Biography of Hazrat Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه

Alqaab:

Qutb e Aalam, Fard e Waqt, Shaikh e Kabeer.

Aap ki Wiladat:

Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه ki wilaadat 1216 Hijri (1801 A.D.) me Sundh (Zila Mewat, Haryana) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Abdul Samee hai.

Aap ki Talimaat:

Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه  ne apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.
Phir Hazrat Maulana Muhammad Ismāeel Siddeeqi Mehami رحمة الله عليه se bai’at karke ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Is ke ilaawa Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه ne Hazrat Daana Gulaab Shaah Majdoob, Hazrat Deen Ali Shaah Majdoob Dehlawi, Hazrat Kallan Shaah Majdoob (Kot Patli Bajepur), Hazrat Maulana Noor Muhammad Kamli waale Delhawi, Hazrat Miyan Muhammad Ismāeel Kumhar Hisar waale, Hazrat Maulana Muhammad Ramazaan Siddeeqi Mehami, 8.Ustad ul Asatiza Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi, Hazrat Shaah Abdul Qaadir Dehlawi, Hazrat Shaah Muhammad Is’hāq Mohaddeeṡ Dehlawi, aur Hazrat Miyan Noor Muhammad Naqqash se bhi faiz haasil kiya.

Hazrat Ghaazi-ud-deen Shaah رحمة الله عليه farmaate hain “Aap 12-12 ghanta Habs Dam kiya karte the jis me Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه ke jism ke rong rong se Kalma ki aawaaz aati thi.”

Patodi, Tonak, Hasanpur, Sardhana, Tikam Garh, wagairah ke Nawaab bhi Aap ke Mureed the.

Qaazi Waheed-ud-deen Raaj shaahi Suhanwi bayaan karte hain ke “Ek martaba Fard-e-waqt Miyan Raaj shaah رحمة الله عليه ne farmaaya : Murshid e kaamil mureed karne ke qaabil tab hota hai ke maghrib ya asr ke waqt us ke chaar hazaar ya us se zyada mureedo ki jaan nikalti ho aur woh sab ka haal ma’aloom kar le, agar aisa nahi hai to aise peero se alaahida rehna chaahiye. Faqeeri mushkil cheez hai.”

Aqwaal :

Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه  irshaad farmaate hain :

 (1) ALLĀH ka isme Jalaalat Isme Aazam hai. Is se hi har cheez haasil ho jaati hai.

(2) Dunya miṡle Saaya hai, jab insaan Khuda ko chhod kar dunya ki taraf chalta hai to yeh saaye ki tarah haath nahi aati aur jitna aadami uske peechhe daudta hai utni hi aage daudti hai aur jab insaan is ko chhod kar ALLĀH ta’ala ki jaanib rujuh karta hai to dunya us ke peechhe peechhe ho leti hai.

(3) Itteba aur paabandi e Shariyat ka naam hi Durweshi hai.

Agar koi hawa me ude aur paani par chale aur aag bhi asr na kare magar khilaafe Shar’aa ho to usko hargiz na manna. Ye log Shaitaan ke pairokaar  hain.

(4) Khayaalaat ki safaai Mujaahida aur riyazat se hoti hai aur is khayaali safaai ka zariya shariyat ki pairwi hai.

(5) ALLĀH waale zameen par jis jagah soye, baithe, chale, phire waha par barkat naazil hoti hai. Us jagah ko Khuda bhi mehboob rakhta hai.

Har Madfoon e Aulia par nazoole barkat hota hai.

(6) Saaleheen aur ulama ki sohbat se Noor-ul-Eimaan me izaafa hota hai.

Faqeero, Durwesho aur ALLĀH waalo ki sohbat aur khidmat se dil ki siyahi door hoti hai, ibaadate Allah Ka jhok wa shauq paida hota hai, Jo ALLĀH aur uske Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki khushnoodi ka baaiṡ hai.

(7) Insaan ahkaame shariyat ka paaband aur farmaan bardaare murshide kaamil rahe to Khuda raazi hoga. Jis par Murshid ka karam hota hai us par ALLĀH ta’ala aur uske Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ka bhi karam hota hai aur phir sab us par maherbaan ho jaate hain.

(8 ) Murshid waseela hai ALLĀH aur uske Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki qurbat ka raasta paane ka. Peer ki khidmat karne se Khuda ka qurb haasil hota hai.

(9) Mureed ko chaahiye jab Peer ke paas aaye to dil me dunya ka koi khudsha lekar na aaye. Murshid e kaamil ko aa’ina ki maanind tamaam haal ma’aloom hota hai.

(10) Hasad aur Bughz se dil siyaah ho jaata hai. Jhoot, Dagabaazi, Chori aur Riyakaari me barbaadi hai.

Pariwaar:

Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه ka nikaah Bibi Maryam se hua.
Aap ke 4 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Abdullāh Shaah
(2) Muhammad Bahaadur Khan
(3) Haidar Shaah
(4) Muhammad Ramazaan Khan.

Saahabzaadiya :
(1) Bibi Mehar
(2) Bibi Nawaaz
(3) Bibi Raheeman.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه Shaikh-ul-Masha’ikh Hazrat Maulana Muhammad Ismāeel Siddeeqi Mehami رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat ne aap ko Qaadri, Chishti, Suharwardi, Naqshbandi, aur Madaari silsila ki khilaafat aur ijaazat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Maulana Abdullāh Shaah Raaj shaahi رحمة الله عليه (Sundh, Haryana)

(2) Hazrat Haaji-ul-Haramain Miyan Haidar Shaah Raaj shaahi رحمة الله عليه (Sundh, Haryana)

(3) Hazrat Ghaazi-ud-deen Shaah رحمة الله عليه (Bharatpur, Rajasthan)

(4) Zubdatul Asfiya Hazrat Sher Muhammad Chhote Shaah urfe Shaah Ji Kabuli رحمة الله عليه (Dhulawat, Haryana)

(5) Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi رحمة الله عليه (Kichhauchha, Uttar Pradesh)

(6) Aarif e Kaamil Hazrat Miyan Muhammad Ismāeel Shaah رحمة الله عليه (Fareed Nagar, Uttar Pradesh)

(7) Jaame Ma’aqool wa Manqool Hazrat Allama Maulana Abdur Rahmān Meeruti رحمة الله عليه (Meerut, Uttar Pradesh)

(8 ) Qutb-e-waqt Hazrat Allama Maulana Abdur Raheem Meeruti رحمة الله عليه (Meerut, Uttar Pradesh)

(9) Qutb-e-Daura Makhdoom-ul-Auliya Hazrat Haafiz Muhammad Ibrāheem Shaah رحمة الله عليه (Sarawa, Uttar Pradesh)

(10) Waaqif-e-Asraar-e-Haqeeqat Hazrat Meer Muhammad Taqi رحمة الله عليه (Thanabhavan Shamli, Uttar Pradesh)

(11) Hazrat Nawaab Muhammad Is’hāq Khan رحمة الله عليه (Fareed Nagar, Uttar Pradesh)

(12) Shaikh-ul-Masha’ikh Hazrat Haaji Sayyed Aabid Husain Raajshaahi رحمة الله عليه (Deoband, Uttar Pradesh)

(13) Qalandar-e-Waqt Hazrat Haafiz Meer Ahmad Ali Aakherawi رحمة الله عليه (Sundh, Haryana)

(14) (Aap ke nawaase) Hazrat Makhdoom-e-Millat Wali Muhammad Raajshaahi رحمة الله عليه (Satawari, Haryana)

(15) Qutb-e-waqt Hazrat Ameer-ud-deen رحمة الله عليه (Doha, Haryana).

Aap ka Wisaal:

Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه ka wisaal 8 Ramazaan 1306 Hijri (9 May 1889 A.D.) ko Baroz Jumeraat Subah saadiq se pehle 90 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Sundh (Haryana) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

1 thought on “Biography of Hazrat Qutub e Aalam Miya Rajshah Sahab Sundhwi رحمة الله عليه | Download Free PDF”

  1. Pingback: Biography of Hazrat Imam Muhammad bin Ali Hakim Tirmizi رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *