Biography of Shah Turab ul Haq Qaadri | Download Free PDF

Laqab:

Mujaahid e Ahle Sunnat, Shehanshaah-e-Khitaabat.

Aap ki Wiladat:

Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri ki wilaadat 27 Ramazaan 1363 Hijri (15 September 1944 A.D.) ke roz Hyderabad me hui.

Aap Hasani Saadaat hain. Aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazaam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ki Ibtadai Zindagi:

Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri ne ibtidaai ta’aleem Madrasa Tahtaaniyah, Hyderabad me haasil ki. Taqseem-e-Mulk ke baad 1370 Hijri (1951 A.D.) me Aap ka pariwaar Pakistan aa gaya.

P.I.B. Colony, Karachi me qayaam ke dauraan Faize Aam High School me ta’aleem haasil ki. Phir Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.

Is ke baad Aap ne Daar-ul-Uloom Amjadia, Karachi me ta’aleem haasil ki. Ta’aleem mukammal hone ke baad Aap Daar-ul-Uloom Amjadia, Karachi ke Mudaaris aur baad me Sadr bane.

Daar-ul-Uloom Amjadia, Karachi ke har jalse me Aap Khitaab farmaate. Aap Jamaat e Ahle Sunnat, Karachi ke Ameer aur Jama’ate Ahle Sunnat World ke Naazim the.

Aap Jamiat Ulama-e-Pakistan mein shamil hue. Aap Tehreek-e-Khatm-e-Nabuwat aur Tehreek-e-Nizaam-e-Mustafa mein bhi shareek hokar pur zor kiradaar ada kiya.

Aap Markazi Ruyat-e-Hilaal committee ke Chairman bhi rahe.

Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri Madrasa Anwaar-ul-Qur’ān Qaadriya Razawiya, Jaamia Anwaar-ul-Qur’ān Qaadriya Razawiya, Gulshane Iqbaal, Muslih-ud-deen Welfare Society, Al-Musallam Welfare Society ke Chairman the aur Daar-ul-Uloom Amjadia ke Naazim-e-Ta’aleemaat [Trustee] the aur Sunni Tehreek Ulama Board, Sunni Raahbar Council, Sunni Ittehaad Council ke Rukn the.

Aur Daar-ul-Uloom Musli-ud-deen, Tehreek-e-Awaam e Ahle Sunnat, Tehreek-e-Ittehaad-e-Ahle Sunnat, Jamiat-e-Ishaat-e-Ahle Sunnat, Bazme Raza, Anjuman-e Ishaat-e-Islaam ke Sar-parast the.

Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri chunav jitkar 1405 se 1408 Hijri (1985 to 1988 A.D.) tak Qaumi Assembly, Pakistan ke member rahe. Aap ne isha’at wa tabligh e deen ke liye Asia, Arab, Europe, America, aur Africa ke kai mulko ka safar kiya.

Aap ne apni Taqreer, Tasannif aur Fataawa ke zariye Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.

1388 Hijri (1968 A.D.) me Aap Bareilly tashreef laaye to Huzoor Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko Masjid-e- Raza me imaamat ka sharf ata farmaaya

Aap ki lihki hui Mashoor Kitabein:

(1) Tafseer-e- Soorah-al-Faatiha

(2) Tafseer Soorah Wa-Duha taa Soorah an-Naas

(3) Anwaar-ul-Qur’ān

(4) Zia-ul-Hadeeṡ

(5) Jamaal-e-Mustafa (sallallāhu alaihi wa sallam)

(6) Fazaa’il-e-Sahaaba wa Ahle Bait

(7) Shahaadat-e-Imaam Husain (radiy-Allāhu ta’ala anhu)

(8 ) Imaame Aazam Abu Haneefa

(9) Kitaab-us-Salaat

(10) Masnoon Duaen

(11) Tasawwuf aur Tareeqat

(12) Islaami Aqaa’id

(13) Jannati log kaun?

(14) Mazaaraat-e-Auliya aur Tawassul

(15) Falaah-e-Daarain

(16) Rasoole Khuda (sallallāhu alaihi wa sallam) ki Namaaz

(17) Muballigh banaane waali Kitaab

(18) Deeni Ta’aleem

(19) Khawaatin aur Deeni masaa’il

(20) Mubaarat Raaten

(21) Fazaa’il-e-Sha’abaan-ul-moazzam.

1386 Hijri (1966 A.D.) me Aap ka nikaah Akhtar Bibi binte Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi ke saath hua.

Aap ke 3 Saahadzaade aur 6 Saahabzaadiya hain:

Saahabzaade :

(1) Siraj-ul-Haq

(2) Abdul Haq

(3) Fareed-ul-Haq.

Aap ki Khilafat aur Mureedi:

Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri, Hazrat Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Maulana Faazil-ur-Rahmān bin Zia-ud-deen Madani ne bhi Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke Khalifa:

Hazrat Allama Sayyed Shah Abdul Haq Qaadri.

Aap ka Wisaal:

Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri  ka wisaal bimari ke sabab 4 Muharram 1438 Hijri (6 October 2016 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua. Aap ki namaaze janaaza Memon Masjid me namaz e Juma ke baad padhai gai.

Aap ki namaaze janaaza aap ke saahabzaade Hazrat Allama Sayyed Shah Abdul Haq Qaadri ne padhai. Aap ka mazaar Jodia Bazar Kharadar, Karachi (Pakistan) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Allama Mufti Sayyed Shah Turab ul Haq Qaadri Razawi Rahmatullāhi Alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se

Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *