Biography of Hazrat Peer Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Peer Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه

Aap ke Walidain:

Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Abdur Razzaaq bin Sayyed Shaah Muhammad Zia Miyan Qaadri al-Jilani رحمة الله عليه hai.

Aap Hasani saadaat hain.
Aap Hazrat Ghauṡ ul aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ke pardaada Hazrat Sayyed Rizqullāh Shaah Qaadri al-Jilani رحمة الله عليه 1000 Hjiri (1592 A.D.) me Kodinar (Gujarat) me tashreef laaye

Pariwaar:

Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq urfe Gauhar Piya رحمة الله عليه (Jafrabad, Gujarat),
(2) Hazrat Sayyed Ghulaam Ahmad (Sonapur, Mumbai).
Saahabzaadi :
Sughra Bibi (Govindpura, Veraval, Gujarat).

Laqab:

Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه Qutub-e-zamaan the.
Aap hamesha saadgi pasand farmaate the.
Aap akṡar waqt Ghoghla (Diu) me bhi qayaam pazeer rahe aur Una (Gujarat) bhi tashreef le jaate the.

Aap ki Karaamat :

(1) Ek martaba Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه Tantaniya me tashreef farma the. Aap ke saath Hazrat Soofi Sayyed Haaji Mohammad Shafi baapu Qaadri رحمة الله عليه Una waale aur Sayyed Ghulaam Mohiy-ud-deen baapu Dungar waale bhi the. Dopahar ke waqt sab Hazraat Abdul Shakoorbhai Alibhai ke khet me Pipal ke ped ke neeche aaraam kar rahe the. Ped par kaue shor macha rahe the. Sayyed Haaji Mohammad Shafi baapu ne kaha ki “Ye kaue sone nahi denge.” 

Aap ne kankariya uthakar kauo ki taraf phenki aur farmaaya “So jaao.” Sab kaue ped par se zameen par aa gaye. Sayyed Mohammad Shafi baapu muskuraaye aur Gul Mohammadbhai se farmaaya ki “Dekho kya hua hai.” Unho ne dekha to sab kaue mar gaye the. Phir Mohammad Shafi baapu ne Aap se farmaaya “Sone ke liye kehkar in ko hamesha ke liye sula diya.” Aap ne kaha “Itni humdardi hai to Aap hi in ko utha do.” Unho ne kankariya uthaai aur kauo par phenki aur farmaaya “Uth jaao.” Saare kaue zinda hokar ud gaye.

(2) Ek martaba Aap apne dost Hazrat Sayyed Haaji Mohammad Shafi baapu Qaadri رحمة الله عليه ke yaha tashreef farma the aur Hazrat ki khaanqaah me Hazrat ke saath guftagu kar rahe the. Hujre me baithe baithe achaanak Aap ne khaadim se farmaaya “Baahar ek saa’il khada hai jo 2 din se bhuka hai. Use khaana khilaao.”

(3) Ek martaba Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه Una me tashreef farma the. Ek shakhs Aap ki khidmat me aaya aur 25000 rupye batore hadiya pesh kiye. Aap ne farmaaya “Mujhe zaroorat nahi hai.” Woh shakhs israar karne laga aur aakhir me rupye waha rakhkar chala gaya. Aap ne Munawwarbhai Ismāeelbhai Vora ko bulaaya aur un ko woh raqam di aur saath me kiraaye ke paise diye aur farmaaya “Kodinar jaao aur falaan dukaan par woh shakhs baitha hoga. Use yeh de dena.” Jab Aap se is ke baare me puchha gaya to Aap ne farmaaya “Woh shakhs juve me badi raqam jita tha. Us me se yeh rupye mujhe dene aaya tha.”

Aap ka Wisaal:

Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه ka wisaal 13 Safar 1411 Hijri (1990 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Kodinar (Gujarat) me hai.
Ghoghla (Diu) me Aap ka Chilla banaaya gaya hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Peer Sayyed Shah Hasan Ali Qutub Qadri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *