Biography of  Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه

Aap ki Talimaat:

Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه ne 9 saal ki umr me Akhund Burhaan-ud-deen se Qur’ān majeed Hifz kiya aur Hazrat Maulana Shaah Abdul Qaadir bin Waliullāh Mohaddiṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi se Soorah al-Baqarah ki aakhri ruku padhi.

Phir Hazrat Maulana Shaah Kareemullāh Dehlawi aur Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddiṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi se Hadeeṡ, Tasawwuf aur deegar uloom ki ta’aleem haasil ki.

Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه ne bahot saare buzurgaane deen se faize roohaani haasil kiya.
Aap bahot hi Muttaqi, parhezgaar aur jaame uloom e shariat wa tareeqat the.
Bahot waqt tak riyazat o mujaahida bhi kiya.
Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه ‘Shaah Maqbool Ahmad Qaadri’ ke naam se bhi mash’hoor hain.

Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه ne ‘Ratib-ul-Attaas’ naami kitaab likhi hai.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Muhammad Ghauṡ Qaadri rahmatullāhi alaihi (Lahore) ke mureed aur khalifa hain.

Aap ka Wisaal:

Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه ka wisaal 10 Moharram 1296 Hijri (4 January 1879 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Delhi me Hazrat Khwaja Muhammad Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi ki dargaah ke bagal me jaanibe uttar ek ihaate me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ke sadqe me Aur Hazrat Akhund Hafiz Abdul Azeez Dehlawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *