Biography of Hazrat Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Laqab :

Mujaahid-e-Jaleel.

Aap ki Wiladat:

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ki wilaadat 1212 Hijri (1797 A.D.) me Khairabad me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Sadr-us-Sudoor e Delhi Allama Fazle Imaam Faarooqi Khairabadi hai.

Aap ki Talimaat:

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Phir Hazrat Shaah Abdul Qaadir Dehlawi aur Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi se ta’aleem haasil ki.

13 saal ki umr me Aap ne ta’aleem mukammal ki.
Aap sirf 4 mahine me Haafiz e Qur’ān hue.

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه Hadeeṡ, Tafseer, Fiq’h, Falsafa, Kalaam, Mantiq [Ilm e Istadalaal], Ilm-ul-Adab, aur Tasawwuf ke maahir the. Aap ko Imaam e Hikmat wa Kalaam ka laqab mila hai.

Aap ne apne saahabzaade Shams-ul-Ulama Abdul Haq Khairabadi ke saath Madrasa Khairabad ki bunyaad rakhi. Aap ke shaagirdo me Hazrat Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri, Hazrat Maulana Abdul Ali Khan Rampuri aur Hazrat Muhammad Ahsan Jilani mash’hoor hain.
Aap Arabi, Faarsi aur Urdu ke maahir the.

Tasannif:

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Tahqeeq-ul-Fatawa fee Abtalit Taghwa, Shafa’at e Mustafa (ﷺ) 
(2) Al Hidaya Al Sa’aydiya Fil Hikma ul Taabee’aya
(3) Imtinaa’a-un-Nazeer
(4) Al Rauz-ul-Maujood
(5) Bil Rauz-ul-Maujood
(6) Al-Aaqib Fazl e Haq
(7) Baghi e Hindustan
(8 ) Risaala e Saurat-ul-Hindia (Arabi).

Aap ne Arabi me taqreeban 4000 ash’aar bhi likhe hain

Aap ke 3 Deewaan mash'hoor hain :

Makhtoota Arabi Deewaan Allama Fazl e Haq ‘Nuskha Lucknow’
Makhtoota Arabi Deewaan Allama Fazl e Haq ‘Nuskha Badayun’
Makhtoota Arabi Deewaan Allama Fazl e Haq ‘Nuskha Aligarh’.
Aap ne Mirza Ghaalib ki guzaarish par un ke pehle ‘Deewaan’ ki tadween ki.

Aap ne ta’aleem wa tadrees aur tasannif ke zariye Ahle sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.
Aap ne Wahaabi [Salafi] ke bad-aqeede ke baare me Fatawe jaari kiye aur Huzoor Muhammad Mustafa ﷺ ke Khair-ul-Bashar aur Afzal-ul-Ambiya hone ke aur Waseela aur Shafa’at e Mustafa ke ṡaboot pesh kiye.

1240 Hijri (1823 A.D.) me Aap ne Ismāeel  Dehlawi aur Wahaabi firqe ke bad-aqeeda ko radd kiya.
Qaadiaani ke khilaaf bhi fatwe jaari kiye aur un ke Nabuwwat ke daawe ko radd kiye aur Huzoor Muhammad Mustafa ﷺ ke Khaatim-ul-Ambiya hone ke ṡaboot pesh kiye.

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه 1248 Hijri (1832 A.D.) me Jhajjar (Punjab) tashreef laaye. Phir Alwar, Saharanpur aur Tonk hote hue 1256 Hijri (1840 A.D.) me Rampur tashreef laaye aur qayaam pazeer hue. 1264 Hijri (1848 A.D.) me Lucknow tashreef laaye aur Lucknow ke Qaazi [Chief judge] bane. 1272 Hijri (1856 A.D.) ki shuruat me Alwar tashreef laaye.

Ramazaan 1273 Hijri (May 1857 A.D.) me Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه Delhi tashreef laaye aur 18 mahine tak jung e aazaadi ke raahbar rahe 1273 Hijri (1857 A.D.) me Aap ne Angrezo ke khilaaf  Jihaad ke muta’aaliq fatawa jaari kiya.

1857 A.D. ke gadar ke nakaam hone ke baad 24 Jamaadi-ul-aakhir 1275 Hijri (30 January 1859 A.D.) ko Angrez hukoomat ne Aap ko girftaar kiya. Muqadama chalaane ke baad Awadh ki adaalat ne aap ko Kaala-paani [Cellular Jail] ki saza sunaai. Rabi-ul-awwal 1276 Hijri (8 October 1859 A.D.) ko Aap ko ‘Fire Queen’ naami jahaaz se umr qaid ke liye Andaman laaya gaya. Magar 1 saal aur 11 mahine baad 12 Safar 1278 Hijri ko Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ko phaansi de di gai. Is tarah Aap watan ki aazaadi ke liye qurbaani dekar 66 saal ki umr me shaheed hue.

Andaman me Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ne khufiya tareeqe se Arabi me ‘Saurat-ul-Hindia’ kitaab likhi. Jo Aap ke saathi qaidi Maulwi Inaayat Ahmad Kakori ne khufiya tareeqe se aap ke saahbazaade Maulwi Abdul Haq ko pahunchaai

Pariwaar:

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade: Maulwi Shams-ul-Haq, Maulwi Abdul Haq.
Saahabzaadi: Bibi Hirman (Jin ka nikaah Haafiz Ahmad Hasan ‘Ruswa’ se hua).

Aapki Mureedi aur Khilafat:

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه Hazrat Dhiman Chishti Dehlawi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Allama Maulwi Shams-ul-Ulama Abdul Haq Khairabadi رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri رحمة الله عليه

Aap ka Wisaal:

Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه ka wisaal 12 Safar 1278 Hijri (20 August 1861 A.D.) ko Andaman me hua.
Aap ka mazaar Port Blair (Andaman) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Allama Fazle Haq Khairabadi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *