Biography of Hazrat Abdullah ibn Rawahah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Download Free Pdf

Hazrat Abdullah Ibn Rawahah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ

Abdullah Ibn Rawahah ki Walid:

Abdullah Ibn Rawahah ke waalid ka naam Rawaahah bin Ṡalaba aur waalid ka naam Kabsha binte Waqeed hai.

Abdullah Ibn Rawahah Madeena ke Ansaar sahaabai e Rasool hain aur Banu Khzraaj qabeele ke Banu Haariṡ khaandaan se hain.

Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.

Zil Hijja 12 Nabawi (June 622 A.D.) me Aap Yaṡrib (Madeena) ke 73 mard aur 2 aurto ke giroh  me shaamil the jis ne maqaam e Aqaba par Huzoor Rasool-Allāh ﷺ se Bai’at-ul-Aqaba ṡaani ki. Aur har haal me un ki ita’at karne ka aur un ko madad karne ka waada kiya.

Is ke baad Huzoor ﷺ ne Yaṡrib (Madeena) ke 12 ashaaba ko Nuqaba banakar apne apne khaandaan ko islaam ki ta’aleem ke liye muntakhab farmaaya. Aap ko Khajraz ke Banu Haariṡ khaandaan ke Naqib banaaya.

Huzoor ﷺ ne Hazrat Miqdaad ibn Amr Muhaajir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko Aap ka bhaai banaaya.

Abdullah Ibn Rawahah ne Ita’at e Rasool se mukammal ishq e Rasool ka ṡaboot diya.

Ek martaba Abdullah Ibn Rawahah masjide Nabawi me daakhil ho rahe the ke Aap ne Huzoor ﷺ ko farmaate hue suna ke “Jo shakhs jaha hai wahi par baith jaaye.” Abdullah Ibn Rawahah foran darwaaze ke qareeb hi baith gaye. Huzoor ﷺ ne jab dekha to irshaad farmaaya “ALLĀH ta’ala tumhe ita’at me barkat ata farmaaye.”

Hazrat Abu Darda Aap ke khaas dost the. Jab woh musalman nahi hue the tab ek but ko apne ghar me rakha tha. Abdullah Ibn Rawahah ne un ke ghar me jaakar us but ko tod diya. Jab Abu Darda ghar par aaye to un ki biwi khauf ki wajah se ro rahi thi ke “Shaayad koi aafat aa jaayegi.”

Lekin Hazrat Abu Darda رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne socha ke “Jis but ko hum khuda maan rahe the woh apni hifaazat nahi kar saka to munaasib hai ke hum ALLĀH ko apna ma’abood maane jo har cheez par qaadir hai.”

Aap Hadeeṡ e Nabawi ko yaad rakhte aur dusre ashaaba ko bataate the.
Aap Shaayaraan e Islaam me shaamil hain. Aap ne kai mauqe par Huzoor ﷺ ki shaan me Qaseeda padhe hain.

Abdullah Ibn Rawahah ne Junge Badr, Junge Uhud, Junge Khandaq aur Junge Khaibar me shareek  hokar apni shuja’at dikhaai.

Junge Badr me fatah ke baad Huzoor ﷺ ne Aap ko Hazrat Zaid ibn Haariṡah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke saath fatah ki khush-khabari dene ke liye Madeena bheja.

Zil Qa’ada 4 Hijri (April 626 A.D.) me Junge Badr al-Maw’id ke mauqe par Huzoor ﷺ Aap ko Madeena me apna naa’ib banaaya tha. (Quraish ka qaafla darkar bhaag jaane ki wajah se jung nahi hui.)

Abu Raafi Sallam ibn Abul Huqaiq ke qatl ke baad 6 Hijri (628 A.D.) me Yusayr ibn Rizaam Khaibar ka naya sardaar bana. Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ko jab pata chala ke woh lashkar ke saath musalmano se saath jung karne ki saazish kar raha hai to Hazrat Abdullah Ibn Rawahah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko 3 sahaaba ke saath Khaibar ke haalaat jaanne lene ke liye bheja.

Aap ne waapas aakar waha ke haalaat bataaye to Huzoor ﷺ ne Aap ko 30 ashaaba ke saath Khaibar bheje. Yusayr ibn Rizaam apne saathiyo ke saath Huzoor ﷺ ke paas aane ke liye tayyaar hua aur Hazrat Abdullāh ibn Unais رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke saath oont par sawaar hokar Madeena ki jaanib rawaana hue.

Lekin Khaibar se 6 mile door Maqaam e Qarqarat par us ne apna iraada badal diya aur oont par se neeche kood gaya. Hazrat Abdullāh ibn Unais ne us par hamla kiya aur woh maara gaya. Isi tarah dusre sahaaba ne bhi oont par sawaar kaafir ko qatl kar diya. 29 yahudi maare gaye aur ek bachkar bhaag gaya.

6 Hijri me Aap Bai’at-ur-Ridwaan me bhi shareek hue.

Aap Zil-Qa’ada 7 Hijri (628 A.D.) me Umratul Qada me bhi shareek hue. 

Aap Huzoor ﷺ ke oont ki lagaam pakadkar chal rahe the aur musalmano ke waqaar aur shuja’at ke ash’aar padh rahe the. Hazrate Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Aap ko roka aur kaha ke “Baitullāh ke qareeb sher padhte ho?” Yeh sunkar Huzoor ﷺ ne farmaaya “Ise padhne do. Is ke alfaaz teer se bhi zyada taaqatwar aur aṡardaar hai.”

Phir Hazrat Abdullah Ibn Rawahahh se yeh padhne ke liye farmaaya “Laa ilāha illallāh wahdahu laa shareek lahū sadaqa wa’adahu wa nasar abdahu wa hazam al-ahzaab wahdahu.” Aap ne yeh padhna shuru kiya aur musalman Aap ke saath dohraane lage.

7 Hijri (629 A.D.) me Huzoor ﷺ ne apne sahaaba ko khato ke saath Islaam ki da’awat ke liye alag alag mulko ke baadshaah ke paas bheje.

Hazrat Haariṡ bin Umair Azdi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko safeer banakar Bosra ke baadshaah ki jaanib bheja. Hazrat Haariṡ bin Umair Azdi jab maqaame Mu’tah par pahunche to waha ke governor Sharjeel Ghassani ne unhe rokkar shaheed kar diya.

Jab Huzoor ﷺ ko pata chala to Aap ne Jamaadi ul awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Hazrate Zaid bin Haariṡa رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko saalaar banakar 3000 musalmano ka lashkar bheja.

Jab musalman Musharif pahunche to pata chala ke Byzantine aur un ke saathiyo ka lashkar taqreeban 200000 ka hai. Musalmano ne intazaar karne ka aur Madeena se madad mangwaane ka mashwara kiya. Magar Hazrate Abdullah Ibn Rawahahh رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne irshaad farmaaya ke ‘Musalman baatil se jung karne se ya shaheed hone se darta nahi hai.’

Hazrat Zaid ibn Haariṡa رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne pehle kaafiro ko islaam ki daawat di magar wo na maane.

Aakhirkaar maqaame Mu’tah par muslim lashkar ne kaafiro ke saath jung ki.

Jung me Hazrate Zaid bin Haariṡa رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ shaheed hue to Hazrat Ja’afar bin Abu Taalib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ islaami lashkar ke saalaar bane. Un ki shaahadat ke baad Aap رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ saalaar e lashkar bane.

Ek kaafir ne khanjar se Aap ke chehre par waar kiya. Aap shadeed jakhmi hone ke ba-wajood bahaaduri se jung karte hue shaheed ho gaye.

Aap ke baad Hazrat Khaalid bin Waleed رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne haalaat ko dekhkar tarkeeb se muslim lashkar ki hifaazat ki.

Abdullah Ibn Rawahah ka Wisaal:

Abdullah Ibn Rawahah ka wisaal 5 Jamaadi-ul-awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Junge Mu’tah ke dauraan hua.

Abdullah Ibn Rawahah ka mazaar Mu’tah (Jordan) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ  ke sadqe me aur Hazrat Abdullah Ibn Rawahah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur tamaam Auliya Allāh aur Ashaaba ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *