Biography of Hazrat Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat :

Aap ki wilaadat 1219 Hijri (1805 A.D.) me Tekmal me hui.

Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq bin Sayyed Abdul Waahid Ṡaani Qaadri al-Jilani رحمة الله عليه hai.
Aap Hasani Saadaat hain.

Aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazaam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu ki nasl se hain.

Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke pardaada Hazrat Sayyed Ibrāheem Qaadri Sultaan Firoz Shaah Tughlaq ke zamaane me Baghdad se Hindustan tashreef laaye the.

14 saal ki umr me Aap Hyderabad tashref laaye aur 5 saal tak ta’aleem haasil karte rahe.
1238 Hijri (1924 A.D.) me beemaari ke sabab Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke waalid ka inteqaal hua aur Aap Tekmal waapas aaye.
Aap ko is baat ka bahot afsos hua ke waalide mohtaram se uloom e baatini ki ta’aleem haasil na kar paaye.

1239 Hijri (1925 A.D.) me Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke waalid ne khwaab me bashaarat farmai ke “Mere khalifa Shaah Muhammad Ma’aroof Shahidullāh Faarooqi se ta’aleem haasil karo.”
1240 Hijri (1926 A.D.) me Aap Hyderabad jaakar Shaah Muhammad Ma’aroof Shaahidullāh Faarooqi رحمة الله عليه ke mureed hue aur ta’aleem wa faiz haasil karte rahe. Kuchh mahine baad Hazat ne Aap ko khilaafat ata farmai.
Phir Aap Tekmal waapas tashreef laaye. Hazrat kai baar Aap se milne Tekmal aate rehte.

1245 Hijri (1931 A.D.) me Hazrat ne Aap ko sajjaada nasheen banaaya.
1248 Hijri (1933 A.D.) me Hazrat ne farmaaya ke “Agle saal mera inteqaal hoga.” aur apni madfan ki jagah bhi batai.
2 Sha’abaan 1249 Hijri ko Hazrat ka wisaal hua.

Aap Tekmal me ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe.
1243 Hjri (1827 A.D.) me Aap ne apne maal se Madrasa-e-Husainiya ki ta’ameer ki.
Usi saal Tekmal Masjid ki ta’ameer ki.
Aap ne Tekmal ke ird gird kai Kuen bhi ta’ameer kiye.

Tasannif :

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Shawaahid-e-Husaini
(2) Maṡnawi Shaahid-ul-Askar (Hazrat Khwaja Banda Nawaaz Gesudaraaz ki kitaab ‘Khaatimah’ ki tafseeer)
(3) Shaahid-ul-Wujood (Tasawwuf)
(4) Nukat-e-Shaahid (Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke shaagirdo ke sawaalo ke jawaab)
(5) Farhang-e-Husaini (Faarsi Qaa’ida)
‘Maktoob-e-Husaini’ me Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke likhe hue khato ko jama kiya gaya hai.

Pariwaar:

Sayyed Saahib Hussaini Qadri رحمة الله عليه ke 5 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain :
Saahabzaade:
(1) Sayyed Ahmad (Sajjaada nasheen),
(2) Sayyed Ma’aroof,
(3) Sayyed Yāseen,
(4) Sayyed Muhiy-ud-deen,
(5) Sayyed Abdul Qaadir.
Saahabzaadi :
Saahibni Bi (Jin ka nikaah Khwaja Qiyam-ud-deen Husaini se hua).

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Shaah Muhammad Ma’aroof Shaahidullāh Faarooqi Qaadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 26 Moharram 1297 Hijri (9 January 1880 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Tekmal (Telangana) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me Aur Hazrat Sayyed Saahib Husaini Qaadri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ek saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *