Biography of Hazrat Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه

Aap ka Watan:

Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه ka watan Shiraz (Iran) hai.

Aap Sultaan Mahmood Begda ke zamaane me safar karke Sindh se hote hue Gujarat tashreef laaye aur Patan me qayaam kiya aur phir Ahmedabad tashreef laaye.

Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه namaaz e Tahajjud me 2 rak’at me Qur’an majeed ke 15 paare tilaawat karte.
Aap ne kai martaba paidal Hajj ada kiye.

944 Hijri (1538 A.D.) me Aap ki ta’aleem se Sunni Patani Vohra Jama’at ne Shia Ismāeeli Bohra se ta’alluq tod diye aur un se alag ho gaye.

Aap ki Karaamat :

(1) Ek baar Sultaan Mahmood Begda aap se aam khaane ki khwaahish zaahir ki. Us waqt aam ka mausam nahi tha phir bhi Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه ne ghaib se un ko aam ata kiye aur waha maujood sab ko bhi 2-2 aam inaayat farmaye.

(2) Ek baar Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه ulama ki majlis me baithe hue the. Baaham ilmi muzaakira kar rahe the. Usi dauraan Aap achaanak uthkar makaan me chale gaye aur thodi der ke baad baahar aaye to Aap ki aastin bhigi hui thi. Us me se jo paani gira use chakha gaya paani bahot khaara tha. Haazireen ne is ki wajah daryaaft ki to Aap ne farmaaya ke ‘Mere ek mureed ka jahaaz toofaan me phans gaya tha. Us ne mujh se madad talab ki. Maine us ki madad ki aur ALLĀH ke fazl se jahaaz toofaan se bach gaya.’

Aap ke saahabzaade Hazrat Sayyed Muhammad Jalaal-ud-deen hain

Aap ka Wisaal:

Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه ka wisaal 15 Safar ko hua.

Aap ka mazaar Astodia, Ahmedabad (Gujarat) me hai.ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Ahmed Jaafar Shirazi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *