Hazrat Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali Naqshbandi al Khurasani رحمة الله عليه
Aap ke Walidain :
Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Sharf-ud-deen Qaadri hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali رحمة الله عليه Hazrat Ghauṡ ul aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.
Huzoor Rasool-Allāh ﷺ se bashaarat milne par Aap khidmate deen ke liye Khurasan se Hindustan ke Una (Gujarat) me tashreef laaye. Kuchh waqt ke baad Aap waapas tashreef le gaye.
Jab Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne dobaara farmaaya to Aap phir se Una tashreef laaye.
Una tashreef laane ke baad Aap ne Jaame Masjid me qayaam karne ka iraada kiya to logo ne kaha “Baaba! Is Jaame masjid me Jinnaat ka basera hai aur yaha koi raat ko thehar nahi sakta.” Phir bhi Aap ne raat me Masjid me qayaam farmaaya.
Subah ko logo ne kaha “Chalo, Masjid me jaakar us faqeer ki laash baahar nikaalte hain.” Lekin jab wo masjid me aaye to dekha ke Hazrat masjid me safaai kar rahe hain. Logo ko dekhkar Aap ne farmaaya ke ‘Tum logo ne masjid ko aabaad karna chhod diya to jinnat ne qabza kar liya. ALLĀH ta’ala ke fazl se maine saare jinnaat ko bhaga diya hai. Agar tum log masjid me ibaadat karna jaari rakhoge to in shaa Allāh jinnaat kabhi pareshaan nahi karenge.”
Is ke baad Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali رحمة الله عليه Jaame masjid me sukoonat pazeer hokar ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Pariwaar:
Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali رحمة الله عليه ke 2 saahabzaade hain :
(1) Sayyed Abdul Hameed,
(2) Sayyed Abdul Majeed
Aap ki Mureedi aur Khilafat :
Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali رحمة الله عليه Hazrat Shaikh-ul-Haram Maulana Habeeb-ur-Rahmān Muhammad Jaan رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain aur ‘Naqshabandi Mujaddidi Mazhari’ silsila ke Shaikh hain.
Aap ke khalifa Hazrat Peer Maulana Sayyed Abdul Hameed رحمة الله عليه hain
Aap ka Wisaal:
Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali رحمة الله عليه ka wisaal 22 Safar 1302 Hijri (11 Decmber 1884 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jaame Masjid, Una(Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Peer Haji Sayyed Riyazuddin Rajwali Naqshbandi al-Khurasani رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.