Biography of Hazrat Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab :

Gaamdhani, Maashooqullāh.

Aap ki Wiladat:

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه ki wiladat 897 Hijri (1492 A.D.) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Ibrāheem Jamaalullāh bin Sayyed Umar Rifai رحمة الله عليه aur waalida ka naam Aamena Begum bint Sayyed Mohammad Subul Hasan Qaadri al- Jilani رحمة الله عليه hai.

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه Husaini saadaat hai.

Aur Hazrat Sayyed Ahmad Kabeer Rifai رحمة الله عليه ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Hazrat Sayyed Shaah Nazm-ud-deen Abdur Raheem Mehboobullāh Rifai رحمة الله عليه 752 Hijri me Huzoor ﷺ ke farmaan par Iraq se Hindustan me Siddhpur Patan (Gujarat) tashreef laaye aur phir waha se Ahmedabad aakar sukoonat pazeer hue.

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه paida’ishi wali the. Bachpan me bhi Aap ko kabhi khelne me dilchashpi nahi thi.

Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki.
Aap 7 saal ki umr me Haafiz e Qur’ān hue.
Aap ne Qur’ān, Hadeeṡ, Fiq’h aur Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه Arabi, Faarsi, Urdu, Hindi, Sanskrit aur Gujarati ke maahir the.
Aap ki likhi hui kitaab ‘Majmua e Jawaahir e Asraarullāh’ mash’hoor hai.

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه ko jaagte hue Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki ziyarat ki sa’adat haasil hui. Aap ne Huzoor ﷺ qadam mubarak ko chume aur Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne aap se Muaneka [gale milna] kiya aur aap ko apna Imaama ata farmaaya.

Aap ko khwaab me Hazrat Ghauṡe aazam Sayyed Abdul Qaadir Jilani aur Hazrat Sayyed Ahmad Kabeer Rifai رحمة الله عليه ki bhi ziyarat hui aur unho ne Aap ko Imaama ata farmaaya.
Aap roz jaanwaro aur parindo ko daane khilaate aur apne khet me un ke liye paani bharkar rakhte

Aap ki Karaamat :

Sultaan Muzaffar Haleem Shaah Me’araaj-un-Nabi ﷺ par aitraaz karta tha. Aap ne use phool ke zariye Kohe Kahf ki safar karaaya aur us ka shak door kiya.

Pariwaar:

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه ka 1 beta aur 1 beti hain.
Saahabzaada: Shaikh Mustafa Irfaan Rifai.
Aap ki beti ka nikaah Hazrat Sayyed Shaikh Ahmad bin Hasan al-Amudi se hua

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه apne waalid Hazrat Sayyed Ibrāheem Jamaalullāh Rafai رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Shaikh Abdul Qaadir bin Sayyed Shaikh Ahmad رحمة الله عليه hain.

Aap ka Wisaal:

Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه ka wisaal  17 Safar 970 Hijri  (October 1562 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jamalpur Road, Ahmedabad (Gujarat) me hai.

ALLAH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Shah Ali Ji Gaamdhani Rifai رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allah aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *