Biography of Hazrat  Allama Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Allama Mufti Sibtain Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

Laqab:

Ameen-e-Shariat.

Aap ki Wiladat :

Aap ki wilaadat 22 Jamaadi-ul-Awwal 1346 Hijri (11 November 1927 A.D.) ko Bareilly me hui.

Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Allama Mufti Hasanain Raza Khan bin Maulana Hasan Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه aur waalida ka naam Munawwari begam hai.

Hazrat Allama Maulana Mohammad Raza Khan ne Aap ki Bismillāh khwaani iz ki. Aap ne Haafiz Sayyed Shabbeer Ali Razawi Bareilwi se Qir’at ki ta’aleem haasil ki aur Haafize Qur’ān hue.

Phir Daar-ul-Uloom Manzare Islaam me Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan Bareilwi, Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazami, Hazrat Mohaddeeṡ e Aazam e Pakistan Allama Maulana Sardaar Ahmad Khan, Hazrat Allama Maulana Qaazi Shams-ud-deen Jaunpuri, Haafiz Abdul Raoof Balyami, Shaikh-ul-Hadeeṡ Ghulaam Mohammad Yāseen Poornawi Bihari, aur Maulana Zaheer-ud-deen رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki. Phir Aligarh University me 2 saal Hikmat ki ta’aleem haasil ki.

Phir Aap Mazhar-e-Islaam me Mudarris bane. Phir Madrasa Isha’at-ul-Haq, Nainital me, Jaamia Arabia, Nagpur me aur phir Madrasa Faiz-ul-Islaam me mudarris rahe.

1383 Hijri (1963 A.D.) me Aap Kanker (Chhattisgarh) tashreef laaye aur Jaama Masjid ke bagal me qayaam pazeer hue aur khidmate deen karte rahe.

Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه aala darje ke Aalim aur Mufti the. Aap qasbaat aur gaanvo me jaakar ta’aleem e deen karte aur Maslake Ahle Sunnat ki isha’at ke liye khub mahenat ki.

Aap hamesha saadgi pasand farmaate. Bus, Train aur Ricksha me safar karte. Ameer aur Ghareeb se yaqsa sulook karte.
Mehmaano ka khaas khayaal rakhte.

14 Moharram 1402 Hijri (1981 A.D.) ko Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ke wisaal ke baad Aap Hazrat ko qabr me utarne me shareek hue.

Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ne 6 martaba Hajje Baitullāh ki sa’adat haasil ki aur har baar Baghdad shareef ki bhi ziyarat ki.

Aap ne bahot saari nazamen likhi hain

Aap ki Karaamat:

(1) Mohammad Imtiyaz naami Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ke ek mureed Abu Dhabi me Driving Licence haasil karne me nakaam hue. Unho ne Hazrat se baat karke dua ke liye arz kiya. Aap ki dua se Driving Licence haasil karne me kaamyaab ho gaye. Isi tarah Shakeelbhai naami Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ke ek mureed ko Dubai me Driving Licence nahi mil raha tha. Aap ki dua se unhe bhi Driving Licence mil gaya.

(2) Mohammad Aves Raza naami ek ladke ne 12wi class ke baad do martaba M.B..B.S. ka daakhile ka imtihaan diya. Lekin 2 marks se woh reh gaya. Us ne maayoos hokar imtihaan na dene ka faisla kiya. Uske waalid ne Hazrat se dua ke liye arz ki. Aap ne farmaaya “In shaa Allāh is baar bahot achhe marks aayenge.” ALLĀH ta’ala ke fazl us ladke ne Zila me Awwal aur State me 63 darja haasil kiya.

(3) Shakeelbhai ke pariwaar me kuchh masa’il the aur unki bahen ko bhi (jaadoo ke sabab) theek nahi tha. Unho ne Dubai se Hazrat se baat ki. Aap ki dua se aur taaweez se sab theek ho gaya.

(4) 1434 Hijri (January 2013 A.D.) me ek Hindu pariwaar ka ladka bahot beemaar tha aur bahot kamzor ho gaya tha. Use Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ke paas lekar aaye to Aap ki dua se woh sehatyaab ho gaya.

(5) Allama Ashraf Raza Sibtaini bayaan karte hain ki “Ek martaba ek shakhs aap ki khidmat me haazir hua. Use kai saal se aulaad nahi thi. Bahot saare doctors ko bata chuke the. Aap ki dua se aur taaweez se ALLĀH ta’ala ne us ke yaha aulaad ata farmai.”

Pariwaar:

5 Sha’abaan 1376 Hijri (7 March 1957 A.D.) ko Aap ka nikaah Hazrat Mufti Abdur Rasheed Fatehpuri ki saahabzaadi se hua.
Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ke 4 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain :
Saahabzaade :
(1) Maulana Junaid Raza Khan urfe Salmaan Razawi
(2) Maulana Ubaid Raza Khan urfe Noamaan Razawi.
Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه ke dusre 2 saahabzaade ka intiqaal

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Mufti Sibtain Raza Khan رحمة الله عليهHazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 26 Moharram 1437 Hijri (9 November 2015 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me Aur Hazrat Ameen e Shariat Allama Mufti Sibtain Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *