Biography of Hazrat Shaikh Sayyed Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab :

Saangde Sultaan Mushkil Aasan, Shaikh-ul-Islaam, Qutb-ul-Aqtaab.

Aap ki Wiladat:

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Sayyed Shaah Ahmad bin Sayyed Shaah Muhammad Zakariya Rifai رحمة الله عليه hai.

Aap Husaini saadaat hain

Aur Hazrat Imaam Sayyed Moosā al-Kaazim رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain. Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Ahmad Kabeer Rifai رحمة الله عليه ki nasl se hain.

Aap ke naana Hasani saadaat hain aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ anhu ki nasl se hain.

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه ke pardaada Hazrat Shaikh Sayyed Shaah Ibrāheem Rifai رحمة الله عليه Iraq se Dehli tashreef laye the. Hazrat Sayyed Ibrāheem Rifai, Sultaan Muhammad bin Tughlaq ki fauj me Sipah saalaar the. Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya رحمة الله عليه ne unhe Chishti silsila ki khilafat ata farmai thi. 

725 Hijri me Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya رحمة الله عليه ke wisaal ke baad Hazrat Sayyed Ibrāheem Rifai رحمة الله عليه aur Hazrat Sayyed Saeed-ud-deen Rifai al-ma’aroof Haaji Sayyaah Sarwar e Makhdoom Kandhari رحمة الله عليه Sultaan Muhammad bin Tughlaq ke saath Dehli se Daulatabad tashreef laaye.

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه ne apne waalid Hazrat Shaikh Sayyed Shaah Ahmad Rifai رحمة الله عليه se jumla uloom o funoon ki ta’aleem haasil ki.

Aap ne safar karke Deccan, Sindh aur Punjab aur Khurasan me Silsila e aaliya Rifaiya ki isha’at ki. Yaha kaṡeer ta’adaad me aap ke mureedeen the. Ghair muslim bhi aap ka ehtaraam karte the.
Aap ki ta’aleem wa faiz aur husne akhlaaq se beshumaar ghair-muslim islaam me daakhil hue.

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه barchi aur neza chalaane me maahir the. Deccan me Qila Devgarh (Daulatabad) me ek Sangad naami ek jaadoogar rehta tha. Aap ne us se muqaabala kiya aur use maarkar fateh haasil ki aur logo ki museebaten door farmai.

Sindh aur Punjab me qayaam ke dauraan Sangad qabeele ke log apni mushkilen door karne ke liye Aap ki khidmat me aate aur aap unki imdaad farmaate.
Is tarah Aap ‘Saangde Sultaan Mushkil aasaan’ ke laqab se mash’hoor hue.

Aap ek jayad aalim o fazil aur musannif hone ke alawa aabid aur zahid aur sahib e batin buzurug the. Akṡar waqt ibaada o riyaazat aur mujaahida wa muraqaba me guzaarte. Aap ke kashf o karamat wa taqqadus wa irfan ki shahurat aap ki heene hayaat (zindagi) me hi ho chuki thi.

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه ki ta’aleem wa faiz aur husne akhlaaq se beshumaar ghair-muslim islaam me daakhil hue. Aap apne waqt ke ahle tareeqat ke muqtada aur peshwa the. Aapki Zaat e Baa Barkat se Silsila e Aaliya Refaiya ko Deccan me bahot Farog hasil hua.

Tasannif:

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه ne ‘Ain-ul-Jamaal’ naami kitaab likhi hai. Aap ne Qur’ān majeed ka Faarsi me tarjuma bhi kiya hai. 

Aap ke bhaanje aur khalifa Hazrat Sayyed Shaah Zia-ud-deen Biabani رحمة الله عليه ne ‘Matloob-ut-Taalibeen (Faarsi)’ me Aap ke maktubaat wa aqwaal jama kiye hain.

Aqwaal:

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه  irshaad farmaate hain :

(1) Jo kuchh baghair maange mile use qubool kar lo, zyada ki khwaahish na karo.

(2) Faqeero ko agar kuchh khila nahi sako to kam az kam un se achhe akhlaaq se pesh aao.

Pariwaar:

Aap ki 2 biwiyan hain :
(1) Bibi Jamaal saahiba se 3 saahabzaade hain.
(2) Bibi Taara saahiba se koi aulaad nahi.

Saahabzaade :
(1) Sayyed Azeem-ud-deen urf Shaah Dhadak
(2) Sayyed Ahmad urf Manjhle Chilledaar (Sajjaada nasheen)
(3) Sayyed Moeen-ud-deen urf Shaah Kadak (inka inteqaal banchpan hi me hua).

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه (apne waalid) Hazrat Shaikh Sayyed Shaah Ahmad Rifai رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat ne Aap ko Rifai, Qaadri, Chishti aur Suharwardi silsile ki khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Shaah Ahmad urf Manjhle Chilledaar رحمة الله عليه
(2) Hazrat Sayyed Shaah Zia-ud-deen Biabani رحمة الله عليه.

Aap ka Wisaal:

Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai رحمة الله عليه ka wisaal 8 Safar 856 Hijri (29 February 1452 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Kandhar (Zila Nanded, Maharashtra) me hai.

Sindh ke Sangad qabeele ke Muhammad Ibrāheem naami aap ka ek mureed tijaarat ke liye samundar me safar kar raha tha. Achanak unka jahaaz toofaan me phans gaya. Unho ne Hazrat ko yaad kiya. Hazrat ki waseele se toofaan tham gaya aur woh maal ke saath apne ghar pahunche. Phir Hazrat ki baargaah me aaye lekin waha pahunchkar pata chala ke aap ka inteqaal ho chuka hai. Muhammad Ibrāheem ne aap ka mazaar aur gumbad aur masjid aur khaanqaah ta’ameer karwaaye.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Shaikh Sayyed Shah Ainuddin Ali Hussaini Rifai Saangde Sultaan رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *