Biography of Hazrat Allama Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Sher Besha e Ahle Sunnat [The Lion of Ahle Sunnat], Naasir-ul-Islaam, Asad-ul-Millat, Munaazir-e-Aazam, Ghaa’iz-ul-Munaafiqeen, Mazhar-e-Aala Hazrat.

Aap ki Wiladat:

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه ki wilaadat 1319 Hijri (1901 A.D.) me Lucknow me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Haafiz Muhammad Nawaab Ali Khan urfe Hidaayat Rasool Rampuri bin Muhammad Hayaat Khan hai.

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه ke Jadde amjad Muhammad Khan Afridi ‘Dare e Khyber’ (Maujooda Pakistan) se Lucknow aaye aur yaha fauji afsar ke ohade par faa’iz kiye gaye.

Aap ki Talimaat:

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه ne ibtidaai ta’aleem Haafiz Qaari Tuaha Tonki se haasil ki. Phir Madrasa e Furqaaniya, Lucknow me daakhil hue. 9 saal ki umr me Aap Haafize Qur’ān hue aur 12 saal ki umr me Tajweed aur Qir’at-e-Saba ke maahir hue.

Faarsi ki ibtidaai ta’aleem Ahmad Husain Lucknowi se haasil ki, aur Nahw wa Sarf ki ibtidaai kitaaben Maulwi Naseer-ud-deen se padhi.
Wahaabi firq ki aṡar ke tahet Mehfil e Meelaad ko Shirk o Bid’at kehkar waalidain ko aisa karne se bachne ki talqeen karne lage. Aap ke waalidain Aap ki ye baaten sun kar hairaan o pareshaan hue.

Ek roz jab Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه madrasa se padhai ke baad ghar aaye to dekha ke Aap ki waalida kuchh kitaaben dhoop me sukha rahi hain. Aap un kitaabo ko dekhne lage. Un me Aa’la Hazrat ki ‘Tamheed-ul-Eimaan ba Aayat-e-Qur’ān’ naami kitaab bhi thi. Aap ne us ko uthaaya aur padhna shuru kiya. Jaise jaise Kitaab ka muta’alla karte gaye gumraahi door hoti gai aur dil ka aalam badal gaya aur farmaane lage “Yaqeenan kaafir hain, Yaqeenan kaafir hain.”

Phir 1335 Hijri (1917 A.D.) me Bareilly tashreef laaye aur 16 saal ki umr me Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

Phir Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam, Bareilly me Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan, Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi, Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan, Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan, aur Hazrat Maulana Raham Ilāhi Manglori rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.

Ta’aleem ke dauraan Aa’la Hazrat ne Aap par khaas nigaahe tawajjoh farmai. 1335 Hijri (1917 A.D.) me Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan ne Aap ko Dastaar-e-Fazeelat ata farmai.

Is ke baad Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam me Mudarris bane. Phir Jamaat-e-Raza-e-Mustafa, Bareilly me Mufti bane. Phir Daar-ul-Uloom Ahle Sunnat Miskeenia me Sadr-ul-Mudarriseen bane. Phir Gojra waala me Zeenat-ul-Masjid me Khateeb bane.

Aap ke Munazaarat:

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه a’ala darje ke Munaazir the.

Aap ka sab se pehla Munazara Haldavani me hua. 18 Saal ki umr me A’ala Hazrat ne Aap ko Sadr Munaazir banakar bheja. Deobandiyo ki taraf se Ashraf Ali Thanwi ka Khalifa Yaasin Khaam-sarai Sadr Munaazir tha. Deobandi us ko apna sab se bada munaazir maante the. Us munazare me Deobandiyo ko shikast mili Aur Ahle Sunnat ko ALLĀH ne fatah aur kaamyaabi ataa farmai.

Jab Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه A’ala Hazrat ki baargaah me aaye A’ala Hazrat ne Aap ko qareeb bulaaya aur khade hokar apne seene se lagaaya. Phir apna amaama shareef Aap ke sar par rakha aur apna jhubba mubarak ataa farmaaya aur Aap ko apni jeb se 5 rupye inaayat farmaaye.

A’ala Hazrat ne Aap ko ‘Abul Fatah’ aur ‘Ghaa’iz-ul-Munaafiqean’ ke alqaab ata farmaaye the.
Wahaabi, Qadiani, Nechari, Chakralwi, Khaaksaari, aur Bahai jaise Bad-mazhab firqo ke saath Munaazara me ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap ne hamesha fateh haasil ki.

Sudhi tehreeq ke dauraan bhi Aap ne Islaam aur musalmano ki hifaazat karne me kaamyaabi haasil ki. Aap ki taqreer aur wa’az sunkar beshumaar logo ka eimaan aur aqeeda mazboot hua. Aap ne logo ke dilo me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki, Ahle bait ki aur Auliya Allāh ki mohabbat mazboot ki.

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه ne apni taqreer aur tehreer [tasannif] ke zariye Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki.
Aap ke hum-asr ulama wa masha’ikh Aap ki bahot ta’azeem wa takreem karte the.

Deedar e A’ala Hazrat:

Ek martaba shehre Surat me Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه taqreer farma rahe the. Maulana Ghulaam Nizaam-ud-deen Qaadri Barkaati ne dekha ke Ek buzurg safed daadhi, safed malmal ka angrakha pehne safed amaama baandhe apne asaa par zor dekar Sher Besha e Ahle Sunnat rahmatullāhi alaihi ki kursi ke pichhe jalwa afroz hain aur apna daahina haath Hazrat ki pusht mubarak par rakhe hue hain.

Maulana Ghulaam Nizaam-ud-deen Qaadri Barkaati un ko dekhkar khade ho gaye. Dauraane wa’az jab Hazrat ne Maulana ko khade dekha to baithne ke liye kaha. Magar Maulana salaat o salaam tak khade rahe. Jab Hazrat dua maangne lage to woh Buzurg nigaah se ojhal ho gaye aur Maulana baith gaye.

Qayaam-gaah par aane ke baad Hazrat ne Maulana se khade hone ka aur aakhir tak khade rehne ka sabab puchha to unho ne waaqia bayaan kiya aur un Buzurg ki shakl o shabaahat bataai. Hazrat ne yeh sunkar farmaaya ke “Aap barkat waale hain ke aap ko Mujaddid e deen o millat Sarkaar A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Faazile Bareilwi rahmatullāhi alaihi ki bedaari me ziyarat naseeb hui aur Alhamdulillāh ke Huzoor Aala Hazrat is Faqeer Sage Razawi se raazi hain aur madad farma rahe hain.”

Aap ke 6 saahabzaade hain :

(1) Mushaahid Raza Khan
(2) Ahmad Mas’ood Raza Khan
(3) Askari Raza Khan.
(4) Idrees Raza Khan
(5) Ma’asoom Raza Khan
(6) Naasir Raza Khan

Tasannif :

Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben:

(1) Anwaar e Ghaib
(2) Al-Qilaadatul-Tayyab
(3) Raadd-ul-Muhannad
(4) Taqreer Muneer e Qalb
(5) Qahr Wajid Diyan Bar Hamsheer Bast-ul-Banan
(6) Shamme Munawwar Raahe Najaat
(7) As-Samare-ul-Hindiya
(8 ) Ulama e Deoband ki Makkariyan

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه ke mureedi aur khalifa hain.

Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Maulana Abul Masaakin Zia-ud-deen Pilibhiti rahmatullāhi alaihi ne Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه ko khilaafat ata farmai hai.

Aap se ‘(Qaadri Barkaati Razawi) Hashmati’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Allama Mushaahid Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Allama Maulana Ahmad Mas’ood Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Haafiz Qaari Askari Raza Khan
(4) Hazrat Allama Idrees Raza Khan
(5) Hazrat Maulana Taqaddus Ali Khan
(6) Hazrat Allama Abdul Mustafa Hashmati
(7) Hazrat Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shaah Mustafa Haidar Hasan Barkaati rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Haafiz Muhammad Abdus Salaam Razawi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Abdul Wahaab Balrampuri.

Aap ka Wisaal:

Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه ka wisaal 8 Moharram 1380 Hijri (3 July 1960 A.D.) ko subah ko 10 baje hua.

Aap ka mazaar Hashmat nagar, Pilibhit (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Allama Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *