Table of Contents
ToggleHistory of Salman Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
Alqaab:
Waariṡ-ul-Islaam, Al-Khair.
Aap ki Wiladat:
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki wiladat 568 A.D. me Hayy, Isfahan (Iran) me hui. Aap ka paida’ishi naam ‘Roazbeh’ tha. Aap ke waalid ka naam Hushiel bin Mursalaan hai.
Aap ke waalid bahot ameer the aur ilaaqe ke sardaar (Dihqan) the.
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aatish-parast (Magian) khaandaan me paida hue the. Aur jawaan hone par aap ko zimmedaari di gai ke us aatish ki nigraani kare ke woh hamesha jalta rahe.
Aap ke waalid ki bahot saari milkat aur zimmedariya thi. Ek baar unho ne Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko un ke badle kuchh zimmedaari ada karne ke liye bheja.
Raste me wo ek church ke paas se guzre aur waha un ki prayer ki aawaaz sunkar andar daakhil hue aur un ki ibaadat ka tareeqa dekhkar unhe laga ke yeh mazhab hamare mazhab se behtar hai.
Waha der tak rookne ke baad jab raat ko apne ghar gaye to apne waalid ke puchhne par saari baat batai. Un ko yeh dar laga ke kahi Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ apna mazhab chhod na de. Is liye unho ne use pair me zanjeer baandhkar qaid karke rakha.
Salmaan ne kisi tarah Eisaiyo ko paighaam pahunchaya aur phir ek din waha se bhaagkar Shaam ki taraf ja rahe qaafile ke saath Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Shaam ke ek church me pahunche aur waha ke Paadri ke saath rehkar church ki khidmat karne lage.
Unho ne dekha ke woh paadri mazhab ke naam par apne maanne waalo ke paas se maal leta hai aur ghareebo ko dene ke badle khud jama karta hai.
Jab wo paadri mar gaya aur sab log use dafn karne ke liye aaye to Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne saari baat unhe batai. To unho ne use dafn karna mauqoof rakha aur use patthar maarne lage.
Is ke baad jo naya paadri aaya woh bahot achha aur ibaadat guzaar tha.
Us ki maut ke baad Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Mosul, Nisibis aur dusri maqaam par Eisaaiyo ke saath rahe. Aakhir me unho ne suna ke Arab me ek nek shakhs ne ALLĀH ke Nabi hone ka elaan kiya hai.
Aap ne Ammuriyah se guzar rahe Banu Kalb qabeele ke Arab sardaaro ke giroh ko unke saath arab me le jaane ke liye kaha aur us ke liye apne paas jo bhi maal tha wo sab unhe de diya.
Wo unko apne saath le gaye. Magar Madeena ke qareeb Waadi al-Qura me pahunchkar unho ne apna waada tod diya aur Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko Banu Qurayzah ke Uṡmaan bin Ash’hal naami ek yahudi ko bech diya.
Us ne Salmaan ko apne bhateeje ko bech diya. Woh Salmaan ko apne saath Yasrib le gaya.
Ek baar Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ek darakht ke upar the tab Aap ne apne Maalik ko kisi se baat karte suna ke Yaṡrib ke Aws aur Khazraaj khaandaan ke log Quba ilaaqe me ek shakhs se milne gaye hain jo Makka se hijrat karke aaya hai aur woh keh raha hai ke woh ALLĀH ka Nabi hai.
Aap ne use us nabi ke baare me kuchh aur bataane ke liye kaha to Maalik ne ghusse me aap ko buri tarah pita aur apne kaam par lag jaane ke liye kaha.
Shaam ke waqt Aap baargaah e Mustafaﷺ me pahunche aur kaha ke “Maine suna hai aap ne nabuwwate ka ailaan kiya hai aur hijrat karke yaha aaye hain aur pareshaan hain. Main aap ke liye kuchh khajoor laaya hu jo Sadqa hai.”
Huzoor ﷺ ne use lekar apne ashaaba ko khaane ke liye de diya, Lekin khud nahi khaya. Phir Huzoor ﷺ jab Quba se Madeena pahunche to Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ waha gaye aur kaha “Main phir se aap ke liye khajoor laaya hu, jo mere taraf se aap ke liye hadiya (tohfa) hai.”
Huzoor ﷺ ne use lekar khud bhi khaaya aur apne ashaaba ko bhi khaane ke liye kaha.
Salmaan ne eisaayio ki kitaab Injil me padha tha ke Nabi sadqa nahi khaate. Is liye Aap ne islaam apna liya.
Baad me Huzoor ﷺ ne un ke maalik ko Salmaan ko aazaad karne ke liye kaha to us ne badle me 40 awakiyah (taqreeban sawa sher) sona aur 300 khjoor ke darakht maange.
Huzoor ﷺ ne apne haatho se khajoor ke bij boye aur us me se ek raat me 300 khajoor ke darakht tayyaar hue aur usi saal khajoor dene lage (jo Ajwa ke naam se mash’hoor hai). Aur Huzoor ﷺ ne ek ande ke barabar sona diya jo maale ghanimat me aaya tha.
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh ﷺ awakiyah sona chaahiye, Kya itna kaafi hoga?” Huzoor ﷺ ne us sone par apni zabaan mubarak pher di. Phir jab us sone ka wazan kiya gaya to woh barabar 40 awakiyah hua, na zyada na kam. Aur is tarah Hazrate Salmaan ko aazaad karaaya.
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ hamesha kehte the ‘”Main Salmaan hu, Hazrate Ādam ki aulaad me se Islaam ka beta.”
Aap Ashaab e Suffa me shaamil hain.
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ , Hazrat Abu Zar Jundub al-Ghaffaari, Hazrat Miqdaad bin Aswad aur Hazrat Ammaar ibn Yaasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُma ko Mo’mino ke 4 sutoon kaha gaya hai.
Roze mehshar jab ALLĀH ta’ala Hazrate Eisā alaihis salaam ki qaum me se aur Huzoor Rasool-Allāh Muhammad Mustafa ﷺ ki ummat me se un logo bulaayega jo apne nabi ke bataaye hue deen par ṡaabit qadam rahe tab Hazrate Eisā alaihis salaam ke hawaariyo ko aur Ummat e Muhammadi me se in 4 ashaaba ko aage kiya jaayega.
Huzoor ﷺ ne Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur Hazrate Abu Darda رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ma ko aapaas me bhai banaaya tha. Hazrat Abu Darda Aap ki har baat maante the.
Ek baar Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Hazrat Abu Darda رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke ghar gae to pata chala ke un ki biwi puraane kapde pehnti hain. Aap ne puchha to bataaya ke “Aap ke bhai Abu Darda dunya ki khwaahishat se hamesha door rehna chaahte hain.”
Itne me Hazrat Abu Darda aaye aur Hazrate Salman e Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke liye khaana lagaaya. Hazrate Salmaan ne un ko bhi saath khaana khane ke liye kaha to unho ne kaha ke “Maine roza rakha hai.” Hazrate Salmaan ne kaha ke “Jab tak tum mere saath khana nahi khaaoge, main bhi nahi khaaunga.” Yeh sunkar Hazrate Abu Darda aap ke saath khaana khaane ke liye baithe.
Phir raat ko dono saath me so gaye. Kuchh waqt sone ke baad Hazrat Abu Darda Tahajjud ke liye khade hue. Hazrate Salmaan ne unko kuchh der wapas sone ke liye kaha. Hazrat Abu Darda so gaye. Phir kuchh waqt baad Hazrat Abu Darda phir se khade hue. Hazrate Salmaan ne phir se sone ke liye kaha. Jab raat ka aakhri waqt baaqi raha to Hazrate Salmaan ne uthaaye aur dono ne saath me namaaz padhi.
Phir Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne un se kaha ke “Hamare Rab ke hamare upar haqooq hain, Hamare khud ke bhi hamare upar huqooq hain, Hamare mehmaan ke bhi hum par huquooq hain, Hamari biwi, ghar waalo aur rishtedaaro ke bhi hum par huqooq hain. Is liye hame sab ke huqooq ada karne chaahiye.”
Hazrate Abu Darda ne Huzoor ﷺ ki baargaah me yeh sab baaten bayaan ki. to Huzoor ﷺ ne foran farmaaya ke “Salmaan ne sach hi kaha hai.”
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Junge badr ke ilaawa dusri bahot saari jungo me shareek hue.
Junge Badr ke mauqe par Aap Ghulaam hone ki wajah se jung me shareek nahi ho sake.
Ghazwa e khandaq ke mauqe par jab ashaaba alag alag mashwara de rahe the, tab Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke mashware par Madeena ki hifaazat ke liye Madeena ke ird-gird khandaq khodi gai aur Jab kaafiro ka lashkar aaya aur jung hui to musalmano ko fateh haasil hui.
Is mauqe par Muhajireen aur Ansaar ashaaba ke giroh ek dusre se yeh kehne lage ke “Salmaan Faarsi hum me se hain.” Jab Huzoor ﷺ ne yeh baat suni to farmaaya ke “Salmaan na Muhajireen me se hai aur na Ansaar me se, Balke woh hum me se hai aur ahle bait ki tarah hai.’
Hazrate Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Aap ko ‘Luqmaan al-Hakeem’ kehkar bulaate the. Aap ne Qur’ān majeed ka Faarsi me tarjuma kiya. Is tarah Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Qur’ān majeed ka ghaire arabi me tarjuma karne waale sab se pehle shakhs hain
Aap Riwaayat Karte Hain Ke:
Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne irshaad farmaaya
“Beshak ALLĀH ta’ala ki zaat me bahut zyaada haya ki sifat hai, woh baghair maange bahot zyaada dene waale hain aur jab aadami ALLĀH ta’ala ke saamne maangne ke liye haath uthaata hai to use in haatho ko khaali aur nakaam waapas karne se haya aati hai. (ya’ani jo behtar hai woh ataa farmaane ka faisla farmaata hai.)”
(Tirmizi, Hadeeṡ -3556)
16 Hijri me muslim lashkar ne Faars (Iran) ko gher liya aur Hazrate Salmaan ne Faarsiyo se kaha ke “Main tum logo me se hi hu. Tum par koi zyaadati nahi ki jaayegi. Tumhare paas 3 raaste hain : Tum log islaam apna lo aur is se tum hamare bhai ban jaaoge, Ya tum musalmano ko hukoomat de do aur Jizyah ada karte raho aur hum tumhari zimmedari uthaayenge, Ya hamare saath jung karo.”
Faarsiyo ne dusra raasta qubool kiya.
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko 30000 musalman ki fauj ke saath waha ka subedaar (governor) muqarrar kiya gaya.
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ hamesha saadgi se rehte the aur khud mehnat karke kamaate the. Aap ne rehne ke liye apna ghar bhi nahi banaaya tha aur ek kambal ke saath paid ke neeche soya karte the.
Qaul :
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ irshaad farmaate hai ke
“Jab ALLĀH ta’ala kisi ko zaleel o ruswa karna chaahta hai to us se Haya ko chheen lea hai.”
Aapki Mureedi aur Khilafat:
Aap Huzoor ﷺ ke khalifa Hazrate Abu Bakr Siddeeq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke khalifa hain aur Siddiqeeya silsila e tareeqat me teesre Shaikh hain.
(Yeh silsila Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Naqshband rahmatullahi alaihi se ‘Naqshbandi’ silsila kehlaata hai.)
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Imaam Qaasim ibn Muhammad ibn Abu Bakr Siddeeq رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Shaikh Habeeb al- Raa’ee رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ka wisaal 10 Rajab 33 Hijri (654 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar Madain (Iraq) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat e Salman al Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur sahaaba ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farma aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.