Biography of  Hazrat Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Asad-ul-Aarifeen, Qutb-ul-Kaamileen.

Aap ki wilaadat :

Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ki wilaadat 14 Rabi-uṡ-ṡaani 1131 Hijri (March 1719 A.D.) ko Marehra me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Abul Barkaat Aale Muhammad bin Sayyed Shaah Barkaatullāh Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi aur waalida ka naam Ghanimat Faatima binte Sayyed Shaah Azmatullāh hai. Aap Husaini saadaat hain. Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki.

Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ne Shams-ul-Ulama Hazrat Maulana Muhammad Baaqir aur Shaikh Dhadhaa Lahori se bhi ta’aleem haasil ki.

Hakeem Ata’ullāh saahib se Ilme Tibb ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne 10 saal ki umr me namaaz e Tahajjud shuru ki aur puri zindagi tahajjud ada karte rahe.

Ek martaba Hazrat Maulwi Muhammad Mukarram Peshawari naami ek buzurg ne Aap ko ek Durood shreef ka hadiya diya. Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ne use qubool farmaaya aur ek maqaam par sambhalkar rakh diya. Raat ko khwaab me Huzoor Sarware kaa’inaat Rasoal-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur farmaaya “Aye laadle farzand! Utho aur Durood shreef padho.” Aap foran uthe aur ghusl kiya aur itr lagaaya aur durood shreef padhna shuru kiya. Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ne abhi durood shreef mukammal bhi nahi kiya tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap ke saamne jalwa afroz hue.

Aap ba-adab khade ho gaye aur durood shareef mukammal kiya aur aap jab tak durood shareef padhte rahe tab tak Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap ke saamne jalwa farma rahe. Aap ne chand na’at ke ash’aar bhi pesh kiye. Huzoor bahot khush hue aur aap ko kaunain ke faiz se sarfaraaz farmaaya. Is durood shreef ka naam ‘Salaat-ul-Khataam’ hai. 34 saal ki umr me Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ko Khirqa e khilaafat ata farmaaya gaya.

Tasannif :

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Kaashif-ul-Asraar
(2) Faiz-ul-Kalimaat 
(3) Maṡnawi Itifaaqiya 
(4) Qasida Gohar Baar 
(5) Risaala Aqaa’id

Pariwaar :

Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ka nikaah Bibi Diyaanat Faatima binte Hazrat Sayyed Muhammad Hasan Bilgrami bin Sayyed Muhammad Saeed Khairullāh se hua.

Aap ke 4 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.

Saahabzaade :
(1) Shaah Aale Ahmad urfe Achhe Miya, 
(2) Shaah Aale Barkaat urfe Suthre Miya, 
(3) Shaah Aale Husain urfe Sache Miya, 
(4) Sayyed A’ala (Jin ka bachpan hi me inteqaal ho gaya).
Saahabzaadi :
Waafi Bibi.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Shaah Abul Barkaat Aale Muhammad Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aur ‘Qaadri Barkaati’ silsila ke shaikh hain.

Aap ke khulfa:

(1) Hazrat Sayyed Shaah Aale Ahmad Achhe Miyan Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi,

(2) Hazrat Sayyed Shaah Aale Barkaat Suthre Miyan Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi,

(3) Hazrat Ain-ul-Haq Shaah Abdul Majeed Qaadri Badayuni Rahmatullāhi Alaihi,

(4) Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Ghauṡ Gwaliori Rahmatullāhi Alaihi, 

(5) Hazrat Shah Maseehullāh Rahmatullāhi Alaihi, 

(6) Hazrat Shaah Ali Sher Rahmatullāhi Alaihi, 

(7) Hazrat Shaah Hafeezullāh Rahmatullāhi Alaihi, 

(8 ) Hazrat Shaah Raheemullāh Rahmatullāhi Alaihi, 

(9) Hazrat Shaah Saifullāh Sahawi Rahmatullāhi Alaihi, 

(10) Hazrat Shaah Ramazaanullāh Rahmatullāhi Alaihi, 

(11) Hazrat Shaah Maulwi Ghulaam Muhiy-ud-deen Rahmatullāhi Alaihi, 

(12) Hazrat Shaah Deedaar Ali Rahmatullāhi Alaihi, 

(13) Hazrat Shaah Shaamil Rahmatullāhi Alaihi, 

(14) Hazrat Shaah Khairaat Ali Rahmatullāhi Alaihi,

(15) Hazrat Shaah Rasooli Rahmatullāhi Alaihi,

(16) Hazrat Shaah Aabid Rahmatullāhi Alaihi,

(17) Hazrat Shaah Maajid Rahmatullāhi Alaihi,

(18) Hazrat Shaah Izzatullāh Rahmatullāhi Alaihi,

(19) Hazrat Shaah Noorullāh Rahmatullāhi Alaihi,

(20) Hazrat Shaah Karam Ali Rahmatullāhi Alaihi,

(21) Hazrat Shaah Abdur Rasheed Rahmatullāhi Alaihi,

(22) Hazrat Shaah Mahfooz Rahmatullāhi Alaihi,

(23) Hazrat Shaah Ghulaam Rasool Rahmatullāhi Alaihi,

(24) Hazrat Shaah Meer Husain Rahmatullāhi Alaihi,

(25) Hazrat Shaah Abdul Ghani Rahmatullāhi Alaihi,

(26) Hazrat Shaah Abdul Hakeem Rahmatullāhi Alaihi,

(27) Hazrat Shaah Tahqeeq Rahmatullāhi Alaihi,

(28) Hazrat Shaah Naseer-ud-een Rahmatullāhi Alaihi,

(29) Hazrat Shaah Zaahid Rahmatullāhi Alaihi,

(30) Hazrat Shaah Makan Rahmatullāhi Alaihi,

(31) Hazrat Shaah Buzurg Rahmatullāhi Alaihi.

Aap ka Wisaal:

Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه ka wisaal 14 Moharram 1198 Hijri ko namaaze maghrib ke baad hua.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Sayyed Shaah Hamza Barkaati رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *