Biography of Hazrat Sayyed Shah Ahmad Shams e Alam Hussaini رحمة الله عليه (Qutub e Raichur) | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Shah Ahmad Shams e Alam Hussaini رحمة الله عليه

Laqab:

Qutub e Raichur.

Aap ki Wiladat:

Aap ki wiladat 15 Rajab 838 Hijri (15 February 1435 A.D.) ko hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Jalaal-ud-deen Chanda Husaini bin Sayyed Ali Jehan Sheereen رحمة الله عليه hai.

Aap Husaini Saadaat hain. Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Sayyed Shaah Jalaal-ud-deen Chanda Husaini رحمة الله عليه (Gogi, Karnataka) ke mureed aur khalifa hain. Aap ‘Chishti Ashrafi’ silsila ke shaikh hai

Aap ka Wisaal:

Qutub e Raichur ka wisaal 15 Safar 892 Hijri (11 February 1487 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Raichur (Karnataka) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Shah Ahmad Shams e Alam Hussaini رحمة الله عليه (Qutub e Raichur) aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *