Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
Aap ki Wiladat:
Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki wiladat Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrate Yaasir ibn Aamir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur waalida ka naam Hazrate Sumayya bint Khayyaat al-Makhzoomi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ hai.
Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke walid Yaasir apne do bhai Haariṡ aur Maalik ke saath apne ghumshuda bhai ko dhundhte hue Qahtan (Yemen) se Makka aaye. Phir Yaasir Makka me sukoonat pazeer hue. Abu Huzaifa Makhzoomi se unki dosti ho gai. Abu Huzaifa ne apni baandi Sumayya se Yaasir ka nikaah karwaaya.
Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
Ailaane nabuwwat ke baad Hazrat Abu Bakr Siddeeq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Aap ko islaam ki da’awat di. Aap jab Daar-ul-Arqam par pahunche to Suhayb ibn Sinan se mulaaqaat hui. Dono andar gaye aur Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki khidmat me haazir hue. Islaam ki haqeeqat jaankar Aap foran eimaan laaye. Aap ke waalid Hazrate Yaasir, Sumayya aur aap ke bhai Abdullāh bhi musalman hue.
Is ke baad Quraish ne un par be-inteha zulm karna shuru kiya. Kabhi dopahar ke waqt tapti ret par leta kar itna maarte ke ye log behosh ho jaate, kabhi un par angaare rakh dete, kabhi lohe ki jirah pehnakar tez dhoop me khade rakhte, kabhi paani me doobo kar gote dete. Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki peeth aur jism par inke nishaan ban gaye the. Huzoor Rasool-Allāh ﷺ unhe sabr ki talqeen karte aur jannat ki khushkhabari sunaate.
Ek martaba Quraish ne itni shadeed takleefen di ki aakhir me Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko Huzoor ﷺ ki shaan me kuchh galat alfaaz kehne pade. Jab Aap Huzoor Nabi e kareem ﷺ ki khidmat me haazir hue to Huzoor ﷺ ne puchha “Aye Ammaar! Tum par kya guzri?” Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh ﷺ! Bahut bura hua. Quraish ne mujhe itni takleefen di ki mujhe majboor hokar apni jaan bachaane ke liye Aap ki shaan me kuchh galat alfaaz kehne pade aur un ke buto ki ta’aareef karni padi .” Huzoor ﷺ ne farmaaya “ Tum apne dil ko kaisa paate ho?” Aap ne farmaaya “Main apne dil ko eimaan par mazboot paata hu.” Huzoor ﷺ ne farmaaya “Agar wo Kaafir dobaara tumhe aisi takleefen den to tum jaan bachaane ke liye waisa hi kar lena jaise pehle kiya.”
Is ke baad yeh aayat naazil hui :“Jo shakhs apne eimaan laane ke ba’ad kufr kare siwa e us ke jise intihai majboor kar diya gaya aur uska dil eimaan se mutma’in hai aur jo shakhs jis ne sharahe sudur ke saath kufr ikhtiyaar kiya to un par ALLĀH ki taraf se ghazab hai aur un ke liye zabar-dast azaab hai.” (Soorah an-Nahl, Aayat 106)
Is ke chand din baad Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne irshaad farmaaya “Yaqeenan Ammaar ibn Yaasir sar se paav tak eimaan se bhara hua hai.”
Kuchh waqt baad Abu Jahl ne Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki waalida Hazrate Sumayya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko pait me barchi daalkar shaheed kar diya. Hazrate Sumayya us waqt budhi aur jaeef thi. Woh Islaam ki khaatir shaheed hone waali sab se pehli khaatoon hui. Is ke baad Aap ke waalid Hazrate Yaasir aur bhai Abdullāh رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ bhi shaheed hue.
Hazrat Abu Zar Jundub ibn Junaada al-Ghaffaari, Hazrat Miqdaad bin Aswad, Hazrat Ammaar ibn Yaasir aur Hazrat Salmaan al-Faarsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُma ko Mo’mino ke 4 sutoon kaha gaya hai.
57 saal ki umr me Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Makka se hijrat karke Madeena munawwara aaye.
Masjide Nabawi ki ta’ameer ke dauraan dusre sahaaba ek eent uthaate the tab Aap do eent uthaate the. Yeh dekhkar Huzoor ﷺ ne farmaaya “Aye Ammaar! Tum dusro se dugna ajr paaoge.”
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne farmaaya hai ki “Jo Ammaar se dushmani karega ALLĀH uska dushman hai, jo Ammaar se bughz rakhega ALLĀH use zaleel karega aur jo Ammaar ko bura kahega ALLĀH use apni rahmat se mahroom rakhega.”
Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne jung e Badr me aur dusri jungo me shareek hokar bahaduri dikhai.
Jung e Badr me Abu Jahl qatl hua to Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne farmaaya “Aye Ammaar! ALLĀH ta’ala ne teri waalida ke qaatil ko halaaq kar diya.”
Ek ghazwa me Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ka ek kaan kat gaya to Aap fakhr se farmaate the ke “Jo kaan kat gaya woh saheeh kaan se behtar hai.”
Aap Bai’at-ur-Ridwaan aur Hajjatul Wida me bhi shareek hue.
Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne farmaaya tha “Ammaar! Tumhe ek baahgi giroh qatl karega. Tum unhe jannat ki taraf bulaoge aur wo jahannam ki taraf bulaane waale honge.”
Hazrat Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke zamaane Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ kuchh arse tak Kufa ke governor rahe.
Ek martaba ek shakhs Hazrat Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke paas aaya aur kaha “Mujhe ghusl ki haajat thi lekin paani mayassar nahi tha.” Aap ne foran farmaaya “Ameer-ul-mo’mineen! Aap ko yaad hai ek martaba ek safar ke dauraan mujhe aur aap ko ghusl ki haajat thi. Maine tahaarat ke liye apne pure badan ko mitti me ragda tha. Phir jab hum Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki khidmat me haazir hue aur yeh baat batai to
Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya tha ke : Tum ne is tarah kiya hota jaisa main karta hu tab bhi kaafi tha.” Phir Huzoor ﷺ ne apne dono haath zameen par mare, phir zaa’id mitti ko jhaad di aur dono haatho ki mitti pure munh par aur dono haatho par kohniyo tak mal li.”
Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ logo ko hamesha haq ka saath dene ki naseehat farmaate the.
Junge Jamal aur Junge Siffin ke mauqe par Aap ki umr taqreeban 84 saal thi. Aap Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke lashkar me shareek hue
Junge Siffin ke dusre din bahaaduri ke saath jung karte hue shaheed hue.
Aap ka Wisaal:
Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ka wisaal 9 Safar 37 Hijri (27 July 657 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua.
Aap ka mazaar Raqqah (Syria) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Ammar bin Yasir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur sahaaba aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.