Biography of Hazrat Maulana Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Maulana Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat:

Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ki wiladat 1054 Hijri (1644 A.D.) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Wajeeh-ud-deen bin Muazzam hai.
Aap Hazrat Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.
Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ke pardaada Shaikh Shams-ud-deen Mufti bin Malik Sair Hindustan aaye the aur Rothak me sukoonat ikhtiyaar ki.

Aap ki Talimaat:

Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne apne waalid Hazrat Shaah Wajeeh-ud-deen aur apne bhai Shaikh Abul Rida Muhammad se ta’aleem haasil ki.
Phir Hazrat Khwaja Khurd Abdullāh bin Khwaja Muhammad Baaqi Billāh رحمة الله عليه se kuchh ta’alem haasil ki.

Phir Hazrat Allama Mirza Muhammad Zaahid Harawi se Hadeeṡ, Fiq’h aur Falsafa ki ta’aleem haasil ki. Hazrat Sayyed Abdullāh Akbarabadi رحمة الله عليه se aur un ke wisaal ke baad Khwaja Abul Qaasim رحمة الله عليه se Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.

Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه Jaame uloom aur azeem Mohaddeeṡ aur Faqeeh the
Aap ne Madrasa Raheemiya, Delhi ki taamir ki aur talba ko dars wa ta’aleem dena shuru kiya.

Aap ‘Fataawa-e-Aalamgeeri’ tayyaar karne waale Ulama me saamil hain (jo Hanafi fiq’h ki motabar kitaabo me se ek hai).
‘Irshaad-e-Raheemiya’ me Aap ki ta’aleemaat ko jama kiya gaya hai.
‘Anfaas-e-Raheemiya’ me Aap ke likhe hue Khato ko jama kiya gay hai.

Pariwaar:

Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ke 2 saahaabzaade hain :
(1) Hazrat Shaah Ahmad Waliullāh,
(2) Hazrat Shaah Ahlullāh.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Khurd Abdullāh bin Khwaja Muhammad Baaqi Billāh رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Naqshbandi’ silsila ke Shakh hain.

Aap ke khalifa:
Hazrat Shaah Qutb-ud-deen Ahmad Waliullāh Mohaddeeṡ Dehalwi رحمة الله عليه.

Aap ka Wisaal:

Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ka wisaal 12 Safar 1131 Hijri (January 1719 A.D.) ko Chaasht ke waqt hua.
Aap ka mazaar Delhi me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Maulana Shah Abdur Rahim Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *