Biography of Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Laqab :

Burhaan-ul-Asfiya.

Aap ki Wiladat:

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه  ki wilaadat 1002 Hijri (1593 A.D.) me Kalpi me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abu Saeed bin Baha-ud-deen bin Imaad-ud-deen al-Hasani Tirmizi hai.

Aap ke pardaada Tirmiz se Jalandhar aaye the. Aur phir Aap ke waalid Jalandhar se Kalpi tashreef laaye the.

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه   ne apni waalida ki nigraani me bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir 7 saal ki umr me Aap ki waalida ne Aap ko Hazrat Shaikh Muhammad Younus Mohaddeeṡ رحمة الله عليه ke paas ta’aleem ke liye bheja. Aap ne ek arse tak un se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki aur Sanad haasil ki. Is ke baad dusre ulama se bhi ta’aleem haasil ki.

Phir Kora Jahanabaad jaakar Hazrat Shaikh Jamaal-ul-Auliya رحمة الله عليه se ta’aleem mukammal ki. Aur phir un se Bai’at ki.

Apne wisaal se pehle Hazrat Shaikh Jamaal-ul-Auliya رحمة الله عليه ne apne sab mureedo ko gulgule ata kiye. Jab Aap pahunche to gulgule khatm ho chuke the. Hazrat ne mohabbat wa shafaqat ke saath khaalis raham ka gulgula banaaya aur dono haath aage karke farmaaya “Lo.” Aapne apne jhubbe ke daaman ko phailaya. Hazrat ne daaman me gulgule daalte hue irshaad farmaaya “Tumhari nasl me itni pushto tak karaamat o wilayat be-mashaqqat rahegi.” Gulgule ki ta’adaad ke mutaabiq aap ke khaandaan me 11 pushto tak wilayat ka zahoor  hota raha.

Phir Peer ke farmaan par Kalpi tashreef laaye aur ta’aleem wa tadrees shuru ki.

Ek martaba Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه   ko khwaab me Khwaja Baha-ud-deen Naqshband رحمة الله عليه ki ziyarat hui aur Khwaja ne aap ko Akbarabad jaakar Naqshbandi Shaikh se faiz haasil karne ke liye farmaaya. Aap jab bedaar hue to foran safar ke liye intazaam karke Akbarabad tashreef le gaye. 

Waha jaakar pata chala ke Naqshabandi silsila ke 2 azeem masha’ikh hain : Hazrat Meer Noamaan Naqshbandi Mujaddidi aur Hazrat Khwaja Abul Ula Ahraari. Aap ne pehle Hazrat Meer Noamaan رحمة الله عليه se mulaaqaat karne ke iraada kiya. Magar sawaari waale ne aap ko Khwaja Abul Ula رحمة الله عليه ki baargaah par pahuncha diya. 

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه  ne use Meer Noamaan ki baargaah par le jaane ke liye kaha. Magar Aap ki sawaari phir se Khwaja Abul Ula ki baargaah par hi pahunchi. Aap ne phir se Hazrat Meer Noamaan ki baargaah par le jaane ke liye kaha. Magar phir se Khwaja Abul Ula ki baargaah par hi pahunche. Kai baar aisa hone par sawaari se neeche utre aur khaanqaah ke andar gaye.

Aap ko dekhkar Khwaja Abul Ula ne ‘Allāhu akbar’ kaha. Aur jab Aap Khwaja ke paas pahunche to aap ka haath pakadkar phir se ‘Allāhu akbar’ kaha. Jis se apa ke dil ka aalam badla gaya. Aur aap Khwaja ki khidmat me hi rook gaye. Chand mahine baad aap ne waapas jaane ki ijaazat maangi to Khwaja ne Aap ko khilaafat ata farmai. Aur Khwaja Baha-ud-deen Naqshband ki tasbeeh ata farmai.

10 saal baad Aap phir se Akbarabad tashreef le gaye aur Khwaja ki khidmat me 4 mahine guzaare.

Ek baar Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه   Khwaja Ghareeb nawaaz رحمة الله عليه ke mazaar e paak par haazir hue to Ghareeb nawaaz ne aap ko bashaarat ata farmai aur farmaaya “Humare mulk me tumhe hamare tareeqe par bhi chalna chaahiye.” Aur Aap ko Chishti faiz ata farmaaya.

Aap har saal Khwaja ke mazaar e paak par ziyarat ke liye tashreef le jaate aur faiz haasil karte. Khwaja ki baargaah se Aap ko ye faiz mila tha ke Aap jab chaahe roohaani taur par Ajmer pahunchkar khwaja se faiz haasil karte.

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه  Aalim hone ke saath Aabid aur Zaahid bhi the.
Aap ne 26 saal tak roz roze rakhe.
Aap Ulama aur Soofiya ki sohbat me zyada waqt guzaarte aur ghareebo ko saath bhi waqt guzaarte.

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه  ki baargaah me jo bhi haajatmand aata Aap use faiz ata farmaate aur sab ko madad farmaate.

Aap ki Karaamat :

Ek martaba ek gunaahgaar shakhs Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه   ki baargaah me aaya. Us ne socha ke agar Hazrat ki nigaah e faiz se mujhe koi khaas kaifiyat mehsoos hogi to main gunaah karna chhod dunga. Jaise hi woh shakhs aaya aap ne us par nazar daali to woh behosh ho gaya. 

Jab use hosh aaya to us ne apna kurta phaad daala aur durweshi ikhtiyaar karne ka faisla kiya. Aap ne apne khaadim ke saath ek umda kurta bheja. Magar us ne ba-adab lene se inkaar kar diya. Aakhir me aap khud woh kurta lekar aaye aur farmaaya “Yeh meri nazar ka aṡar hai ke ALLĀH ne tumhare dil ka aalam badal diya. 

Jo main tumhe ata farmaata hu use le lena chaahiye. Tumhe pata nahi us me tumhare liye kya hai.” Jab us ne woh kurta pehna to us par asraar zaahir ho gaye.

Is ke baad woh Kalpi me rehkar Hazrat ka khaas khaadim ban gaya.

Pariwaar:

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه  ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade:
(1) Meer Ahmad,
(2) Qalb Aalam.
Saahabzaadi:
Naaz Falak.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Shaikh Jamaal-ul-Auliya رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Khwaja Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi رحمة الله عليه  ne ‘Naqshbandi Ahraari’ silsila ki khilaafat ata farmaai hai.

Aap ko Qaadri, Chishti, Suharwardi, Naqshbandi aur Madaari silsila ki khilaafat mili hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi رحمة الله عليه  

(2) Hazrat Shaikh Muhammad Afzal Ilahabadi رحمة الله عليه  

(3) Hazrat Aashiq Muhammad رحمة الله عليه  

(4) Hazrat Haaji Junaid رحمة الله عليه  

(5) Hazrat Shaikh Abdul Hakeem Mohani رحمة الله عليه  

(6) Hazrat Shaikh Abdul Mo’min Akbarabadi رحمة الله عليه  

(7) Hazrat Meer Muhammad Waariṡ Nizamabadi رحمة الله عليه  

(8 ) Hazrat Shaikh Kamaal Karakati رحمة الله عليه  

(9) Hazrat Haaji Wali Muhammad رحمة الله عليه  

(10) Hazrat Sayyed Muzaffar رحمة الله عليه  

(11) Hazrat Haafiz Zia’ullāh Bilgrami رحمة الله عليه  

(12) Hazrat Shaikh Abdul Hafeez Bilgrami رحمة الله عليه  

(13) Hazrat Jamaal Muhammad Gwaliori رحمة الله عليه.



Aap ka Wisaal:

Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه  ka wisaal 26 Sha’abaan 1071 Hijri (April 1661 A.D.) ko Peer ke roz hua.

Aap ka mazaar Kalpi (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

1 thought on “Biography of Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi رحمة الله عليه | Download Free PDF”

  1. Pingback: Biography of Hazrat Tawakkal Mastan Shah Suharwardi رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *