Table of Contents
ToggleHazrat Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat :
Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه ki wiladat 762 Hijri (1360/61 A.D.) me Charkh (Transoxiana) me hui.
Aap ke waalid ka naam Uṡmaan bin Mahmood Ghaznawi hai.
Aap ki Talimat:
Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه ne pehle Herat (Iran) me aur phir Misr jaakar ta’aleem haasil ki. Aap ne Hazrat Shahaab-ud-deen Shirawani se aur deegar ulama se ta’aleem haasil ki. Aur Mufti ki sanad haasil ki.
Aap Haafize Qur’ān hue aur 5,00,000 Ahadeeṡ ko hifz kiya. Phir Aap apne watan tashreef laaye.
Fatahabad me qayaam ke dauraan ek martaba Aap Hazrat Shaikh Alam Saif-ul-Haq Bakhirzi رحمة الله عليه ke mazaar par muraaqaba kar rahe the tab Aap ko Hazrat Khwaja Shaah Baha-ud-deen Naqshband رحمة الله عليه ki baargaah me jaane ke liye bashaarat hui.
Aap safar karke Qasr Arifan tashreef le gaye.
Jab Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Naqshband ki baargaah me pahunche aur bai’at ke liye arz kiya to Hazrat ne Aap ko subah ko milne ke liye farmaaya. Aap puri raat fikrmand rahe ke Hazrat mujhe qubool farmaenge ya nahi. Subah ko Hazrat ke pichhe namaaz e fajr ada karne ke baad Hazrat ki khidmat me aaye to Hazrat ki ek nazar se Aap ke dil me sukoon paida ho gaya. Phir Hazrat ne apna shajra padhna shuru kiya aur Huzoor Rasool-Allāh ﷺ aur Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu se lekar Hazrat Khwaja Sayyed Ameer Kulaal رحمة الله عليه tak silsile ke masha’ikhe saabiq ke naam padhte gaye to wo tamaam Hazraat ek ke baad ek jalwa afroz hote gaye aur faiz ata farmaate rahe. Hazrat Khwaja Abdul Khaaliq Ghujdwani ne Wuqoof-ul-Adadi ka ilm bhi ata farmaaya jo unhe khaas Hazrat Khizr alaihis salaam se mila tha.
Hazrat ke mureed hone ke baad kuchh arse tak Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه Peer o murshid ki khidmat me rehkar ta’aleem aur faiz haasil karte rahe.
Aap jab waapas jaa rahe the tab Hazrat ne farmaaya “Raaste me agar Maulana Taaj-ud-deen al-Kawlaki se mulaaqaat ho to un ki baargaah me apne dil ko fuzool khyaalo se paak rakhna warna wo tumhare dil ka haal jaan lenge aur tumhe daantenge.” Aap ne arz kiya “Huzoor! Main Balkh jaa raha hu magar mujhe Kawlak ki taraf nahi jaana hai. Is liye meri Maulana Taaj-ud-deen Kawlaki se mulaaqaat nahi hogi.”
Magar raaste me haalaat aise hue ke qaafile ko Kawlak ki taraf se guzarna pada. Aap ko apne Peer ki baat yaad aai. Qaafila jab Kawlak pahuncha to andheri raat thi. Aap masjid me gaye aur Maulana Taaj-ud-deen Kawlaki ke baare me puchha. Ek shakhs ek khambe ke pichhe se aaya aur puchha “Kya aap Ya’aqoob Charchi hain?” Aap ko ta’ajjub hua.
Us shakhs ne kaha “Heratzada mat ho. Mujhe mere Shaikh Khwaja Baha-ud-deen Naqshband ne bheja hai.” Jab Aap us shakhs ke saath gaye to raaste me ek buzurg mile. Unho ne kaha ‘Bete! Humari raah herat me daal dene waali baato se bhari hui hai. Jo koi is me daakhil hota hai woh use samajh nahi sakta. Is liye mureed ko apne deemagh ko is se door rakhna chaahiye.”
Jab Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه Maulana Taaj-ud-deen Kawlaki ki baargaah me pahunche to Aap ke liye khayaalo ko rokkar rakhna bahot mushkil tha. Hazrat ne apne khaas ilm me se kuchh hissa aap ko ata farmaaya jo Aap ne kabhi suna bhi nahi tha. Aap ko behad khushi hui ke Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Naqshband ne mujh par khaas karam farmaaya aur Maulana Taaj-ud-deen Kawlaki ki khidmat me pahunchaaya. Aur Aap ke dil me apne Peer ke liye aur mohabbat aur adab paida hui.
Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه kai baar apne Peer Hazrat Khwaja Sayyed Baha-ud-deen Naqshband ki mulaaqaat ke liye tashreef le jaate.
Khwaja Naqshband ke wisaal ke baad Aap ranjeeda hokar Kash tashreef le gaye. Magar Khwaja Naqshband ke farmaan par Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Attaar رحمة الله عليه ki baargaah me aaye aur un se ta’aleem mukammal ki.
Tasannif :
Aap ki likhi hui kitaaben :
(1) Tafseer Ya’aqoob Charkhi
(2) Risaalah Naa’iyah
(3) Risaalah Unsiyyah
(4) Risaalah Abdaaliah
(5) Risaalah Darbaare Ashaab wa Alaamaate Qayaamat
(6) Tareeqah Khatm Ahzaab
(7) Sharah Asma ul Husna
(8) Sharah Rubaai Abu Saeed Abul Khair, Jamaaliah, Hooraaiyah.
Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه ke saahbazaade Hazrat Maulana Yousuf Charkhi رحمة الله عليه hain.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Sayyed Shaah Baha-ud-deen Naqshband رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Attaar رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khalifa :
Hazrat Khwaja Nasir-ud-deen Ubaidullāh Ahraar رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه ka wisaal 5 Safar 851 Hijri (22 April 1447 A.D.) ko Sanichar ke roz hua.
Aap ka mazaar Dushanbe ke qareeb Hulaftu (Tajikistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Yaqub Charkhi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait aur Ashaaba ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.