Hazrat Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه
Aap ke Wiladat:
Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه ki wilaadat 380 Hijri (990 A.D.) me Gurgan (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ali ibn Abdullāh hai.
Aap kaashif-e waaqia-e-mureedeen the
Hazrat Daata Ganj bakhsh Ali al-Hujweri رحمة الله عليه bayaan farmaate hain ke :
“Ek martaba main Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه ki khidmat me haazir tha aur apne mushaahida aur kashf ke baare me bata raha tha taake jaan saku ke kya Hazrat ne bhi in sab ko mehsoos kiya hai ya nahi. Hazrat tawjjoh ke saath sama’at farma rahe the. Jawaani ke josh aur maghroori ke aalam me mujhe yeh khayaal aaya ke shaayad apne shaagirdi ke daur me Hazrat ne ye sab mehsoos nahi kiya hoga warna meri taraf itni tawajjoh na farmaate ya phir Hazrat mere baatini haal ke baare me jaanch kar rahe hain.
Hazrat ne mere is khayaal ko jaan liya aur foran farmaaya ke: ‘Dost! Tumhe ye jaan lena chaahiye ke meri tawajjoh ya inkasaari tumhare liye ya tumhare is haal ke sabab nahi hai balke us ki qudrat ki taraf hai jis ne tumhe yeh mushaahida aur kashf ata farmaaya hai. Ye sab sirf tumhare liye khaas nahi hai balke tamaam taalibaan ke liye hota hai.’
Yeh sunkar main khaamosh ho gaya. Mera yeh haal dekhkar Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه ne farmaaya ‘Bete! Insaan ko tasawwuf ki raah se mazeed ta’alluq nahi hota siwa e is ke ke jab woh is se judta hota hai to use lagta us ne ise paa liya hai aur jab woh is me se baahar aata hai to apne tasawwur ko lafzo ka libaas pehnaata hai. Is liye tardeed ya tasdeeq yeh sirf tumhara tasawwur hai. Insaan tasawwur ki qaid se baahar nahi nikal sakta. Yeh us par darwaaze par khade ghulaam ki tarah laazmi hai aur use har nisbat se door karta hai siwa e insaaniyat aur taabedaari ke.’
Is ke baad maine Hazrat ke saath Tasawwuf ke baare me bahot saari guftagu ki lekin agar main Hazrat ki be-miṡaal aur khaas roohaani taaqat se aage badhne ki koshish karta to main na-kaam hota.”
Hazrat Daata Ganj bakhsh Ali al-Hujweri رحمة الله عليه ne ek martaba Aap se arz kiya “Huzoor! Durwesh ke liye kam e kam kitni cheezen zaroori hai ke jis se woh Faqr haasil kar sake?”
Aap ne irshaad farmaaya “Ek durwesh ko kam se kam 3 baato ka ilm hona zaroori hai :
(1) Use sahi tareeqe se pevand lagaana aana chaahiye,
(2) Use sahi tareeqe se sunna aana chaahiye, aur
(3) Use sahi tareeqe se zameen par qadam rakhte aana chaahiye.”
Phir in baato ka khulaasa karte hue bataaya ke “Sahi pevand lagaane se muraad yeh hai ke pevand jab lagaaye to saadgi aur faqr ke liye (ya’ni dunyawi cheezo ki laalach ko tark karne ke liye) lagaaye, dikhaawe ke liye nahi. Agar faqr ke liye pevand lagaaya gaya ho to wo sahi hai agarche sahi tareeqe se lagaaya na gaya ho.
Aur sahi tareeqe se sunne se muraad yeh hai ke tawajjoh ke saath baatini taur par (ba-haal) sune, sirf dikhaawe ke liye ya ghuroor ke saath nahi, aur jo sune us par ikhlaas aur tawajjoh ke saath amal kare aur use zindgi bhar apnaaye sirf kisi kaam ke liye ya khaas mauqe ke liye nahi.
Aur sahi qadam se muraad yeh hai ke hamesha neki ki taraf qadam uthaaye, fuzool kaamo ke liye nahi.”
Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه irshaad farmaate hain “Paani par chalna, hawa me udna aur ghaib ki khabar dena karaamat nahi balke asl karaamat yeh hai ke woh shakhs saraapa amr ya’ani shariat ki ita’at karne waala ban jaaye is tarh ke us se haraam ka sudoor na ho.”
Tasannif :
Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه ki likhi hui mash’hoor Kitaab :
Fusool-ul-Tareeqat wa Fusool ul-Haqeeqat.
Aap ki Mureedi aur Khilafat :
Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه Hazrat Shaikh Abu Uṡmaan Saeed al-Maghribi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain (jo Junaidi silsila ke shaikh hain).
Hazrat Khwaja Abul Hasan Kharaqani ne Aap ko Uwaisi tareeqe se khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Abu Ali al-Faarmadi رحمة الله عليه
(2) Hazrat Sayyed Ali al-Hujweri urfe Daata Ganj bakhsh رحمة الله عليه (Lahore)
(3) Hazrat Shaikh Abu Bakr an-Nassaaj رحمة الله عليه
(4) Hazrat Khwaja Ali al-Hallaaj رحمة الله عليه
(5) Hazrat Shaikh Abu Bakr Abdullāh al-Tusi رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Hazrat Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليهka wisaal 23 Safar 450 Hijri (19/20 April 1058 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Turbat-e-Haidariya ke qareeb Gurgan (Iran) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Abul Qasim Gurgani رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.