Biography of Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibrāheem al-Misri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه

Laqab:

Zun-Noon.

Aap ki Wiladat:

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه  ki wilaadat  180 Hijri (796 A.D.) me Akhmim (Misr / Egypt) me hui.

Ek baar Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ek jangal se guzar rahe the ki aap ne dekha ke Aap ke kuchh dosto ko khazaane ka sandooq mila tha. Unho ne Aap ko bhi us me se hissa dene ke liye kaha. Aap ne inkar kiya. Magar us me ek takhti par ALLĀH ka naam likha tha. Aap ne us takhti ko uthaaya aur use chuma.

Us raat Aap ne khwaab me ek aawaaz suni ‘Dusre logo ne dunya ka khazaana chuna aur Tum ne hamara naam chuna. Is liye hum ne tumhare liye ilm o hikmat ke darwaaze khol diya hain.’

Ek baar aap ek kashti me safar kar rahe the. Us me ek taajir ka qeemati moti kho gaya. Us ne aap par moti churaane ka iljaam lagaya. Us ke kehne par logo ne aap ko peetna shuru kiya. Aap ne aasmaan ki taraf dekhkar kaha ‘Aye ALLĀH! Tu jaanta hai ki main chor nahi hu.’ Itne me hazaaro machhaliya apne munh me moti lekar paani ke upar aai. Hazrat ne ek machhli ke munh se moti lekar us shakhs ko de diya. Wo tamaam log bahot sharminda hue aur Aap se maafi maangi.

Tab se Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ka laqab ‘Zun-Noon’ ho gaya.

Ek baar Eid ki raat ko aap ke nafs ne Aap se kaha ‘Aap ne kai saal se koi lazeez khaana nahi khaya. Kal eid ka din hai. Kal to kuchh achha khaana khaa lo.’ Aap ne us se kaha ‘Main aaj raat me 2 rak’at namaaz padhunga. Jis me pura Qur’an majeed mukammal karna chaahta hu. Agar us me tum mujhe saath do to kal main tumhe kuchh achha khaana khila sakta hu.’

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ne raat me 2 rakat namaaz padhi jis me khushu wa khuzu ke saath pura Qur’an majeed mukammal kiya.

Subah Aap ke nafs ne kaha ‘Aaj 10 saal ke baad achha khaana khaane ki meri khwaahish puri hogi.’ Aap ne kaha ‘Ab to main tumhe is me kaamyaab nahi hone dunga.’

Itne me ek shakhs ek bartan me khaane lekar aaya aur kehne laga ‘Huzoor!Main bahot ghareeb hu. Mere pariwaar ne kabhi achha khaana nahi khaaya. Maine bahot mehnat karke aaj eid ke din un ke liye achha khaane ka intazaam kiya hai. Raat ko mere khwaab me Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki ziyarat hui aur aap ne farmaaya, agar tum roze qayaamat mujh se milna chaahte ho to is khaane ko jaakar Zun-Noon misri ko de do. Aur us se kehna kuchh lamho ke liye apne nafs se samjhauta kar lo aur is khaane me se kuchh lukme khaa lo.’

Apne Aaqa ﷺ ka farmaan sunkar Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ne us bartan me se kuchh lukme khaaye aur phir use us shakhs ko waapas diya.

Ek baar ek shakhs Aap ke paas aaya aur bataya ‘Bhaari qarz ki wajah se bahot pareshaan hu.’ Aap ko raham aaya aur ek patthar ko uthaaya. Jaise aap ne patthar uthaaya wo heera ban gaya. Aap ne us shakhs ko de diya aur us ne use bechkar apna qarz ada kiya.

Logo ne Aap par zindeeq (heretic) hone ka iljaam lagaya aur baadshah ne aap ko qaid kar liya. Aap ko 40 din tak qaid me rakha gaya. Aap ki bahen Aap ke liye khaana laati thi magar aap roz mana karte the. Jab Aap ko riha kiya gaya to aap ki bahen ne puchha ‘Aap ne khaana kyun nahi khaaya? Main to halaal kamaai se aap ke liye khaana laati thi.’ Aap ne farmaaya ‘Ye sach hai. Magar tum jis darbaan ke saath khaana bhejti thi wo zaalim tha.’

Phir baadshaah Aap se kuchh mushkil sawaal puchhe. Aap ne us ke qaabil e taarif jawaab diye. Use sunkar darbaar me maujood tamaam log hairat me pad gaye. Aur baadshaah bhi Aap ka mureed ho gaya aur aap ki bahot ta’azeem karne laga.

Ek shakhs Auliya e kiraam ka munkir tha. Ek roz ittifaaqan us ki mulaaqaat Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه Zun-Noon Misri se ho gai. Hazrat ne use ek angoothi dekar farmaaya ‘Jaao, Kisi Naanbaai ke paas ise girwi rakh aao.’ Wo shakhs angoothi lekar Naanbaai ke paas gaya aur use angoothi girwi rakhne ko kaha. Us Naanbaai ne angoothi dekhi aur kaha ki ‘Ise ek dirham se zyada me na rakhunga.’ Wo shakhs angoothi waapas le aaya aur Hazrat ko yeh baat bataai. Aap ne farmaaya ‘ Achha, Ab ise kisi Sarraaf ke paas le jaao aur us se daryaaft karo ki woh ise kitne me girwi rakhega.’ Woh us angoothi ko lekar ek Sarraaf ke paas gaya. Sarraaf ne angoothi dekhkar kaha ki ‘Main ise ek hazaar dirham par girwi rakhuga.’ Us shakhs ne aakar Aap ko bataaya.

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ne farmaaya ki ‘Bas mujhe yehi samjhaana tha ki tumahra ilm itna hai jitna us naanbai ka is anghooti ke muta’alliq tha. Tum agar Aarif (pehchaanne waale) hote to Auliya e kiraam ka inkaar nahi karte.’ Woh foran apni galti par sharminda hua aur tauba ki.

Aqwaal :

(1) Insaan ki kharaabi ki wajah yehi hai ki wo ALLĀH ko raazi karne ke bajay logo ko raazi karne me laga rehta hai, shaitaan ke behkaane par bahek jaata hai aur maut ko bahot door maanta hai aur nek amal karne me dilchaspi nahi rakhta aur nafs ko raazi karne ke liye Sunnat e Rasool ko chhod deta hai aur jab koi galti ho jaaye to kehta hai ki akaabir (Auliya wa Ulema) bhi lagzish ho jaati hai jab ki us waqt wo un ke martabe aur kamaalat ko bhool jaata hai.

(2) Ishq e ilāhi ki daleel Sunnat e Rasool ko apnaana hai. Sunnato ko mukammal aur mazbooti se apnaaye baghair ishq e ilāhi mumkin nahi.

(3) Soofi wo hi hai jo us nek amal ke liye kahe jis ko wo khud karta ho.

(4) Khalwat (tanhaai) se behtar koi cheez aisi nahi hai jo Ikhlaas ki raah par le jaaye. Jis ne khalwat ko apnaaya us ne ikhlaas ke sutoon ko mazboot pakad liya.

(5) Koi ta’areef kare ya buraai, Us ki parwaah kiye baghair Neki ka kaam karte rehna ye Ikhlaas hai.

(6) 4 baaten qalb ki beemari ki nishaani hain :
[1] Wo ALLĀH ta’ala ke khauf se khaali hota hai.
[2] Wo ibaadat ki halaawat (meethaas) mehsoos nahi karta.
[3] Wo dunya ki cheezo aur waardaato se koi sabak haasil nahi karta.
[4] Wo apne ilm ko amal me nahi laata.

(7) Insaan ki Hidaayat milne ki 3 nishaaniya hain :
[1] Museebat aur ranj ke waqt wo Sabr karta hai.
[2] Ne’amat milne par ALLĀH ta’ala ka shukr ada karta hai.
[3] Jab kisi par ghussa aata hai to us shakhs se rishta aur ta’alluq tod nahi deta balke us ke ehsaan aur achhai yaad karta hai.

(8) Ma’arifat ki 3 qisme hain :
[1] Ma’arifat-e-Tauheed – ALLĀH subhān wa ta’ala ki wahaadaniyat ki pehchaan, jo har musalman ko hoti hai. (Ilm-ul-Yaqeen)
[2] Ma’arifat-e- Hujjat wa Bayaan – ALLĀH subhān wa ta’ala ke wujood ki daleel, jis ka ilm Ulama ko hota hai. (Haq-ul-Yaqeen)
[3] Ma’arifat-e-Sifaat – ALLĀH ta’ala ki Sifaat ki pehchaan, jo Auliya Allāh ko hoti hai. (Ain-ul-Yaqeen).

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ke shaagirdo me Hazrat Sahl al-Tustari رحمة الله عليه mash’hoor hain.

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه beemaari ke sabab be-hosh the. Wisaal ke pehle aap ne aankhen kholi to Yousuf bin Husain ne kuchh naseehat ke liye kaha. Aap ne farmaaya ‘Mujhe guftagu me masroof mat karo. Main Rab ta’ala ki rahmato ki baarish dekhkar hairat me hu.’ 

Jab log Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ka janaaza lekar ja rahe the tab dekha ki parindo ka ek bahot bada jhund janaaze ke upar aasmaan me aa gaya aur janaaze ke saath saath udta hua saaya karta raha.

Raaste me masjid ke paas se janaaza guzra to moazzin ne jab pukaara ‘Ash’hadu al laa ilāha illallāh’ to Aap ne apni shahaadat ki ungli ko uthaaya. Logo ne jaanch karne ke liye janaaza rakhkar dekha ki shaayad Aap abhi zinda ho. Magar jab dekha to Aap ke jism me koi harkat nahi thi. Jab aap ki ungli ko sidhi karne ki koshish ki gai to wo nahi hui. Aur qabr me utaarte waqt bhi Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ‘Shahaadat’ dete rahe.

Aap ka Wisaal:

Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri رحمة الله عليه ka wisaal  10 Safar 245 Hijri (859 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Qarafa, Cairo (Egypt) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Abul Faiz Saubaan ibn Ibraheem al Misri Zun-noon رحمة الله عليه aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *