History of Huzoor Nazmi Miya | Marehra Sharif​ (Download Free PDF)

Huzoor Nazmi Miya

Laqab:

Sayyed-e-Millat.

Aap ki Wiladat:

Nazmi Miya ki wiladat 6 Ramadan 1365 Hijri (14 August 1946 A.D.) ko Kasganj (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed-ul-Ulama Sayyed Shah Aale Mustafa bin Sayyed Aale Ibaa Basheer Haidar Barkaati Rahmatullahi Alaihi aur waalida ka haam Qaisar Jahaan Begum Binte Sayyed Aale Habeeb hai. Aap Husaini saadat hain.

Aap ki Talimaat:

Nazmi Miya ne ibtidaai ta’aleem Madrasa Qaasim-ul-Barkaat me haasil ki. Hafiz Abdur Rahman urfe Haafiz Kalloo Marehrawi se Quran majeed ki aur Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shah Mustafa Haidar Hasan Miyan Barkaati Marehrawi Rahmatullahi Alaihi se Faarsi ki ta’aleem haasil ki. Phir Aap apne waalid Hazrat Sayyed-ul-Ulama ke saath Mumbai aaye aur Hashmiya High School me ta’aleem haasil ki. Saath me apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil karte rahe.

1378 Hijri (1958 A.D.) me Aap Marehra waapas aaye aur M.G.H.M. Inter College, Marehra me padhai puri ki. Phir Delhi jaakar Jaamiya Milliya Islaamiya me Islaami Uloom me degree haasil ki. Phir UPSC ke Indian Information Service (IS) imtihan mein kaamyaabi haasil Ki.

Aap ne Indian Institute of Mass Communication (IMC), Delhi, me Basic Course in Media Operations ki ta’aleem bhi haasil ki.

1373 Hijri (1953 A.D.) me Nazmi Miya (apne waalid) Hazrat Sayyed -ul-Ulama Sayyed Shaah Aale Mustafa Rahmatullahi Alaihi ke mureed hue.

1378 Hijri (1958 A.D.) me Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai.

Aap ka Khandaan:

1393 Hijri (1973 A.D.) me Aap ka nikaah Sayyeda Aamena Sultana se hua.

Aap ke 3 Sahibzaade hain:

(1) Sayyed Sibtain Haidar,

(2) Sayyed Safi Haidar,

(3) Sayyed Zulfiqaar Haidar.

Aapka Haj:

1406 Hijri (1985 A.D.) me Nazmi Miya ne apni waalida aur saas ke saath Hajje Baitullah ada kiya. Waapas aane ke baad Aap ne apni kitaab ‘Madaa’ih-e- Mustafa’ (Na’at ka majmua) likhi.

Aap ne 1414 Hijri (1994 A.D.) me aur 1417 Hijri (1997 A.D.) me bhi Hajje Baitullah ki saadat haasil ki.

Aap ki likhi hui Mash’hoor Kitaaben:

Nazmi Miya ne apni tasannif aur ta’aleemaat se Ahle Sunnat wal Jamaat ki azeem khidmat farmai hai.

Urdu:

(1) Kalaam-ur-Rahman (Kanz-ul-Imaan wa Khazain-ul-Irfan ka Hindi)

Tarjuma

(2) Mustafa Jaan-e-Rahmat (Sirat mubarak-e-Huzoor Muhammad Mustafa)

Sallallahu Alaihi Wa Sallam)

(3) Kya Aap Jante hain? (Islami maloomat) (Urdu, Hindi)

(4) 73 me Ek

(5) Mustafa se Aale Mustafa tak

(8) Mustafa se Mustafa Raza tak

(7) Mustafa se Mustafa Haidar Hasan tak

(8) Asrar-e-Khandan-e-Mustafa

(9) Qur’ani Namaz ba-Mugabala Microphony Namaz (Urdu /Hindi)

(10) Fazl-e-Rabbi (Urdu, [Hindi)

(11) Zibh-e-Azeem

(12) Ghar aangan Milad (Aurto ke Meelaad ke liye)

(13) Sharah Qaseeda Burdah (Urdu / Hindi, English).

English:

(1) Nazm-e-ilahi (English Commentary [Tafseer] on Soorah al-Baqarah, jo

(Britain aur Malawi ke kai madaris ke syllabus me shamil hai.)

(2) The way to be

(3) Islaam, the Religion Ultimate

(4) Destination Paradise

(5) Gateway to Heaven

(8) The Great Beyond

(7) In Defence of Aala Hazrat

(8) In Defence of Sabe Sanabil

(9) Kitab-us-Salaat.

Aap ki likhi hui Naat shareef ki kai Kitaaben Mash’hoor hain:

(1) Shaan-e-Naat-e-Mustafa

(2) Mada’ih-e-Mustafa

(3) Tanweer-e-Mustafa

(4) Irfaan-e-Mustafa

(5) Nawazish-e-Mustafa

(8) Baad az Khuda.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Nazmi Miya (apne waalid) Hazrat Sayyed-ul-Ulema Sayyed Shah Aale Mustafa Rahmatullahi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Sayyed Hasan Miyan Rahmatullahi Alaihi aur Hazrat Sayyed Shah Habeeb Miyan Rahmatulldhi Alaihi ne bhi Aap ko khilafat ata farmaye hai. Aur ‘Qaadri Brkaati’

Aap ke Khulfa:

(1) Hazrat Sayyed Uwais Zaidi

(2) Hazrat Mohaddis e Kabeer Allama Zia-ul-Mustafa Ghosi

(3) Hazrat Sayyed Shaah Husain Sultanpuri

(4) Hazrat Maulana Muhammad Shaakir Noori.

Aap ka Wisaal:

Kuchh din beemaar rehne ke baad Nazmi Miya ka wisaal 1 Muharram 1435 Hijri (1 November 2013 A.D.) ko Mumbai me hua.

Aap ki jisme aqdas ko hawaai jahaaz se Marehra shareef laaya gaya. Aap ki namaze janaaza aap ke bade sahibzade Maulana Sayyed Sibtain Haidar ne padhaai.

Nazmi Miya ka Mazar Mubarak Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

ALLAH ta’ala us ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sadge me Aur Hazrat Sayyed Aale Rasool Hasnain Urfe Nazmi Miyan Barkaati Rahmatullahi Alaihi aur tamam Auliya Allah aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur sab ke Imaan ki hifaazat farmae aur sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur sab ko dunya wa akhirat mein kamyabi ata farmae, aur sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

4 thoughts on “History of Huzoor Nazmi Miya | Marehra Sharif​ (Download Free PDF)”

  1. Assalamualaikum
    I.from.kolkata can I get the shajra shajra sharif of sarkar NAZMI MIYA
    It be the honoured if I get the shajra sharif

  2. I have the shajra. I am in touch with Hazrat’s family. And Shafi miya’s wife Aliya unty recently gave me the newest made shajra. If anyone wants it from me. Make a way out to take it. I’m ready to give it.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *