Biography of Hazrat Maulana Muhammad Ibrahim Raza Khan Urfe Jilani Miya رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Mufassir e Azam, Qamar-ul-Aarifeen.

Aap ki Wiladat:

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ki wiladat 10 Rabi ul aakhir 1325 Hijri (May 1907 A.D.) ko Bareilly (Uttar Pradesh) me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan bin A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه hai.

Aap ke daada jaan A’ala Hazrat رحمة الله عليه ne aap ke kaan me Azaan aur Iqaamat padhi aur khajoor chabaakar aap ke munh me rakhi. Aap ke aqeeqah me A’ala Hazrat ne madrasa ke tamaam talba ko khaas daawat ki aur ye ehtamaam kiya ke sab khush ho.

14 Sha’abaan 1329 Hijri (July 1911 A.D.) ko aap ki Bismillāh khwaani ki gai. Aap ne apni waalida se Qur’an majeed ki aur Urdu ki ta’aleem haasil ki. 7 saal ki umr me Aap ko Daar-ul-Uloom Manzar e Islaam me daakhil kiya gaya.

Aap ki Talimaat:

Hazrat Hujjat ul Islaam Maulana Haamid Raza Khan, Hazrat Maulana Ahsaan Ali Mohaddeeṡ Faizpuri, aur Hazrat Mohaddeeṡ e aazam Pakistan Maulana Sardaar Ahmad se ta’aleem haasil ki.

1344 Hijri (1926 A.D.) me 19 saal ki umr me aap Aalim aur Faazil hue.
Hazrat Hujjat-ul-Islaam ne Aap ki dastaarbandi ki aur Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ko khilaafat ata farmai.

Hazrat Hujjat-ul-Islaam ke wisaal ke baad Huzoor Mufti e aazam e Hind ne Aap ko khilaafat aur Madrasa ki zimmedaari ata farmai.

Aap ne puri zindagi saadgi ke saath guzzari.
Aap hamesha Sunnat e Rasool par amal karte aur sab ko is ke liye taaleem dete.

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه namaaz e Fajr ke baad kuchh waqt wazeefa me guzaarte.
Phir Madrasa me ta’aleem ke liye jaate. Aap Muslim Shareef, Tirmizi Shareef aur Mishkaat Shareef ka dars dete.

Aap apne shaagirdo ki Wahaabi ko bad-aqeeda ke baare me bataakar un ko rad karne ke liye ṡaboot paish karke ta’aleem dete.

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه bahot achhe muqarrir the. Ek baar ek 2 roza jalse me pehle din Aap ne ek shaandaar taqreer farmaai. Dusre din Hazrat Mohaddeeṡ e aazam Kichhauchhwi رحمة الله عليه ne taqreer farmaai tab 20 wahaabi un ke paas aaye aur kaha ke ‘Hazrat ki kal raat ki taqreer se hume hamare galat aqeedo ka pata chala hai.’ Aur un logo ne tauba ki.

Aap ne ‘Aala Hazrat’ naam se maahaana risaala jaari kiya aur logo ko Ahle Sunnat wal Jama’at ki ta’aleem dena shuru kiya

Tasannif :

Aap ki likhi hui kitaaben :
(1) Zikrullāh
(2) Ne’amatullāh
(3) Hujjatullāh
(4) Fazaa’il e Durood Shareef
(5) Tafseer Surah Balad
(6) Tashreeh Qasida Nu’maania.

1372 Hijri (1953 A.D.) me Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه Haramain shareefain tashreef le gaye tab Makkah mukarrama aur Madeena munawwara ke ulama ne Aap ki bahot ta’azeem ki.

Aap ki Karaamat:

 (1) Ek baar ek paidaishi gunge shakhs ko aap ki baargaah me laaya gaya. Aap ne us ke liye dua farmai to ALLĀH ta’ala ke fazl se wo shakhs bolne laga. Hazrat Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ki ye karaamat dekhkar tableeghi jama’at ke bahot saare logo ne apne bad-aqeeda se tauba kar li.

(2) Ek baar ek shakhs apni biwi ke saath Aap ki baargaah me aaya aur arz kiya ke ‘Mera saale ko qatl ke galat ilzaam me giraftaar kar liya gaya hai. Us ke pariwaar ki zimmedaari us ke upar thi. Aap us ki rihaai ke liye dua farma dijiye.’

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ne jab jaan liya ke us shakhs ka saala Sunni hai to Aap ne ek kagaaz liya aur us pa ‘Allāhu Rabbu Muhammadin Salla alaihi wa sallama Nahnu Ibaadu Muhammadin Salla alaihi wa sallama’ likhkar diya. Aur us qaidi shakhs ko yaad karne ke liye aur kaṡrat se padhne ke liye farmaaya. Aur farmaaya ‘Ise taaweez banaakar us shakhs ke baazu par baandhne ke liye kehna. Agar ALLĀH ne chaaha to wo riha ho jaayega.’

10 din baad wo dono us shakhs ke saath lekar niyaaz (meethaai) lekar aaye aur kaha ‘Aap ki dua se mera saala be-gunaah ṡaabit hua aur dusre do shakhs jinho ne qatl kiya tha unhe umr qaid ki saza hui hai.’

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ne un ko Silsila me daakhil kiya aur unhe namaaz ki pabaandi karne ka aur kaṡrat se durood shareef ka wird karne ke liye naseehat farmai.

Aqwaal:

(1) Mere apne aib mujhe dusro ke aib dhundhne se rokte hain.
(2) ALLĀH ta’ala ne hume 2 haath aur 1 zabaan di hai taake hum sune zyada aur bole kam.
(3) Amal ke bagair ilm rooh ke liye bojh hai.
(4) Sabr Zeher se zyada kadwa lagta hai magar us ka phal Shahed se zyada meetha hota hai.
(5) ALLĀH ta’ala use dunya me bhi raahat deta hai jo aakhirat ke liye nek amal karta hai.
(6) Mulk ki shaan us ke ulma se hoti hai.

Pariwaar:

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ka nikaah Sarkaar begum binte Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه se hua.
Aap ke 5 bete aur 3 betiya hain.

Saahabzaade :
(1) Hazrat Allama Rehaan Raza Khan
(2) Hazrat Taaj ush shariah Allama Mufti Mohammad Akhtar Raza Khan
(3) Hazrat Dr. Qamar Raza Khan
(4) Hazrat Manaan Raza Khan Manaani Mia:
(5) Hazrat Tanweer Raza Khan.

Saahabzaadiya :
(1) Sarfraaz Begum (Jin ka nikaah Hazrat Maulana Shaukat Hasan Khan se hua hai)
(2) Sartaaj Begum (Jin ka nikaah Hazrat Abdul Haseeb se hua hai
(3) Dilshaad Begum (Jin ka nikaah Hazrat Younus Raza Khan se hau hai)

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه Hazrat Hujjat ul Islaam Maulana Haamid Raza Khan ke mureed aur khalifa hain. Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ka Wisaal:

Maulana Ibrahim Raza Khan رحمة الله عليه ka wisaal 11 Safar 1385 Hijri (12 June 1965 A.D.) ko Peer ke roz hua. Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Mufti Sayyed Muhammad Afzal Husain ne padhaai.

Mufti Muhammad Afzal Husain, Maulana Muhammad Ahsaan Ali, Maulana Sayyed Aarif Ali, Sayyed Ijaaz Husain aur Muhammad Ghauṡ Khan ne aap ko qabr me utaara.

Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me Aala Hazrat ke bagal me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Maulana Muhammad Ibrahim Raza Khan Jilani Miya رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *