History of Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Download Free PDF

History of Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ

Aap ki Wiladat :

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki wilaadat Kufa (Iraq) me hui. Aap sipaaahi [polic]) the aur Sharaab ke aadi the. Aap ne ek baandi khareedi jo aap ko bahot pasand thi. Us se ek ladki paida hui. Aap us ladki se baehad mohabbat karte the.

Jab woh thodi badi hui to jab aap ke haath me sharaab dekhti to aap ke haath se sharaab ka piyaala khinchne ki koshsish karte jis se sharaab aap ke kapdo par gir jaati. Jab woh 2 saal ki hui to mar gai. Aap us ke gham me beemaar ho gai.

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ farmaate hain : 15 Ramazaan shabe jum’aa ko main nashe me mad-hosh the aur namaaze ishaa bhi nahi padhi thi. Mujhe neend aa gai aur khwaab me dekha ke  : Soor phoonka gaya aur tamaam log apni apni qabro se baahar aakar jama ho gaye. Maine apne pichhe aahat suni. Mudkar dekha to ek kale rang ka hari aankho waala bahot bada azdaha munh kholkar meri taraf aa raha hai. Khauf o dehashat ke maare main bhaagne laga. 

Raaste me ek suthre libaas waale shakhs ko dekha. Maine salaam kiya to us ne jawaab diya. Maine kaha “Mujhe is museebat se bachaao.” Us ne kaha “Main bahot kamzor hu aur yeh azdaha bahot taaqatwar hai. Tum aage jaao, shaayad ALLĀH tumhari najaat ki koi soorat bana de.” 

Main aage bhaaga aur ek buland jagah par chadh gaya. Waha se dekha to jahannam aur us ki haulnaakiya nazar aai. Maine us me girne ke qareeb the ke kisi ne aawaaz di ke “Chalo yaha se, tum yaha rehne waale nahi ho.” Main jaldi se waha se utre aur bhaagne laga. Woh azdaha phir se saamne aaya. Main phir se jab us shakhs ke qareeb pahuncha to us se kaha “Baabaji, Main iltija karta hu mujhe is azdahe se bachaao.” Woh shakhs rone laga aur kaha “Main naatawa hu. Tum us pahaad ki taraf jaao. 

Waha musalmano ki amaanaten rakhi hui hai. Agar tumhari koi amaanat waha ho to tumhe madad karegi.” Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ us pahaad ki taraf gaye to dekha ke chaandi ka ek gol pahaad hai jis me bahot saare suraakh hain. Us ke roshandaano par sone ke parde hain jin ke qabze ya’aqoot ke aur aaraish motiyo ki. Main pahaad ki taraf bhaaga, azdaha mere pichhe hi tha. Jab pahaad ke qareeb pahuncha to ek farishte ne aawaaz di ke “Parde hataao, shaayad is ki koi amaanat yaha ho jo ise is museebat se najaat dilaaye.”

Parde hat gaye to dekha ke un roshan-daano me se bahot saare bache jhaank rahe hain. Un ke chehre chaand ki maanind the. Jab woh azdaha qareeb aa gaya to ek bacha bola “Dekho, is ka dushman is ke pichhe hai.” Sab bache jhok dar jhok aakar dekhne lage. Achaanak meri bachi jo mar gai thi us ne dekha to rone lagi aur kaha “Yeh to mera baap hai.” 

Phir woh hooro ke jhurmut me chhalaang lagakar tezi se baahar aai aur apna baayan haath aage badhakar mera daanya haath pakad liya aur apna daayan haath azdahe ki taraf badhaaya to woh bhaag gaya. Phir us ne mujhe bithaaya aur meri bagal me baith gai aur apne daayen haath se meri daadhi pakadkar kaha “Aye Abba jaan! Kya mo’mino ke liye woh waqt nahi aaya ke unke dil ALLĀH ke zikr ke liye jhuk jaaye. ” Main rone laga aur kaha “Aye beti! Tum log bhi qur’an jaante ho?” Us ne kaha “Hum to tum logo se bhi zyada qur’an ko jaante hain.” 

Maine kaha “Us azdahe ke baare me bataao jo mujhe haaak karne ke qareeb tha.” Us ne kaha “Woh tumhara bura amal hai jis ko tum ne taaqatwar banaaya hai aur woh tumhe jahannam ki aag me daalna chaahta hai.” Maine kaha “Us budhe ke baare me batao jo raaste me mila.” Us ne kaha “Woh tumahara nek amal hai jise tum ne itna kamzor kar diya hai ke buraai ka muqaabala nahi kar sakta.” 

Maine kaha “Aye beti! Tum is pahaad me kya karti ho?” Us ne kaha “Hum sab musalmano ke bache hain. Hum qayaamat tak rahenge. Jab tum aaoge to hum tumhari sifarish karenge.” Jab meri aankh khuli to saari sharaab phenk di aur sharaab ke bartan ko tod diye aur baargaahe ilāhi me tauba ki.

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Taabi’i hain.

Aap ne Hazrat Abdullāh bin Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu, Hazrat Khwaja Hasan Basri, Hazrat Saeed ibn Jubair, Hazrat Muhammad ibn Seereen, aur Hazrat Imaam Maalik bin Anas رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.

Ek martaba Aap kahi jaa rahe the. Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne dekha ke ek bacha mitti se khel raha hai aur khelte khelte kabhi rone lagta hai kabhi muskuraane lagta hai. Aap kuchh der waha khade rahe aur dekhte rahe. Phir Aap ne us bache ko salaam kiya to us ne jawaab diya “Wa alaikum assalaam wa rahmatullāhi wa barkaatuhu Aye Maalik bin Deenaar!” Aap ne ta’ajjub ke saath puchha “Tum mera naam kaise jaante ho jab ke hum pehle kabhi mile nahi hai.” Us ne kaha “Jab hum aalame arwaah me ahad ke liye jama hue the to ALLĀH ta’ala ne hamara ta’aruf karaaya tha.”

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne kaha “Nafs aur Aql me kya farq hai?” Us ne kaha “Nafs woh hai jis ne tumhe mujhe salaam karne se rok diya aur aql woh hai jis ne baad me tumhe salaam ki targheeb di.” Phir aap ne puchha “Tum mitti se kyun khel rahe ho?” Us ne kaha “Kyun ki hum ko mitti se banaaya gaya hai aur hume waapas mitti me milna hai.” 

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne puchha “Kya wajah hai ki khelte khelte tum kabhi rote ho kabhi hanste ho?” Us ne kaha “Jab mujhe ALLĀH ka azaab yaad aata hai to mujhe rona aata hai aur jab mujhe ALLĀH ki rahmat yaad aati hai to main muskuraane lagta hu.” Aap ne kaha “Lekin tum abhi bahot chhote ho aur gunaaho se door ho, phir tum kyun ro rahe ho?” Us ne kaha “Meri maan jab chulha jalaati hai to pehle chhoti chhoti lakadiya daalti hai phir badi lakadiya daalti hai.”

Aap isha’at e islaam ke liye Hindustan ke Taqipatanam (Madurakkara) tashreef laaye aur aaye. Phir Kasaragod (Kerala) me qayaam pazeer hokar ta’aleeme deen karte rahe.

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Hindustan me bahot saari masjide ta’ameer ki, jin me ‘Maalik bin Deenaar Jumaa Masjid’ (Thalangara, Kasaragod, Kerala) mash’hoor hai.

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne apne Husne akhlaaq aur ta’aleem e deen se bahot saare logo ko musalman banaaye.

Aap ke ghar ke bagal me ek yahudi ka makaan tha. Yahudi ne aap ke makaan ki taraf apna parnaala banaaya tha aur roz ganda paani aur najaasat is tarah nikaalta ki wo sab aap ke ghar ki taraf aata aur khaas kar jab Aap baahar tashreef le jaa rahe ho tab aap par woh najaasat giraata. Aap kuchh na kehte aur apne kapde aur jagah saaf kar lete.

Lagaatar aisa karne ke baad ek din us yahudi ne Aap se puchha “Main roz aap ke upar ye najaasat daalta hu. Kya aap ko takleef nahi hoti hai?”

AHazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ap ne farmaaya “Takleef to hoti hai. Lekin mere Aaqa Sarwar e kaa’inat Mohammad Mustafa ﷺ ne farmaaya hai ki agar padosi se koi takleef ho to tum use bardaasht kar lena. Magar use koi takleef mat dena.”

Aap ka husne akhlaaq dekhkar woh yahudi ne foran kaha “Yaqeenan Islaam sab se behtar aur sahi deen hai. Main tauba karta hu aur Islaam qubool karta hu.”

Ek baar ek shakhs raat ko chori karne ke iraade se Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke ghar me aaya. Magar use waha koi aisi qeemati cheez nazar na aai jise wo le jaaye. Itne me kone me namaaz padh rahe Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ  ne salaam phera to us shakhs ko dekha. 

Aap sab baat samajh gaye aur us se kaha “In shaa Allah mere ghar se tum khaali haath nahi jaaoge. Zara thehro.” Yeh kehkar Aap andar gaye aur ek bartan me paani lekar aaye aur us shakhs se kaha “Pehle wuzu kar lo aur 2 rak’at namaaz padh lo. Us ke baad main tumhe aisi cheez dunga jo us se bhi qeemati aur behtar hai jis ke liye tum yaha aaye the.”

Aap ke husne sulook ki wajah se us shakhs ne aap ki baat maankar wuzu karke 2 rak’at namaaz padhi.

Us ke baad us ne kaha “Kya main aur 2 rak’at namaaz padh sakta hu?” Aap ne farmaaya “Theek hai.” Is ke baad us ne aur namaaz padhne ke liye ijaazat maangi. Is tarah puri raat us ne ibaadat me guzaari.

Subah hone par us ne kaha “Agar aap ko koi harj na ho to main aap ke yaha theharna chaahta hu aur roza rakhna chaahta hu.” Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne kaha “Theek hai.”

Is tarah woh shakhs kai roz tak waha rooka. Din me roza rakhta aur der raat tak ibaadat karta.

Phir us ne kaha “Ab main jaana chaahta hu. Main ALLĀH se apne gunaaho ki tauba karta hu.” Aap ne farmaaya “Yeh Rab ta’ala ki qudrat aur rahmat ki baat hai.”

Is ke baad woh neki aur parhezgaari ke saath zindagi guzaarne laga.

Kuchh din baad uske ek dost ne us se puchha “Tum Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke ghar par chori karne gaye the to tumhe waha se koi qeemati cheez mili?”

Us ne kaha “Us raat main waha chori ke iraade se gaya tha. Magar ALLĀH ke karam se unho ne mere dil ko hi badal diya aur mujhe rahmate ilāhi ke darwaaze tak pahuncha diya aur mujhe uska farmaan bardaar banda bana diya aur ALLĀH ne mujhe wo ata farma diya jo woh apne khaas bando ko ata farmaata hai.”

Ek martaba Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne apne daamaad Hazrat Mugheera bin Sho’ba se farmaaya “Aye Mugheera! Jis saathi ki sohbat [dosti] se tumhe deeni faa’ida na pahunche uski sohbat se bacho taake tum mehhooz wa salaamat raho.”

Ek martaba Aap ne farmaaya “Dunya waale dunya se chale jaate hain lekin us ki lazeez tareen cheez ka maza haasil nahi karte.” Puchha gaya “Woh kya cheez hai?” Farmaaya “ALLĀH ki ma’arifat.”

Aqwaal :

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ irshaad farmaate hain :

(1) Jitna ziyada hum dunya ki fikr utni hi aakhirat ki taraf se hamari tawajjoh kam hoti jaayegi aur jitna ziyada hum aakhirat ki fikr utni hi dunya ki taraf se hamari tawajjoh kam hoti jaayegi.

(2) ALLĀH ke saath ibaadat ka kaarobar shuru kar do, aur bagair koi sarmaaye ke har qism ka nafa tumhe milta rahega.

(3) Jab tak banda 3 buraiyo ko chhodkar 3 nekiya apna nahi leta wo sacha mo’min nahi ho sakta :

[1] Takabbur ke badle Aajizi, [2] Laalach ke badle Qana’at, aur [3] Hasad ke badle Sahi mashwara.

(4) Agar baatin ki islaah chaahte ho to Amal par zyada se zyada zor do.

(5) Jo shakhs Fuzool baaten zyada aur ibaadat kam karta hai us ka Ilm qaleel aur Qalb taarik ho jaata hai

Aap ka Wisaal:

Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ka wisaal 14 Safar 130 Hijri (October 747 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Thalangara, Kasaragod (Kerala) me hai.

Ek qaul yeh bhi hai ke Aap ka mazaar Basra (Iraq) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat e Malik bin Dinar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur Ashaaba ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *