History of Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab :

Daata Ganj bakhsh, Hujjat-ul-Kaamileen.

Aap ki Wiladat:

Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه  ki wilaadat 400 Hijri me Ghazni ke qareeb Hujwir (Afghanistan) me hui.
Aap ke waalid ka naam Mohammad Usmaan bin Ali hai.
Aap Hasani saadaat hain aur Hazrat Zaid bin Imaam Hasan al-Mujtaba رحمة الله عليه ki nasl se hain.
Aap ki waalida Husaini saadaat hain.
Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه ke pardaada hijrat karke Madeena se Ghazni tashreef laaye the

Aap ne Shaam (Syria), Iraq, Iran, Balkh, Merv, Kohistan, Azerbaijan, Tabaristan, Kerman, Khorasan, Maawara-un-Nahar [Transoxiana] aur dusre mulko ka safar kiya aur beshumaar Soofiya e kiraam ki sohbat wa khidmat me faiz haasil kiya. Maana jaata hai ke sirf Khurasan hi me Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه ne 300 Soofi se mulaaqaat ki.

Aap ne jin se ta’aleem wa faiz haasil kiya un me Hazrat Shaikh Abul Fazl Muhammad al-Khuttali, Hazrat Shaikh Abul Qaasim Gurgani, Hazrat Shaikh Abul Abbaas Ahmad bin Muhammad al-Ashqani, Hazrat Shaikh Abu Ahmad Muzaffar bin Ahmad bin Hamdan, aur Hazrat Shaikh Abul Qasim Abdul Kareem bin Hawazin al-Qushayri رحمة الله عليه ajmaeen mash’hoor hain. Aur isi tarah mash’hoor Auliya Allāh ke mazaar par haazir hokar bhi faiz haasil kiya.

431 Hijri  (1041 A.D) me Hazrat Shaikh Abul Fazl Muhammad al-Khuttali رحمة الله عليه ne Aap ko khwaab me bashaarat dekar farmaaya “Aye mere farzanad! Tumhe Lahore ka Qutub banaaya jaane waala hai. Is ke liye tayyaari karo aur Lahore ka safar shuru karo.” Aap ne arz kiya “Huzoor! Lahore ke Qutub to Khwaja Hasan Zanjani hai. Jab woh waha maujood hain to mujhe Lahore bhejne ka aap ka maqsad kya hai?” Peer ne farmaaya “Bete! Is baare me bahes mat karo aur foran Lahore ke liye rawaana ho jaao.”

Peer ke farmaan par Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه Hazrat Abu Saeed Hujwiri aur Hazrat Ahmad Hammaadi Sarkusi ke saath Lahore ke liye rawaana hue. Pehle aap Peshawar pahunche aur phir waha se Lahore tashreef laaye.

Aap raat ke waqt Lahore pahunche aur subah log Khwaja Hasan Zanjani رحمة الله عليه ka janaaza lekar nikle.

Aap ki Karaamat :

Sultaan Mahmood Ghaznawi ke zamaane me Lahore ka governor Rai Raju tha. Log use mehsool ke taur par doodh dete the.

Ek baar ek budhi aurat doodh se bhara hua bartan lekar Hazrat ke paas se guzri to Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه  ne use rok kar thoda doodh dene ke liye kaha. Us ne inkaar kiya aur kaha “Yeh doodh main Rai Raju ke liye lekar jaa rahi hu.’ 

Aap ne farmaaya ‘Tum mujhe is me se thoda doodh de do. ALLĀH ke fazl se tumhari gaaye ke doodh me barkat hogi.” Us ne doodh ka bartan Hazrat ke haath me diya. Aap ne thoda doodh piya aur baaqi doodh nadi me phenk diya. Jab woh budhiya apne ghar gai to dekha ke us ki gaaye ke pistan me doodh bhara hua tha. Us ne gaaye ko doh liya. Gaaye ke pistan phir se doodh se bhar gaye. Us ne apne saare bartan doodh se bhar gaye magar gaaye ke pistan abhi bhi doodh se bhare hue the. Yeh dekhkar use ta’ajjub hua.

Dheere dheere is baat ki khabar dusre logo me phail gai. Sab log bartan me doodh bharkar Hazrat ke paas aane lage. Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه sab ke bartan me se thoda doodh pite aur baaqi nadi me phenk dete. Sab ki gaaye ke doodh me barkat hone lagi. Sab ne Rai Raju ko doodh dena band kar diya.

Jab Rai Raju ko pata chala to us ne ek saathi ko Hazrat Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه  ke paas bheja magar woh waapas na aaya. Us ne apne saathiyo ko ek ek karke Hazrat ke paas bheje. Magar koi waapas na aaya to woh khud waha aaya aur Hazrat ko karaamat dikhaane ke liye kaha. Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه ne farmaaya “Main jaadoogar nahi hu.” 

Tab woh hawa me udne laga. Yeh dekhkar Hazrat ne apni jootiyo ko hukm diya ke use neeche lekar aao. Aap ki jootiya hawa me udne lagi aur us ke sar par zor se lagne lagi. Aakhir me woh neeche aa gaya aur Hazrat ke qadmo me girkar Islaam apna liya. Aur Shaikh Hindi ke naam se mash’hoor hua.

Is ke baad aap ne Lahore me Khaanqaah aur masjid ta’ameer ki.

Jab masjid banaane ka kaam shuru tha tab shaher ke kuchh ulama ne aitraaz kiya ke Masjid Qibla ki simt nahi hai. Jab masjid ka kaam mukammal hua to aap ne Ulama, Soofiya aur Umara ka masjid me aane ke liye da’awat di aur jab tamaam log jama hue to aap ne farmaaya “Apni aankhen band karke namaaz padhna.” Jab tamaam haazireen ne aap ke peechhe namaaz shuru ki to sab ne dekha ke Ka’aba shareef un ke saamne hai.

Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه ne tamaam zindagi isha’at e islaam aur ta’aleem e deen ka kaam jaari rakha.

Aap ke faiz se beshumaar logo ne ilm haasil kiya aur aalim ban gaye, gumraaho ko hidaayat mili, naaqis log mukammal ho gaye, aur beshumaar kaafiro ne Islaam apnaya.

Tasannif :

Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Kashf-ul-Mahjub (Revelation of the Veiled)

(2) Minhaaj-ud-deen

(3) Kitaab-e-Fana-o-Baqa

(4) Kitaab-ul-Bayaan-li-ahl-ul-Iyaan

(5) Bahr-ul-Quloob

(6) Al-Riaayat li-huqooqullāh

(7) Asraar-ul-Khiraaq wal-ma’unaat.

Aqwaal :

Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه irshaad farmaate hain :

(1) Amal ke baghair Ilm bekaar hai.

(2) Jo Taqwa aur parhezgaari ke baghair khuda ko pehchanne ka daawa kare woh Wali ya Aarif nahi ho sakta balke woh zaahil hai.

(3) Kisi shakhs ki azmat wa rutbe ka faisla Karaamat se nahi kiya jaa sakta balke us ki us ke amal wa khayaalat ki paakizgi se ho sakta hai.

(4) Jis tarah Ibaadat ke liye badan ka paak hone zaroori hai waise hi Ma’arifat ke liye Dil ka paak hona zaroori hai.

(5) Sab se badi ibaadat nafsaani khwaahishat ki mukhaalifat karna hai.

(6) Jab koi har haal me ALLĀH ki ata par raazi rehta hai to ye us baat ki nishaani hai ke ALLĀH bhi us se raazi hai.

(7) Jo aajazi ke saath Rab ki baargaah me sar jhukata hai Rab ta’ala use dono jaha me izzat aur bulandi ata farmata hai.

(8 ) Deen se jude rehne me nijaat hai aur deen par aitraaz karne me barbaadi hai.

Pariwaar :

Aap ki 2 biwiya aur 1 beta hai.

Saahabzaada: Hasan.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه Hazrat Shaikh Abul Fazl Muhammad al-Khuttali رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shaikh Abul Qaasim Gurgani رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap Junaidi silsila ke Shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Abdullāh urfe Shaikh Hindi رحمة الله عليه
(2) Hazrat Abu Saeed Hujwiri رحمة الله عليه,
(3)  Hazrat Ahmad Hammaadi Sarkusi رحمة الله عليه.

Aap ka Wisaal:

Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه ka wisaal  18 Safar 465 Hijri (1072 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Lahore (Pakistan) me hai.
Aap ka Urs 18 safar ko manaaya jaata hai.

561 Hijri me Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti رحمة الله عليه ne aap ke mazaar par Chilla-kashi ki.
Aur aap ki shaan me ek sher bhi likha hai.
‘Ganj Bakhsh-e faiz-e aalam, mazhar-e noor-e Khuda,
aaqisaa raa Peer-e kaamil, kaamilaa raa raahnuma.’

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Daata Ganj bakhsh Sayyed Daata Ali Hajveri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *