Biography of Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki wiladat:

Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه ki wilaadat 1154 Hijri (1741 A.D.) me Raipur Fatuha (Bihar) me hui.
Aap ke waalid ka naam Peer Sayyed Abdullāh hai.

Aap ki Talimaat:

Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه ne Uloom-e-zaahiri ki ta’aleem haasil karke mahaarat haasil ki.

Aap ki umr 16 saal thi tab Hazrat Munem Paak Rahmatullāhi Alaihi Delhi se Patna tashreef laaye to unke baare me sunkar Aap unki khidmat me haazir hue aur Hazrat ke mureed hue. Phir 15 saal tak Hazrat ki khidmat me rehkar ta’aleem aur faiz haasil kiya. Hazrat ne aap ko ijaazat o khilaafat ata farmai.

Hazrat Munem Paak ke wisaal ke baad unki wasiyat ke mutaabiq Aap 31 saal ki umr me Sajjaada nasheen bane aur logo ko ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.

Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه hamesha saadgi aur faqr pasand farmaate the. Aap narm dil aur narm guftaar the. Aap paabande shariat the aur akṡar waqt ibaadat o riyazat me guzaarte. Raat ko namaaz aur wird o wazaa’if me mashgool rehte.
Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه apne shaagirdo ko Maulana Jalaal-ud-deen Rumi ki Maṡnawi ki ta’aleem dete.

Ek martaba Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه Phulwari me mehfile sima me tashreef farma the. Log kalaam sun rahe the ke do Angrez sipaahi aaye aur tamaskhur karte hue hansne lage. Aap us waqt hooqqa pee rahe the. Aap ne ek kas khinchkar dhuva un dono angrez par phenka.

Foran un dono ne ek aah bhari aur naara lagakar zameen par gir gaye aur wajd me kho gaye. Logo ne unke hathiyar nikaal diye taake unhe koi nuqsaan na ho. Jab ifaaqa hua to dono ne aap ke qadmo me gir gaye aur muafi maangi. Is ke baad wo dono Meetan ghat aakar aap ki khidmat me faiz haasil karte rahe

Pariwaar

Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه ke 1 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya hain.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه Hazrat Makhdoom Shaah Muhammad Munem Paak Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain

Aap ke khulfa :

(1) (Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه ke saahabzaade) Hazrat Sayyed Shaah Ghulaam Hasan Raipuri Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Shaah Rahmatullāh Rahmatullāhi Alaihi (Bihar sharif)

(3) Hazrat Maulana Shaah Abdur Rahmān Muwahhid Lukhnawi Rahmatullāhi Alaihi (Pandayan, Lucknow)

(4) Hazrat Sayyed Shaah Shams-ud-deen Husain Danapuri Rahmatullāhi Alaihi

(5) Hazrat Sayyed Shaah Abdul Qaadir Mannaani Rahmatullāhi Alaihi

(6) Hazrat Shaah Ibrāheem Husain Naoabadi urfe Bhoju Shaah Rahmatullāhi Alaihi.

Aap ka Wisaal:

Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه ka wisaal 12 Moharram 1215 Hijri (5 June 1800 A.D.) ko 60 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Raipur Fatuha (Bihar) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ke sadqe me aur Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza Munemi Raipuri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *