Biography of Hazrat Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Laqab:

Raees-ul-Qalam.

Aap ki Wiladat :

Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه ki wiladat 1343 Hijri (5 March 1925 A.D.) me Sayyidpura, Zila Balya me hui Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Abdul Lateef hai.

Aap ne apne waalid se bunyaadi ta’aleem haasil ki
Phir Daar-ul-Uloom Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom, Mubarakpur me Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.

Ta’aleem mukkamal hone ke baad 1365 Hijri (1946 A.D.) me Aap ko dastaar-e-fazeelat ata ki gai.

Phir Aap ne Madrasa Islaamia Shams-ul-Uloom, Nagpur me ta’aleem wa dars dena shuru kiya.
1369 Hijri (1950 A.D.) me Jamshedpur tashreef laaye aur 5 saal tak khule maidaan me talba ko ta’aleem dete rahe. Phir Tata company se jagah khareed kar Daar-ul-Uloom Jaamia Faiz-ul-Uloom ki taamir ki.
Is ke ilaawa Daar-ul-Uloom Amjadia, Mau (U.P.) aur Jaamia Nizaam-ud-deen Aulia, Delhi ki bhi ta’ameer ki.

1373 Hijri (1954 A.D.) me Aap ne Miftazh-ul-Uloom in Mau, U.P. ke Deobandi Maulwi Abdul Lateef Nu’mani ko mubaahisa me shikast di. Is ke baad Aap ‘Faatehe Jamshedpur’ ke naam se mash’hoor ho gaye.
Aap ke shaagirdo me Hazrat Mufti Jalaal-ud-deen Ahmad Amjadi رحمة الله عليه mash’hoor hain.

1391 Hijri (January 1972 A.D.) me Aap ne dusra Hajje Baitullāh ada kiya.

Is dauraan deegar ulama e Ahle Sunnat ke saath World Islamic Mission (Al-Da’awat-ul-Islamiyyat-ul-Aalamiyyah) qaa’im kiya. Jis ka markaz [head office] Bradford, England me hai. Aur England me qayaam karke khidmate deen ka kaam karte rahe.
Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه  ne ta’aleem e deen ke zariye islaam aur Ahle sunnat wal jama’at ki azeem khidmat ki hai.

Tasannif:

Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه  ki likhi hui mash’hoor kitaaben:

(1) Misbaah-ul-Qur’ān (3 Jild)
(2) Muhammadur Rasool-Allāh Qur’ān me
(3) Tafseer-e-Soorah-al-Faatiha
(4) Zalzala
(5) Shariat
(6) Laala Zaar
(7) Hadeeṡ, Fiq’h aur Ijtihaad ki Sharaee Haiṡiyat
(8 ) Tabligh Jama’at – Ahadeeṡ ki roshni me
(9) Jama’at-e-Islaami
(10) Zer-o-Zabar
(11) Anwaar-e-Ahmadi
(12) Dil ki Muraad
(13) Jalwa-e-Haq
(14) Lisaan-ul-Firdaus
(15) Naqsh-e-Khatam
(16) Khutbaat-e-Istiqbaaliyah
(17) Tajilliyaat-e-Raza
(18) Da’awat-e-Insaaf
(19) Ta’azeeraat-e-Qalam
(20) Aik Walwalah angez Khitaab
(21) Shakhsiyaat
(22) Aini Mushaahidaat
(23) Bazubaan-e-Hiqaayat
(24) Afkaar wa Khayaalaat (Majmua e Mazaameen)
(25) Sadaa-e-Qalam (Majmua e Khutoot)
(26) Izhaar e Aqeedat (Majmua e Naat).

Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه ki Mureedi aur Khilafat:

Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Allama Qamar-uz-zamaan Aazami hai.

Aap ka Wisaal:

Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه ka wisaal 15 Safar 1423 Hijri (29 April 2002 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jamshedpur (Jharkhand) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Allama Arshadul Qadri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *