contents
ToggleHistory of Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه
Laqab :
Bhit Jo Shaah.
Aap ki Wiladat :
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ki wilaadat 6 Safar 1102 Hijri (18 November 1689 A.D.) ko Jum’aa ke roz Sui-Qandar, Hala Haveli (Sindh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Shaah Habeeb bin Sayyed Shaah Abdul Quddoos hai.
Aap Husaini saadaat hai.
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ke pardaada Sayyed Haidar Ali bin Sayyed Ameer Ali Herati Herat (Afghanistan) se Matiari aaye the. Un ke saahabzaade Sayyed Ameer Ali Ṡaani aur un ka pariwaar ‘Saadaat e Matiari’ kehlaate hain.
Aap ki Talimaat:
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ne Akhund Noor Muhammad Bhatti se ta’aleem haasil ki.
Aap ne Qur’ān aur Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne Maulana Jalaal-ud-deen Rumi ki Maṡnawi ki ta’aleem haasil ki.
Aap Arabi aur Faarsi ke maahir the.
Aap Kitaabat [calligraphy] ke maahir the.
Aap ne Qur’ān majeed ki kai naql bhi tayyaar ki thi.
21 saal ki umr me Aap ne ta’aleem e deen karna shuru kiya.
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه apne waalidain ke saath Kotri me rehte the.
Kuchh arse baad Aap ne Karar jhil ke qareeb Bhit me qayaam karne ka iraada kiya. Aap ne apne shaagirdo ke saath mahenat karke waha se ret ko door kiya aur apne liye zameen ke andar ek karma banaaya aur baahar apne waalidain ke liye ek karma aur dusre do kamre banaaye. Aap ke shaagird bhi aap ke saath wahi rehne aa gaye.
1154 Hijri (1742 A.D.) me Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ke waalid ka intiqaal hua. Is ke baad Aap ne apne pariwaar ko bhi Kotri se Bhit Shah bula liya.
3 saal tak Aap Hyderabad, Sindh, Lasbela (Balochistan), Multan, Hinglaj, Nani (Himalaya), Sappar Sakhi, Lakhpat, Junagadh, Jesalmer, Bhuj jaise ilaaqo ka safar karte rahe.
Aap ne Makhdoom Muhammad Zamaan Luwari, Shaah Inaayat Soofi, Sayyed Shaah Inaayatullāh Rizwi, Makhdoom Muhammad Moeen Thattwi, Makhdoom Muhammad Haashim Thatthawi, Sayyed Shahmeer Shaah, Makhdoom Saabir Vulhari, Makhdoom Deen Muhammad Sehwani, Makhdoom Abdul Raheem Grohri, Sayyed Muhammad Baqa Lakyari, Faqeer Saahib Dino Faarooqi jaise ulama aur asfiya se faiz haasil kiya.
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ne puri zindagi saadgi ke saath guzaari. Aap bahot narm dil aur sakhi the.
Ek martaba do gowalan aapas me baat kar rahi thi. Ek gowalan ne kaha “Tum apne aashiq se kitni baar mili ho?” Dusri gowalan ne kaha “Apne aashiq se kitni baar mili is ka hisaab rakhne ki kya zaroorat hai?”
Yeh sunkar Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ne ek sher padha :
“Un ke jism hai tasbeeh, Qalb hai un ka daana,
Un ke dil hai saaz, Tu hi tu Tu hi tu ka gaana,
Un ki neend hai ibaadat, Un ka sona hua hai jaagna.”
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه farmaate hain ke “Soofi woh hi hai jo pehle khud ke baatin ko paak saaf kar le, aur us ka dil hamesha yaad [zikr] me laga rahe, us ke baad hi use us ke mehboob ka deedaar ho sakta hai.”
Aap ki likhi hui kitaab ‘Shaah Jo Risaalo’ (Sindhi) mash’hoor hai.
Is kitaab ki nazamo me Aap ne Sindh aur us ke aas-paas ke ilaaqe ki aur Istanbul aur Samarqand, aur Samundis (Sindhi jahaaz-raano) ke Malabar, Sri Lanka aur Java ki samundari safar ka zikr kiya hai.
1125 Hijri (1713 A.D.) me Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ka nikaah Bibi Saeeda Begum binte Mirza Mughal Beg se hua.
Aap ki koi aulaad nahi hai.
Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Jamaal رحمة الله عليه hain.
Aakhri 8 saal Aap ne Bhit Shah me guzaare.
Aakhri 21 din Aap ne zameen ke andar ek kamre me guzaare. Aap roza rakhte aur bahot kam khaana khaate aur pura din ibaadat me guzaarte.
Is ke baad Aap ne baahar aakar ghusl kiya aur ek safed chaadar apne badan par odh li. Aur mehfil e sama munaaqid ki. 3 din tak Aap mehfil e sama me haazir rahe aur aakhri din mehfil e sama me aalam e wajd me aa gaye aur usi me Aap ka inteqaal hua
Aap ka Wisaal:
Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه ka wisaal 14 Safar 1165 Hijri (1 January 1752 A.D.) ko Shanichar ke roz hua.
Aap ka mazaar Bhit Shah, Sindh (Pakistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Shah Abdul Latif Bhittai رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.