Biography of Shaikh Maroof Karkhi | Download Free PDF

Hazrat Shaikh Maroof Karkhi

Laqab:

Sultaan e Salaateen e Mashaa’ikh.

Aap ki Wiladat:

Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه ki wiladat 132 Hijri (750 A.D.) me Karkh, Baghdad (Iraq) me hui. Aap ke waalid ka naam Firoz hai.

Aap ki Ibtadai Zindagi:

Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليهke walidain Nasrani [Christian] the. Aap ne bachpan me hi muslim bacho ki sohbat me rehkar Islaam ki haqeeqat ko jaan liya.

Hazrat Farqad Sabakhi rahmatullāhi alaihi ki ta’aleem se jab aap ne apne walid ko Islam apnane ke baare me bataya to unho ne aap ko ek paadri ke paas bhej diya. Us paadri ne jab aap se kaha ke “Kaho, Khuda teen me se hain.” Tab aap ne inkaar kiya aur kaha “Nahi, Khuda sirf ek hai.” Paadri ne kaha “Tumhare pariwar me kitne log hain?” Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه ne kaha “Main, mere waalid aur meri waalida.” Paadri ne kaha “Jis tarah tum teeno ek pariwaar ka hissa ho usi tarah Hazrate Eisā bhi khuda ke pariwar ka hissa hai.” Aap ne kaha “Yeh mumkin hi nahi.” Yeh sunkar Padri ne aap ko pitna shuru kiya. Magar pitne ke baad bhi har baar aap ne yahi kaha. Paadri ne aap ko un ke waalid ke paas bhej diya.

Aap ke waalid ne aap ko 3 din tak ek kamre me qaid karke rakha. Roz aap ko khaane ke liye roti di jaati magar aap ne use khaya nahi. Jab unho ne kamra khola to aap bhaagkar baahar chale gaye. Aap apne waalidain ke eklaute bete the. Is liye unho ne aap ko paigham bheja ke “Tum wapas aa jao aur tum jis mazhab ko apnaana chaaho tumhe ijazat hai.”

Aap Hazrat Imam Sayyed Ali al-Riza ke paas gaye aur Islam mein dakhil hue. Phir aap jab ghar aaye to aap ke waalidain ne bhi Islam apnaya.

Aap Ki Talimaat:

Aap ne Hazrat Imam Ali al-Riza, Hazrat Imam e aazam Abu Haneefa, aur Hazrat Khwaja Habeeb Raa’ee rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.

Ek arse tak Hazrat Khwaja Daawūd al-Taai rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar ta’aleem haasil ki..

Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه bahut parhezgar, muttaqi aur Aarif billāh the.

Aap puri raat masjid mein ibadat aur astaghfar ki guzaarte aur khauf e khuda se rote rehte.

Hazrat Maroof Karkhi azan dete to jab aap ‘Ash Hadu al laa ilāha ill-Allāh’ par pahunchate to aap ke badan ke tamaam baal khade ho jaate, aap ki daadhi sakht ho jaati, aur is tarah kaanpne lagte ke jaise gir jaayenge.

Ek baar Aap ke ek shaagird ne aap se puchha “Aisi kaun si baat hai jo aap duniya se aur logo se parhez karte ho aur tanhai me ALLĀH ke zikr me masroof rehte hain? Kya maut ke khuaf ki wajah se ya Qabr ke khuaf ki wajah se ya dozakh ke khauf ki wajah se ya jannat ki khwahish me?” Aap ne farmaya “Dost! Tum bahut mamooli cheezo ki baat kar rahe ho. Ye sab cheeze ALLĀH ta’ala ke aage bahut maamooli hain. Jab ek baar tum ALLĀH ta’ala ki qurbat ki lazzat paa lo to phir dusri cheezo ke baare me soch bhi nahi sakte.” Aap hamesha ba-wuzu rehte the.

Ek baar Aap ka wuzu toot gaya. Aap ne foran Tayammum kar liya. Waha maujood logo ne aap se arz kiya “Huzoor! Aap ne tayammum kyun kiya haalaanke Darya e Dajla [Tigris] bilkul aap ke samne hi hai?” Aap ne farmaaya “Yeh bhi to mumkin hai ke main darya e Dajla tak pahunchu us ke pehle mujhe maut aa jaaye.”

Hazrat Maroof Karkhi bahot sakhi aur raham dil the. Hamesha logo ko madad karte rehte the.

Hazrat Sirri al-Saqati farmate hain “Ek baar eid ke din maine Hazrat Ma’aroof al-Karkhi ko khajoor chunte hue dekha. Maine Aap ko is ki wajah puchhi to Aap ne farmaya ke : ek chhota bacha ro raha hai kyun ki dusre bacho ke paas acche kapde hain aur us ke paas achhe kapde nahi hai. Main chahta hu ke kuchh khajooren jama karke unhe bechkar us bache ke liye kapdo ka intazaam karu. Taake woh bhi dusre bacho ke saath khush hokar khele. Maine arz kiya : Huzoor! Aap ko ye sab jahemat uthaane ki zaroorat nahi. Main us bache ko apne saath le jaata hu aur us ke liye achhe kapdo ka intazaam karta hu. 

Jab main us bache ko apne saath lekar gaya aur use naye kapde diye tab maine mehsoos kiya ke mere dil me me ek noor daakhil   hua jis se mujhe behad khushi mehsoos hui aur mere haalaat badal gaye.”

Ek baar Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه apne shaagirdo ke saath darya e Dajla se guzar rahe the tab sab ne dekha ke jawano ka ek giroh gunaho me mubtila tha. Aap ke chand shaagirdo ne Aap se un ke liye bad-dua karne ke liye kaha taake dusre log aise gunaaho ki aadat se mehfooz ho jaayen.’ Aap ne sab ko dua ke liye haath uthaane ke liye aur dua ke baad Ameen kehne ke liye farmaya. Phir Aap ne dua ki “Aye ALLĀH! Jis tarah tune in ladko ko dunya me aish o aaraam diya hai usi tarah aakhirat me bhi khush haali ata farma.” Yeh sunkar sab logo ko ta’ajjub hua. Aap ne farmaya “Jald-baazi mat karo, sabr rakho.”

Kuch der baad jab wo ladke qareeb aaye aur Hazrat ko dekha to sharminda hokar apne mazaamir tod diye aur shaarab ki botal bhi phenk di. Aur Aap ki khidmat me rote hue tauba karne lage. Aap ne apne shaagirdo se farmaaya “Tauba karne walo ke liye akhirat me bhalai hai. Is tarah tum aur wo log dono pareshaani aur nuqsaani se bach gaye.”

Ek baar ek daakoo ko Governor ke hukm se phaansi di gai. Hazrat Ma’aroof al-Karkhi waha se guzre to aap ne us murda daakoo ko phaansi ke takhte par dekha. Aap ne ALLĀH ta’ala se dua ki “Aye Rahmān, Aye Raheem! Is shakhs ko us ke gunaaho ki saza duniya mein mil gai hai. To us ki maghfirat farma de aur use deen me bhalai ata farma kyun ki us se tere khazaana e bakhshish me koi kami nahi hogi.” Foran ghaib se ek awaz aai “Jo koi is shakhs ki namaz e janaza padhega jise phansi di gai hai, use aakhirat me aala maqaam ata kiya jaayega.” Yeh awaaz pure shaher me sab logo ne suni. Aur shaher ke log waha jama ho gaye aur us shakhs ko ghusl diya aur use kafan dekar us ki namaz e janaza padhi aur use dafan kiya.

Us raat ek shakhs ne khwaab me dekha ke Roz e mehshar wo shakhs jis e phaansi di gai thi wo umda kapde pehankar namaaziyo ka saath hai. Us ne us shakhs se puchha “Tum ne yeh martaba kaise hasil kiya?” Us ne jawab diya “ALLĀH ne Hazrat Maroof Karkhi ki dua ko qubool farmaaya aur mujhe bakhsh diya.”

Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Daawūd al-Taai rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Imam Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Habeeb Raa’ee rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilafat ata farmaye hai.

Aap ke khulfa:

(1) Hazrat Shaikh Sirri al-Saqati رحمة الله عليه,

(2) Hazrat Shah Muhammad رحمة الله عليه,

(3) Hazrat Shah Qaasim Baghdadi رحمة الله عليه,

(4) Hazrat Uṡmaan Maghribi رحمة الله عليه,

(5) Hazrat Hamza Khiramani رحمة الله عليه,

(6) Hazrat Abu Nasr Abraar رحمة الله عليه,

(7) Hazrat Shah Musta’aani رحمة الله عليه,

(8 ) Hazrat Shah Abu Saeed رحمة الله عليه,

(9) Hazrat Abu Ibrāheem Daloori رحمة الله عليه,

(10) Hazrat Abul Hasan Haarooni رحمة الله عليه,

(11) Hazrat Shah Ja’afar Khaalidi رحمة الله عليه,

(12) Hazrat Shaah Muhammad Roomi رحمة الله عليه,

(13) Hazrat Shaah Abu Kaatib Mansoor Aarif رحمة الله عليه,

(14) Hazrat Shaah Abdul Haq Haqaa’iq Aagah رحمة الله عليه,

Hazrat Maroof Karkhi se Tareeqat ka ‘Karkhiya’ silsila jaari hai. Jis se Saqatiya, Junaidi, Gazruniya, Tusiya, Qaadri, Suharwardi, Rifaeeya, Maghribi, Badawiya, aur Maulawi [Mevlevi] silsile ta’alluq rakhte hain.

Aqwaal :

Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه irshad farmate hain :

(1) Jab bhi Rab ta’ala bande ke liye bhalai chahta hai to use nek amal ki taufiq ata farmata hai.

(2) Baghair Amal ke Jannat ki ummeed rakhna gunaah hai.

Baghair itteba e Sunnat ke Shafa’at ki ummeed rakhna ghuroor aur dhoka hai.

Baghair farmaan bardaari ke rahmat ki ummeed rakhna Jahaalat aur himaaqat hai.

(3) Ṡawaab aur Jannat ki iraade se nek amal karne waala Taajir hai jo sauda karta hai. Dozakh ke khauf se nek amal karne wala Ghulaam hai jo saza se darta hai. Jo sirf ALLĀH subhān wa ta’ala ke liye nek amal karta hai wohi sacha banda hai aur us ne najaat paa li.

(4) Agar koi nek insaan koi gunaah kare tab bhi woh us ke liye halal ya jaa’iz nahi ho jaata.

(5) Bure logo ki sohbat me rehna un ke gunaho ko sahi maanne jaisa hai aur gunah ko sahi maanna gunah karne ke barabar hai.

(6) Fuzool baat jo nafa bakhsh na ho us ke baare me guftagu karna yeh gumrahi ki nishani hai.

(7) Tamaam mushkilo ka hal logo se door rehne me aur khaaliq ke qareeb hone me hai.

(8 ) Jo log dunya ki daulat ke bhuke hai unhe kabhi sukoon nahi mil sakta.

(9) Ameero ki sohbat me rehne se jo nuqsaan hota hai wo bayaan karne ki had se bahar hai, us se hamesha door raho.

(10) Dunya ki mohabbat se kinaara-kash hone waala Hubbe Ilāhi ka maza haasil karta hai, lekin us ki mohabbat bhi us ke fazl se naseeb hoti hai.

Aapka Wisaal:

Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه ka wisaal 2 Muharram 200 Hijri (August 815 A.D.) ko hua.

Aap ka mazar Baghdad (Iraq) me hai.

Hazrat Yahyā bin Sulaimān rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke

“Main kaafi tangdast tha aur ek haajat thi. Ek martaba jab main Hazrat Shaikh Ma’aroof al-Kharkhi rahmatullāhi alaihi ke mazaare paak par haazir hua to maine 3 baar Surah Ikhlaas ki tilaawat ki aur us ka ṡawaab aap ko aur tamam musalmano ki arwaah ko pahunchaaya. Phir Apni Hajat ke liye istighaṡah pesh ki. Jaise hi main wapas aaya ALLĀH ta’ala ke fazl se meri hajat puri ho gai.”

(Rouz-ul-Faa’iq)

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Hazrat Maroof Karkhi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmaye aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *