Biography of Jafar ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Download Free Pdf

Hazrat Jafar Ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ

Alqaab:

Tayyaar (Flyer), Zul-Janaheen (The Winged), Abul Masaakin.

Jafar Ibn Abi Talib ki Wiladat:

Jafar Ibn Abi Talib ki wilaadat 590 A.D. me Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Abu Taalib Imraan ibne Abdul Muttalib aur waalida ka naam Hazrate Faatima bint Asad رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ hai. Aap Quraish ke Banu Haashim qabeele se hain.

Aap Ahle Bait ke un afraad me shaamil hain jin ki shakl o soorat Huzoor ﷺ se mushaabeh thi.

Jab qahet ke dauraan Abu Taalib apne bade pariwaar ki wajah se bahot zyada takleef me the tab Hazrate Abbaas رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Hazrate Ja’afar ko apne paas le liya aur un ki parwarish ki. Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne Hazrate Ali ko parwarish ke liye apne saath liya.

Jafar Ibn Abi Talib Islaam ki shuruat me hi Hazrat Abu Bakr Siddeeq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki daawat par musalman hue. Aap ki biwi Hazrate Asma bint Umays al-Hilaliya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ bhi 4 Nabawi (614 A.D.) me musalman hui.

Jab Quraish ne musalmano par shadeed zulm karna aur takleef dena shuru kiya to 3 Nabwi (613 A.D.) me Huzoor ﷺ ke farmaan par musalmano ke ek giroh ne Habasha [Abyssinia] ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is qaafile me 11 musalman mard aur 4 aurte thi.

Kuchh arse ke baad Musalman Makka waapas aaye to Quraish ne phir se un ko takleef dena shuru kiya.

5 Nabawi (615 A.D.) me jab musalmano ke giroh ne dusri martaba hijrat ki. Is dusre qaafile me Aap ne apni biwi Hazrate Asma bint Umays ke saath Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh  [qaafile] me 87 mard aur 17 aurten thi.

Waha Najaasi baadshaah Ashama ibn Abjar ne musalmano ko panaah di.

Quraish ko jab pata chala to unho ne Amr ibn Aas aur Abdullāh ibn Abi Rabiah ko safeer banakar Habasha bheja. Unho ne waha ke paadriyo se kaha ke “Humare mulk se baaghiyo ke ek giroh ne bhaagkar tumhare mulk me panaah li hai.

Un ka deen hamare mazhab se alag hai.” Phir jab baadshaah ke darbaar me gaye to use chamde ke saamaan ka hadiya pesh kiya aur apni baat batai aur musalmano ko waapas dene ke liye kaha. Paadriyo ne bhi un ka saath diya.

Magar baadshaah ne kaha “Main sirf tumhari baat sunkar faisla nahi kar sakta. Mujhe musalmano ki bhi baat sunni hogi.”

Jab musalmano ko darbaar me bulaaya gaya aur baadshaah ne un se kaha ke “Yeh kaun sa naya deen hai jis ke liye tum logo ne apni qaum aur un ke deen ko chhod diya hai aur yeh deen humare mazhab aur dusre mazhab se bhi alag hai.”

Musalmano ki taraf se Hazrate Jafar Ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aage aaye aur farmaaya “Hum jahaalat me the aur badkaari aur gumraahi me the. Buto  ki pooja karte the, murdaar jaanwar khaate the, gunaah me mubtila the.

ALLĀH ta’ala ne apne fazl se ek Rasool ﷺ bheja jis ne hume ek ALLĀH ki ibaadat karne ki taaleem di, hume sach bolne ki aur apne muamalaat me imaandaari ki taaleem di, rishtedaaro se sila rahemi ki aur padosiyo se husne sulook ki ta’aleem di, haraam se bachne ki aur yateemo ka maal hadap na karne ki ta’aleem di.

Hum un par eimaan laaye. Logo ne hum par zulm karke hume in sab ta’aleemaat par amal karne se rokne koshish ki. Is liye hum humara watan chhodkar amaan ki talaash me aap ke mulk me aaye hain.”

Najaasi baadshaah ne puchha “Tumhare Nabi par ALLĀH ki taraf se koi kalaam naazil hua hai.” Hazrate Jafar Ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne farmaaya “Haan.” Najaasi baadshaah ne kaha “Padhkar sunaao.”

Jafar Ibn Abi Talib ne khush aawaaz me Soorah al-Maryam ki Aayaten tilaawat ki jin me Hazrate Maryam aur Hazrate Eisā alaihis salaam ka bayaan tha. Jise sunkar Baadshaah aur tamaam paadri rone lage yaha tak ke us ki daadhi bhig gai. Phir baadshaah ne kaha “Hum musalmano ko nuqsaan nahi pahuncha sakte.’

Quraishi safeero ne baadshaah se kaha ke “In se puchho ke wo Eisā alaihis salaam ke bare me kya kehte hain?”

Hazrate Jafar Ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne kaha “Humare Nabi ne farmaaya hai ke Hazrate Eisā alaihis salaam ALLĀH ke bande aur Rasool ﷺhain, woh kalimatullāh aur Roohullāh hain jin ko ALLĀH ne Hazrate Maryam ke paak batan se paida farmaaya hai.”

Yeh sunkar baadshaah ne kaha “Khuda ki qasam, Tumhare Nabi ne sahi farmaaya hai, Hazrate Eisā Hazrate Maryam ke bete hain.”

Phir kaha “Tum log be-khauf ho jaao. Tumhe koi nuqsaan nahi pahuncha sakta.” Aur Quraishi safeero ko waapas chale jaane ke liye kaha.

Aap Habasha [Abyssinia] me 12 saal rahe aur aap ke 3 saahabzaade ki wilaadat wahi hui.

Aap Hazrate Sa’ad ibn Abi Waqqaas رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke saath isha’ate Islaam ke liye safar karke Habasha se Tibet aur Chin ke ilaaqe me tashreef le gaye.

Aap Safar 7 Hijri (June 628 A.D.) me Madeena munawwara tashreef laaye to pata chala ke Huzoor ﷺ Islaami fauj ke saath Khaibar tashreef le gaye hain. Aap Khaibar pahunche to pata chala ke musalmano ne Khaibar ko fatah kar liya hai.

Huzoor ﷺ se Aap ki mulaaqaat hui to Huzoor ne muhabbat se Aap ki peshaani choomi aur farmaaya ke “Main kuchh tay nahi kar sakta hu ki mujhe Khaibar ki fateh se zyada khushi hui hai ya tumhare aane se. Tum soorat aur kirdaar me mujh se sab se zyada mushaabeh [miltjulta] ho.”

Aap is qadar sakhi the ke ghareebo ko apne ghar le jaate aur jo kuchh hota wo khairaat kar dete, yaha tak ke kai baar to khud ke liye bhi kuchh nahi rakhte.

Pariwaar :

Aap ka nikaah Hazrate Asma bint Umays se hua.

Jafar Ibn Abi Talib ke 3 saahabzaade hain :
Abdullāh, Muhammad aur Awn

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Sayyed Hayaat-ul-Meer Zinda Peer Qaadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

 Shah Abdul Lateef Qadri ke khulfa :
1) Hazrat Shaikh Hasanain رحمة الله عليه,
2) Hazrat Shaah Bahlool Daryai رحمة الله عليه.

7 Hijri (629 A.D.) me Huzoor ﷺ ne apne sahaaba ko khato ke saath Islaam ki da’awat ke liye alag alag mulko ke baadshaah ke paas bheje.

Hazrat Haariṡ bin Umair Azdi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko safeer banakar Bosra ke baadshaah ki jaanib bheja. Hazrat Haariṡ bin Umair Azdi jab maqaame Mu’tah par pahunche to waha ke governor Sharjeel Ghassani ne aap ko rokkar shaheed kar diya.

Jab Huzoor ﷺ ko pata chala to Aap ne Jamaadi-ul-awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Harzte Zaid bin Haariṡa رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko saalaar banakar 3000 musalmano ka lashkar bheja.

Jab musalman Musharif pahunche to pata chala ke Byzantine aur un ke saathiyo ka lashkar taqreeban 200000 ka hai. Musalmano ne intazaar karne ka aur Madeena se madad mangwane ka mashwara kiya. Magar Hazrate Abdullāh ibn Rawaahah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne irshaad farmaaya ke “Musalman baatil se jung karne se ya shaheed hone se darta nahi hai.”

Hazrat Zaid ibn Haariṡah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne pehle kaafiro ko islaam ki da’awat di magar wo na maane. Aakhirkaar maqaame Mu’tah par muslim lashkar ne kaafiro ke saath jung ki.

Jung me Hazrate Zaid bin Haariṡa رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ shaheed hue to muslim lashkar ka alam Hazrat Jafar Ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne thaam liya aur bahaaduri ke saath dushmano ki safo ka safaaya karne lage.

Jab Jafar Ibn Abi Talib ka ghoda jakhmi ho gaya to Aap paidal ladne lage aur dushmano ne jab har taraf se waar karna shuru kar diya to pehle aap ka ek baazu kat gaya lekin Aap ne dusre baazu se jhanda thaam liya aur isi tarah ladte rahe.

Jab dushmano ne dusra baazu bhi juda kar diya tab Aap ne dono baazuo ke bache hue hisso ko jodkar Alame Islaam ko apne sine se laga liya lekin Alam ko girne na diya. Aakhir usi haalat me Aap ne shahaadat paai.

Jafar Ibn Abi Talib ki shaahadat ke baad Hazrate Abdullāh ibn Rawaahah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ saalaar e lashkar bane aur woh bhi shaheed ho gaye.

Jafar Ibn Abi Talib ka Wisaal:

Jafar Ibn Abi Talib ka Wisaal 5 Jamaadi-ul-awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Junge Mu’tah ke dauraan hua.
Jafar Ibn Abi Talib ka mazaar Mu’tah (Jordan) me hai.

Jafar Ibn Abi Talib ki is azeem qurbaani ka Rab ta’ala ne ye in’aam ata farmaaya ke Aap ke kate hue baazuo ke badle 2 par ata farmaaye. Chunaanche Aap ‘Tayyaar’ (Flyer) aur ‘Zul-Janaheen’ (The Winged) ke alqaab se mash’hoor hain.

Hazrat Abdullāh ibne Abbaas رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwaayat hai ki

“Ek roz hum baargaahe risaalat me haazir the. Achaanak Huzoor ﷺ ne aasmaan ki taraf sar uthaaya aur farmaaya ‘wa alaikumus salaam wa rahmatullāhi wa barkaatuhu’. Logo ne arz kiya ke : Huzoor! Aap ne kis ke salaam ka jawaab diya? Huzoor ﷺ ne farmaaya ke : Abhi mere paas se Ja’afar bin Abi Taalib farishto ke ek giroh ke saath guzre hain aur unho ne mujhe salaam kiya jis ka maine jawaab diya.”

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Jafar Ibn Abi Talib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ﷺata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *