Hazrat Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه
Alqaab :
Ustaad-ul-Hind, Wajeeh-ul-Millat.
Aap ki wilaadat :
Aap ki wilaadat 22 Moharram 910 Hijri (1504 A.D.) ko Champaner (Gujarat) me hui.
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke walidain:
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Qaazi Sayyed Nasrullāh bin Qaazi Sayyed Amaad-ud-deen رحمة الله عليه hai. Aap Husaini saadaat hain.
Aur Hazrat Imaam Sayyed Mohammad al-Taqi al-Jawwaad رحمة الله عليه ki nasl se hain. Agar Aap ki waalida be-wuzu hoti to Aap doodh nahi peete the.
Aap ki Talimaat:
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ne apne chacha Hazrat Sayyed Shams-ud-deen aur maamu Hazrat Sayyed Abul Qaasim se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Aap ta’aleem ke liye Ahmedabad tashreef laaye.
Aur Hazrat Maulana Imaad-ud-deen Taarmi رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.
Jab Hazrat ka wisaal hua to Aap ko afsos hua ke Hazrat se mazeed ta’aleem bhi haasil kar leta.
Ek roz Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam khwaab me tashreef laaye farmaaya ke “Aye farzand! Magmoom na ho jitne Uloom tumhare Ustaad ko ma’aloom the us se zyada hum tumhe inaayat karte hain.” Aur ek kaagaz dikhaaya jis par Uloom ke naam tehreer the.
Aap farmaate hain ke “Us ke baad main jis kisi ilm ki jaanib mutawajjeh hua to kuchh hi waqt me aisa ma’aloom hota ke main is ka maahir ho gaya hu.”
Aap 9 saal ki umr me Hazrat Shaikh Qaazan Chishi Naharvali رحمة الله عليه ke mureed hue aur Hazrat se uloom-e-baatini ki ta’aleem haasil ki.
15 saal ki umr me Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ne Hazrat Muhammad bin Ahmad Maaliki se aur deegar ulama se Hadeeṡ, Mantiq aur Falsafa ki ta’aleem haasil ki.
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ne Hazrat Abul Barkaat Mohaddeeṡ Abbaasi Bunyani رحمة الله عليه se uloom-e-baatini ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Badr-ud-den Shaah Bada bin Abul Qaasim Siddeeqi aur Hazrat Najm-ud-deen Siddeeqi se Silsila e Suharwardi ke Ashgaal wa Azkaar ki ta’aleem haasil ki.
Aap 10wi sadi ke Mujadded e Islaam hain.
Aap ‘Haidar Ali ṡaani’ ke naam se bhi mash’hoor hain.
Aap Aalim aur Mufti the.
Aap Qur’an, Fiq’h, Ilme Istadalaal aur Ilme Riyaazi ke maahir the.
934 Hijri me Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ne Ahmedabad me Madrasa ki shuruat ki.
Aap 65 saal tak ta’aleem wa tadrees karte rahe.
80000 logo ne Aap se ta’aleem haasil ki.
Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Ali al-Muttaqi رحمة الله عليه ne (953 Hijri me) aur Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddeeṡ Dehlawi رحمة الله عليه ne (995 Hijri me) Aap ki sohbat me rehkar faiz aur ta’aleem haasil ki.
Shaahi khaandaan ke log Fatawa ke liye Aap ki baargaah me aate the.
Ahmedabad ke governor Murtuza Khan Bukhari Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke mureed the.
Tasannif :
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Risaala Jannate Adana ala Tafseer-e-Bayzaawi
(2) Haashiya Bayzaawi
(3) Haashiya ala Tafseer-e-Rahmāni
(4) Sharhe Nakhbaake Usool-e-Hadeeṡ
(5) Sharhe Tajreed
(6) Haashiya Alat Talbeeh fee Usool-il-Fiq’h
(7) Haashiyah Hidaayah
(8) Haashiyah Sharhe Wakaayah
(9) Haashiyah ala Sharhe Aqaa’id Taftazaani
(10) Sharh Mukhtasar ul Usool be Ibnul Haajib
(11) Haashiyah Ansari
(12) Haashiyah Kashf-ul-Usool
(13) Haasshiyah Shifa Qaazi Ayaaz
(14) Sharhe Basit fil Faraa’iz
(15) Risaalatun Nafikariyah fee ajawabanutfaqriyah
(16) Sharhe Madeemiyah
(17) Haashiyah Sharhe Chagmini
(18) Haashiyah Mukhtasar Ma’ani
(19) Haashiyah Ashaf khaani
(20) Sharhe Wajeezah
(21) Risalah al-Kalaam
(22) Haashiyah ala Sharhain al-Fataah fee Ilmul ma’ani wal bayaan
(23) Haashiyah ala Sharhil Msawaafiqe feel Kalaam
(24) Haashiyah Sharhe Mutaalia
(25) Haashiyah ala Sharhil Alaamatul Jaami
(26) Haashiyah Kafiyah fin Nahaw
(27) Haashiyah al-Jalaaliah
(28) Haashiyah Ala Minhul Alaamatul Imaamayni
(29) Vaafiyah Sharhe Kaafiyah
(30) Shaashiyah Ala Haashiyatul Khiyaali
(31) Sharhe Ibaat Minhul Imaamayni
(32) Sharhe Ibaate Tasheel
(33) Sharhe Tohfa e Shaahiya
(34) Haashiyah Sharhe Fawaa’ide Zeeyaih
(35) Sharhe Irshaad Qaazi Shahaab-ud-deen Daulatabadi
(36) Haashiyah Matul Ilme Ma’ani
(37) Haasiyah Zubdah
(38) Sharhe Shami Yah feel Manteeq
(39) Haashiyah Sharhe Tahzeeb
(40) Haashiyah Ainul Miftaah
(41) Haashiyah Kutbi Manteeq
(42) Sharhe Hikmatil Ayan
(43) Sharhe Lawaayehe Jaami
(44) Sharhe Kaleed Makhaazin (Faarsi)
(45) Haashiyah alal Sharhe Tazkeerah Nishapuri
(46) Sharhe Risaalah ala Kawshanji feel Hay’ate farasi
(47) Sharhe ala Jaamjahaan nooma (Faarsi)
(48) Risaalah Al-Kabb
(49) Risaalah Waqafe A’edaad
(50) Haqeeqate Mohammadiyah
(51) Risaalah Tarteeb fis Salaat
(52) Risaalah Eimaan
(53) Risaalah fee Tehqeeq-e-Iblees
(54) Hashiyah bar Haashiyah Mohqeeqe Dawaan
(55) Risael Tafseer Wallazeena Aaman Bi’eimaan
(56) Risaalah Fa-ammaa man sakolat mawaazinohu
(57) Haasiyah ala Kitaab us Sayyed shareef Jarjaani
(58) Risaalah Fee Ajaaybatul E’ateraazaat al-faqeeh ala Faazeese Hindi
(59) Haashiyah Bazudi
(60) Risaalah Tirik e Bai’at
(61) Al Mukhtasar ul Maulud alal Eimaan Jazari
(62) Abdul Awaraad ul Wajeeh
(63) Muktubaat Sharh
(64) Haashiyah Sharh Maksi’on Hanar
(65) Mukhtasir Talkhees
(66) Haashiyah Zaweri.
Aap hamesha saadgi aur faqr pasand farmaate the.
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke paas jo bhi maal batore hadiya aata wo sab Aap ghareebo aur haajat-mando ko taqseem kar dete.
Aqwaal :
Aap Irshaad Farmate Hai:
(1) Ghareebo, jaeefo ki madad karna yeh Haath ki ibaadat hai, Rishtedaar, Ulama e deen aur Auliya e kiraam se milne ke liye jaana yeh Pair ki ibaadat hai, Qudrat ke manzar dekhkar khaufe khuda paida hona yeh Aankh ki ibaadat hai, Kalaame Ilāhi padhna yeh Zabaan ki ibaadat hai, Duniya se door rehna aur aakhirat ki taraf mutawwajeh rehna yeh Dil ki ibaadat hai, aur Khuda se mulaaqaat ka shauq hona yeh Rooh ki ibaadat hai.
(2) Ilm haasil karne aur us par amal karne me lage raho, yehi asbaabe kaamyaabi hai.
(3) Jawaani ki riyazat zyada mufeed hai, is hisse ka zyada se zyada faaida uthaao.
Aap ki Karaamat:
Ek Martaba Aap apne kuchh shaagirdo ke saath Hazrat Shaikh Ahmad Ganj-bakhsh Khattu رحمة الله عليه ke mazaar shareef ki ziyarat ke liye jaa rahe the. Raaste me ek Haathi achanak paagal Aur be-qaabu ho gaya aur waha afra tafri mach gai.
Woh Haathi Aap ki taraf daudta hua aaya. Aap ki sawaari aise chhote raaste par thi ke us ko aage pichhe karna mushkil tha. Be-qaabu haathi ko aata dekh saare shaagird ghabrae.
Hazrat ne farmaaya “Ghabrao nahi.” aur apni Jooti mubarak us paagal haathi ki taraf phenki. Jaise hi Aap ki jooti us haathi par padi woh bilkul khaamosh ho gaya aur ek taraf chala gaya.
Pariwaar :
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke 9 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya hain :
Saahabzaade :
(1) Abdullāh Husaini
(2) Haamid
(3) Muhammad
(4) Abdul Haq
(5) Haidar
(6) Ghaalib
(7) Hamidullāh
(8) Abdul Shakoor
(9) Ghazanfarad.
Saahabzaadiya :
(1) Razi Paarsa,
(2) Ummatul Habeeba.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Shaikh Qaazan Chishti Naharvali رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Sayyed Shaah Muhammad Ghauṡ Gwaliori رحمة الله عليه ne ‘Shattaari’ silsila ki aur (Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke waalid) Hazrat Qaazi Sayyed Nasrullāh رحمة الله عليه ne Maghribi aur Chishti silsile ki Khilaafat ata farmai hai.
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Abdullāh Husaini Shattaari رحمة الله عليه (Ahmedabad)
(2) Hazrat Shaikh Ba-yazeed Sirhindi رحمة الله عليه,
(3) Hazrat Sayyed Sibghatullāh al-Barwaji رحمة الله عليه (Madeena munawwara)
(4) Hazrat Shaikh Abdul Qaadir رحمة الله عليه (Ujjain)
(5) Hazrat Shaikh Kamaal Muhammad Abbaasi رحمة الله عليه
(6) Hazrat Shaikh Abu Turaab رحمة الله عليه (Lahore).
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 28 Moharram 988 Hijri (1580 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Khanpur, Ahmedabad (Gujarat) me hai.
Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke mazaar ke qareeb ek kunva hai. Goonge aur totle (jo sahi tareeqe se bol nahi paate) ko kunve ka paani pilakar Sayyed Shah Wajihuddin Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه ke waseele se dua karne se ALLĀH ke fazl se shifa milti hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Ahmad Alwi Gujarati رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.