Biography of Hazrat Shah Abdur Razzaaq Wilaayat Ali Urfe Deewana Shah رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab :

Deewaana Shah, Shehanshaah e Mevaad.

Aap ki Wiladat:

Deewana Shah رحمة الله عليه ki wiladat 25 Moharram 1292 Hijri (March 1875 A.D.) ko Disa (Gujarat) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdul Qaadir aur waalida ka naam Bibi Zainab hai.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

 Deewana Shah رحمة الله عليه Hazrat Mehboob Ali Shaah (Devgadh, Gujarat) رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Ulfat Ali Shaah (Badhnagar, Madhya Pradesh) se bhi Aap ko khilaafat mili hai.
Aap Chishti aur Rifai silsila ke shaikh hain.

1341 Hijri (1923 A.D.) me Deewana Shah رحمة الله عليه ne Mevaad ke Maharaana se 30 bigha zameen khareedi aur aabaadi se door apni khaanqaah taamir ki. Kisi ne puchha ke ‘Baaba! Itni door jangal me kaun aayega?’ Aap ne farmaaya ‘Yaha jangal me mangal hoga.’

Badi ta’adaad me log Aap ki baargaah me apni pareshaaniyo ke ilaaj ke liye aate the. Aap ke laaye gaye mareez par Aap padhkar dam karte to use foran shifa haasil ho jaati.

Aaj bhi log Kapasan Sharif mein Deewana Shah رحمة الله عليه ke mazaar par shareer jinn wa aaseb, jaadoo tona, junoon aur deemaaghi beemaariyo se najaat paane ke liye aate hain aur faiz haasil karte hain.

Aap ki Karamat :

 (1) Ek baar Deewana Shah رحمة الله عليه apne ghar me ronak afroz the. Achaanak Sayyed Ramazaan Ali ghabhraaye hue Aap ki baargah me haazir hue. Aap ne puchha ‘Ramazaan Ali khairiyat to hai?’ Ramazaan Ali ne arz kiya ‘Huzoor! ALLĀH ta’ala ne aap ki dua se pota ata kiya hai, jis ki tabiyat badi aleel hai. Pehle bhi ek poti hui magar dekhte hi dekhte dunya se chali gai. Is pote ki bhi yehi haalat hai. Kahi is pote se bhi mehroom na reh jaau. Huzoor! Maine to azaan padhkar Us ka naam Rifaaqat Ali rakh diya hai. Ab laaj aap ke haath me hai. Aap dua farmayen ke ALLĀH use zindagi ata farmae.’

 Deewana Shah رحمة الله عليه ne Sayyed Ramazaan Ali ke chehre par nazar daali to dekha ke un ke chehre par maayoosi chhai hui thi. Foran Aap ne apne qareeb rakha hua ek safed kapda uthaaya aur Ramazaan Ali ko dekar farmaaya ‘Jaao, Is kapde ko bachche ke badan Par daalkar us ka naam Ya’aqoob Ali rakh do.’

Sayyed Ramazaan Ali kapda lekar apne ghar pahunche aur bachche ke badan par wo kapda daal diya aur bachche ka naam Ya’aqoob Ali rakh diya. Foran wo sehatyaab ho gaya.

Wo bachcha bada hokar Sayyed Ya’aqoob Ali Bukhari ke naam se mash’hoor hua. Aur wo kapda abhi bhi bataur e tabarruk un ke ghar waalo ke paas maujood hai.

(2) Ek baar Deewana Shah رحمة الله عليه safar me the. Ek Shakhs Aap ke hujre me chori karne ke iraade se daakhil hua aur hujre me talaashi lena shuru kar di. Us ka khayaal tha ke Yaha bade bade log aate hain aur qeemati nazraane pesh karte hain to koi qeemati cheez mil jaayegi. Magar waha koi cheez na mili. Tabhi us ki nazar kitaabo par padi us ne gusse me aakar sabhi kitaabo ko uthaaya aur kapde me baandhkar Kalaal ke kunve me daal diya.

Hazrat ne safar se hi apne Khaadim Ahmad Mulla ko khabar bhijwai ke ‘Mere hujre me chori ho chuki hai. Us ka pata lagaao.’ Ahmad Mulla ne Kapasan ke thaanedaar ko ittela di aur logo me bhi ye baat phail gai. Lekin chor ka kuchh pata nahi laga aur chori kiye hue maal ka bhi pata nahi laga.

Kuchh din ke baad Aap Kapasan Sharif waapas tashreef laaye to Ahmad Mulla ne sab haqeeqat e haal sunai.

Sunte hi Deewana Shah رحمة الله عليه ko jalaal aa gaya aur farmaya ke ‘Falaan shakhs ko haazir karo.’ Foran us shakhs ko aap ki baargah me haazir kiya gaya. Us ke aate hi Aap ne irshaad farmaaya ‘Meri kitaaben kaha hain?’ Jab wo khaamosh raha to aap ne phir se farmaaya  ‘Tum bataate ho ya main bataau?’ Aap ki aawaaz me wo aṡar tha ke wo aap ke qadmo me gir aaya aur kehne laga ‘Huzoor! Mujhe muaf kar dijiye, Aa’inda aisi harkat nahi karunga. Kitaaben maine Kalaal ke kunve me daal di jo paani se bhara hua tha. Huzoor! Ab kaise laaun?’ Tab aap ne Ahmad Mulla ko hukm diya ke ‘Is ke saath jaao aur meri kitaaben le aao.’

Hukm paate hi Ahmad Mulla us shakhs ke saath kunve par pahunche aur lohe ka aala (hook) kunve me daala to us e koi cheez phansi. Jab us ko khinchkar baahar nikaala to dekha ke kapde me saari kitaben bandhi hui hai. Us ko kholkar jab dekha to kitaabo ke upar paani ka koi aṡar nahi tha aur kitaben bilkul sukhi thi, jo Hazrat ki khidmat me pesh kar di gai. Hazrat muskuraaye aur aa’inda chori na karne ki naseehat karke us shakhs ko muaf kar diya.

Aap ka Wisaal:

 Deewana Shah رحمة الله عليه  ka wisaal 8 Safar 1363 Hijri (3 Feb 1944 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Kapasan (Rajashtan) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Abdur Razzaaq urfe Deewana Shah رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *