Hazrat Khwaja Sufi Hamiduddin Nagori رحمة الله عليه
Laqab:
Sultaan-ul-Taariqeen.
Sufi Hamiduddin Nagori ki Wiladat:
Khwaja Hamiduddin Nagori Hazrat Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.
Khwaja Hamiduddin Nagori ka pariwaar Lahore se Delhi aa gaya.
Khwaja Hamiduddin Nagori Delhi fateh hone ke baad paida hone waale pehle muslim bache hain.
Jab Aap apni waalida ke shiqam e paak me the tab aap ke naana jaan ne aap ki waalida ko khush khabri de di thi ke “Tumhare yaha ladka paida hoga, jis ka seena ubhra hua hoga, aadha badan hara hoga aur mere inteqaal ke baad paida hoga.”
Aap ne Maulana Shams-ud-deen Halwai, Hazrat Hameed-ud-deen Khui aur Hazrat Shaikh Muhammad Juwayini se ta’aleem haasil ki.
Aap Arabi, Faarsi aur Hindi ke maahir the.
Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti رحمة الله عليه se bai’at pne ke baad Aap ne Khwaja ke saath Delhi ke safar ke dauraan faiz aur ta’aleem haasil ki.
Ek martaba Khwaja Ghareeb nawaaz رحمة الله عليه ne apne shaagirdo se farmaaya ke “Jo chaaho maango. Aaj ALLĀH ta’ala tumhari muraad puri farmaega.” Aap ne arz kiya “Main sirf yeh chaahta hu ke meri puri zindagi ALLĀH ta’ala ki ita’at me guzre. Is ke ilaawa mujhe kuchh nahi chaahiye.” Aap ki yeh khwaahish sunkar Khwaja ne khush hokar Aap ko ‘Sultaan-ul-Taarikeen’ ka laqab ata farmaaya.
Is ke baad Nagaur ke qareeb Suwali gaanv me zameen khareedkar wahi sukoonat ikhtiyaar ki aur logo ko faiz ata farmaate rahe aur ta’aleem e deen karte rahe.
Aap akṡar Roza rakhte the.
Aap jab namaaz padhte to namaaz me itne kho jaate ke kisi ki khabar na hoti.
Ek martaba Maulana Shams-ud-deen Halwaai aur kuchh dusre log Aap se mulaaqaat ki garz se Ajmer shareef se tashreef laaye. Aap masjid me namaaz padh rahe the. Aap ko namaaz me itni der hui ke wo log waapas chale gae. Chand dino ke baad un logo ki aap se mulaaqaat hui to wo aap se shikaayat karne lage ke “Hum aap se mulaaqaat ke liye aaye the. Lekin aap to namaaz me hi rahe.” Aap ne qasam khaakar kaha ke “Mujhe bilkul khabar na thi ke kaun aaya aur kaun gaya.”
Sufi Hamiduddin Nagori ki Karamat:
(1) Nagaur ka rehne waala ek taajir har saal Til lekar Multan ki mandi me bechne ke liye jaata aur waha se Rooi lekar aata tha.
Aap us ke saath Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani ke naam khat bheja karte the aur usi ke saath Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani us khat ka jawaab bheja karte the.
Ek martaba Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ne us taajir ke saath ek ya do chhoti matki sone chaandi se bharke Aap ki khidmat me bheji aur is tohfe ko qubool karne ki guzaarish ki.
Jab woh taajir Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ka bheja hua tohfa aap ki baargaah me lekar haazir hua to Aap ne us se farmaaya “Yeh sona chaandi Gindaani taalaab ke maidaan me daal do taaki ghareebo aur mohtaajo ke kaam aaye aur is matki me usi maidaan me se kankar bharkar le aao aur humari taraf se Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ki khidmat me pesh karo.” Us taajir ne Aap ke hukm ki taamil karte hue aisa hi kiya.
Multan pahunchkar us ne woh kankaro se bhari hui matki Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ko di. Jab us matki ko khaali kiya to us matki ke kankar hire moti ban gaye. Yeh dekhkar woh taajir bada hairaan hua.
(2) Jab Aap takbeer e tehreema baandhkar namaaz shuru karte to Aap ke pichhe namaaz ada karne waale tamaam muqtadi ko Arsh e aazam nazar aata.
Ek martaba aap kisi wajah se namaaz me haazir na the to dusre Imaam ne namaaz padhaai to kisi muqtadi ko kuchh nazar na aaya. Us din sab ko ma’aloom hua ke namaaz me Arsh e aazam ka nazar aana Soofi Hameed-ud-deen Nagauri ki barkat se hai.
Aap ne ‘Surol-us-Sadur wa Noor-ul-Badur’ naami kitaab likhi hai.
Pariwaar:
Sufi Hamiduddin Nagori nikaah Bibi Khdeeja binte Sayyed Fuzail Ahmad Hamadani se hua.
Sufi Hamiduddin Nagori ke 2 saahabzaade hain :
(1) Shaikh Fareed-ud-deen
2) Shaikh Azeez-ud-deen.
Aqwaal :
Sufi Hamiduddin Nagori irshaad farmaate hain:
1) Ilm ke baghair insaan Sang-waarah ya mutahajar [fossil] ki maanind hai.
2) Soofi woh hai jo ALLĀH ki raza ke liye apni khwaahishaat ko tarq kar de.
Sufi Hamiduddin Nagori ki Mureedi aur Khilafat:
Khwaja Hamiduddin Nagori Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz Sayyed Moeen-ud-deen Hasan Chishti Ajmeri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Sufi Hamiduddin Nagori ka Wisaal:
Sufi Hamiduddin Nagori ka wisaal 28 Rabi-ul-Ṡaani 673 Hijri (October 1274 A.D.) ko hua.
Sufi Hamiduddin Nagori ka mazaar Nagaur (Rajasthan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Sufi Hamiduddin Nagori رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.