Biography of Hazrat Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi رحمة الله عليه | Download Free Pdf

Hazrat Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi رحمة الله عليه

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi ki Wiladat:

Aap ki wiladat 888 Hijri (1472 A.D.) me Burhanpur (Madhya Paradesh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Husaam-ud-deen ibn Abdul Malik hai.

8 saal ki umr me aap ki Hazrat Shaikh Bajan رحمة الله عليه se taalim shuru hui aur Azkaar ki taalim haasil ki. Is ke kuchh waqt baad aap ke waalid ka inteqaal hua. Aap ke waalid aur rishtedaaro ne aap ki parwarish ki.

Aap Shaikh Abdul Hakeem bin Shaikh Bajan Chishti ke mureed hue aur un ki khaanqaah me taalim haasil ki.

Is ke baad 2 saal tak Multan me Hazrat Shaikh Hisaam-ud-deen al-Muttaqi رحمة الله عليه se Tasawwuf ki taalim haasil ki.

Phir aap Multan se rawaana hue. Aap ne apne saath 2 thaile liye, ek me apna saamaan aur ek me kitaabe rakhte the.

Sadr Hasan naami aap ka ek khaadim zid karke aap ke saath safar me rehta tha.
Aap jangal me qayaam karte aur khud khaana pakakar khaate the.
Sirf ba-jama’at namaaz ada karne ke liye masjid me tashreef laate the.

Aap safar karte hue Sultan Bahadur ke zamaane me Gujarat tashreef laaye. Ahmedabad me aap ne Sunnat e Rasool ada karne ke liye Nikaah kiya. Apne bache ke bachpan me inteqaal ke baad aap ne Ahmedabad chhodne ka faisla kiya. Aap ki biwi ne bataure mureed aap ke saath aane ke liye iltija ki.

Is ke baad aap Surat tashreef laaye. Yaha se Qaazi Abdullāh aap ke saath safar me saamil hue.

Is ke baad safar karte hue aap Makka tashreef laaye.

Makka me Hazrat Abul Hasan al- Bakri رحمة الله عليه se Hadees aur Tasawwuf ki taalim haasil ki aur Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Ahmad bin Hajar al-Makki رحمة الله عليه se Hadees ki taalim haasil ki.

Aap Sultan Mahmood ke zamaane me phir se Gujarat tashreef laaye aur kuchh waqt rookkar phir se Makka rawaana ho gaye aur baaqi zindagi Makka me taalime deen karte rahe.

Aap ki likhi hui hadees ki kitaab ‘Kanz-ul-Ummal fi sunan al-aqwaal wal afa’al’ naam se mashhoor hai.

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi ki Mureedi aur Khilafat:

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi  Hazrat Shaikh Abdul Hakeem bin Shaikh Bajan Chishti رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap Hazrat Shams-ud-deen Muhammad ibn Abdur Rahmān al-Sakhawi رحمة الله عليه se aap ko Qaadri, Shaazili aur Maghribi silsile ki khilaafat mili hai.

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi ke khalifa Hazrat Abdul Wahhaab al-Muttaqi رحمة الله عليه hain.

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi ka Wisaal:

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi ka wisaal 2 Jamaadil awwal 975 Hijri (4 November 1567 A.D.) ko hua.

Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi ka mazaar Jannatul Mualla, Makka muklarrama me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Alauddin Ali Al Muttaki Al Hindi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *