Biography of Hazrat Haji Abdul Rehman Shah Baba رحمة الله عليه | Download Free Pdf

Haji Abdul Rehman Shah Baba

Hazrat Haji Abdul Rehman Shah Baba رحمة الله عليه

Alqaab:

Dongri ke Sultaan, Karam Nawaaz.

Haji Abdul Rehman Shah Baba ki Wiladat:

Haji Abdul Rehman Shah Baba ki wiladat 1211 Hijri me Sennur (Saalem, Madras) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shams-ud-deen Qaadri hai.

Haji Abdul Rehman Shah Baba ne Mumbai aakar Paydhuni me ek masjid me sukoonat ikhtiyaar ki.
Aap Haafiz e Qur’an the. Aap madrasa me bacho ko Qur’an ki ta’aleem dete the.

Hajj e Baitullāh ke dauraan Aap ne Mirza Sinia se faiz haasil kiya.
Hajj se waapas aane ke baad Aap sab kuchh chhodkar ibaadat wa riyaazat me masroof ho gaye.

Dongri Ke Sultan apne saath ek asaa (chhadi) rakhte aur log aap ko apni pareshaani bayaan karte tab Aap us asaa ko un ke sar par maarte

Haji Abdul Rehman Shah Baba ki Karamat:

(1) Ek baar musaafir khaane me thehre hue ek shakhs ne kisi galat fehmi ki wajah se thaane me aap ke khilaaf shikaayat darj karaai. Police ne aap ko hawaalaat me daal diya. Shaam ko Baaba ko logo ne baahar dekha jab ke hawaalaat ka taala khula bhi nahi tha. Police ne phir se aap ko hawaalaat me band kar diya. Aap phir se baahar nazar aaye. Kai baar aisa hone ke baad police ne aap ko riha kar diya.

(2) Ek shakhs ke ladke ko fode ki beemaari thi. Koi dawa se faa’ida nahi hota tha. Dongri ke Sultan ne us ke sar par aap ka asaa (laathi) maari to khoon jaari ho gaya aur phir ALLĀH ke fazl se wo bilkul theek ho gaya.

(3) Ek martaba ek 10 saal ke bache ko shadeed bukhaar hua. Kisi dawa se use bukhaar me koi faa’ida nahi hua. Aap ne use ek kela khaane ke liye diya. Jaise hi us ne kela khaaya ke foran wo tandurast ho gaya.

(4) Ek martaba Aap ek ghareeb aurat ke ghar ke paas se guzre to aap ne use chaay pilaane ke liye kaha. Us ne ek piyaale me chaay bharkar aap ko di. Aap ne chaay peene ke baad chule me se koyle ke 2 tukde us piyaale me daal diye. Aap ke waha se rawaana hone ke baad us aurat ne dekha ke piyaale me jo koyle ke tukde baaba ne daale the wo sone me tabdeel ho gaye.

(5) Ek martaba ek phool bechne waala aap ki baargaah me aaya aur arz kiya ke “Huzoor! Main kiraaye ke makaan me rehta hu aur kiraaye ke raqam itni baaqi hai ke main ise ada nahi kar sakta hu. Aap karam farma dijiye.” Aap ne use shaam tak intazaar karne ke liye farmaaya. Shaam ko ek anjaan shakhs ke paas aaya aur use ek thaili di. Us shakhs ne dekha to pata chala ke thaili me itni raqam thi jitni use kiraaya ada karne ke liye zaroorat thi.

(6) Ek martaba ek shakhs aap ke paas aaya aur arz kiya ke “Main aaj jahaaz ke samundar me safar ke liye jaa raha hu. Aap dua farma dijiye.” Aap ne use us jahaaz me safar karne se mana farmaaya. Us shakhs ne aap ke farmaan ki taamil ki. 15 din baad us shakhs ko khabar mili ke wo jahaaz samundar me doob gaya hai aur laa pata hai.

Haji Abdul Rehman Shah Baba

Haji Abdul Rehman Shah Baba ka Wisaal:

Haji Abdul Rehman Shah Baba ka wisaal 1 Jamaadi ul awwal 1336 Hijri (13 February 1918 A.D.) ko hua.
Haji Abdul Rehman Shah Baba ka mazaar Dongri, Mumbai (Maharashtra) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺke sadqe me aur Hazrat Haji Abdul Rehman Shah Baba رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *