Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه
Laqab :
Ustaad-ul-Ulama.
Aap ki Wiladat:
Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه ki wilaadat Basra (Iraq) me hui. Aap ke waalid Banu Sa’ad bin Banaat bin Tazeem qabeele ke aazaad karda ghulaam the.
Aap Tabe taabi’een hain.
Aap ki Talimaat:
Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه ne Hazrat Khwaja Hasan Basri, Imaam Ata’a bin Abi Rabaah Makki, Imaam Yazeed Rakkashi, aur Imaam Abu Zuberi Rahmatullāhi Alaihi se ta’aleem haasil ki. Aap Hadeeṡ aur fiq’h ke maahir the.
Aap un Mohaddeeṡeen me se hain jinho ne dusri sadi hijri me Ahaadeeṡ ko jama karke logo tak pahunchaana shuru kiya
Hazrat Imaam Ahmad bin Hanbal ki kitaab me Aap se kai Hadeeṡ marwi hain.
Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه 159 Hijri (775 A.D.) me al-Mahdi Billāh Abbaasi ke zamaane me Hazrat Abdul Malik bin Shihaab al-Masmai ke saath isha’ate Islaam ke liye Hindustan tasheeef laaye.
Aur Bhadbhoot (Gujarat) me sukoonat pazeer hokar ta’aleeme deen aur khidmate khalq karte rahe.
Ek martaba Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه ke ek saathi ne Aap se kaha ke “Kuchh log aap ko ruswa karne ke liye aap ki buraai talaash karte rehte hain.”
Aap ne farmaaya ke “Is se pareshaan hone ki zaroorat nahi. Maine aakhirat ki taraf rooju kiya use dunya se behtar paaya, Maine Rahmān [ALLĀH ta’ala] se raghbat ki to woh mujh se raazi hua. Agar main logo ko raazi karne ki koshish karta to nakaam hota kyun ki insaan apne khaaliq se bhi khush nahi hai to dusre insaan se kaise khush ho sakta hai.
Aap ka Wisaal:
160 Hijri (776 A.D.) me jab Bhadbhoot me Taaoon (plague) ki beemaari phaili. Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه mareezo ka ilaaj karne lage.
Aur isi beemaari ke sabab Aap ka aur aap ke kai shaagirdo ka inteqaal hua. Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه ka 16 Moharram 160 Hijri (November 776 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Savai bet, Pipavav (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeebﷺ ke sadqe me Aur Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawai Peer رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.