Hazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه
Laqab:
Hujjatullāh [Proof of Allāh].
Aap ki Wiladat:
Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه ki wilaadat 1034 Hijri (1624 A.D.) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Muhammad Ma’asoom bin Hazrat Mujaddid e alfe ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi al-Faarooqi rahmatullāhi alaihi hai
Aap ki Talimaat:
Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه ne apne waaild Hazrat Khwaja Muhammad Ma’asoom, apne chacha Hazrat Khwaja Muhammad Saeed Sirhindi aur deegar ulama se ta’aleem haasil ki.
Aap ka Hajj:
Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه ko 2 martaba Hajje Baitullāh ki sa’adat haasil hui.
Aap akṡar mughal lashkar me rehkar sipaahiyo aur saalaaro ko taaleem wa naseehat farmaate. Bahot saare sipaahi Aap ke mureed the.
Aap ne Mughal baadshaah Hazrat Aurangzeb ko kai khat likhe the.
Maulana Imaad-ud-deen Muhammad ne ‘Manktubaat’ me Aap ke 128 khato ko jama kiya hain.Aap ke pote aur khalifa Khwaja Muhammad Zubair bayaan karte hain ke
“Ek martaba Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه shadeed beemaar the aur apne ghar me baithe the. Itne me ek imaama pehna hua shakhs aaya (jo ek farishta tha) aur aap se kaha ke ‘ALLĀH ta’ala ne Aap ko Salaam bheja hai.’ Aap ne sar uthaaya aur us se farmaaya ‘Allāhumma antas salaam wa minkas salaam tabaarak yă zul-jalaali wal ikraam.’”
Aap ke saahabzaade:
(1) Shaikh Abul A’alā (Wisaal 1107 Hijri)
(2) Shaikh Muhammad Umar
(3) Shaikh Muhammad Kaazim.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Muhammad Ma’asoom Naqshbandi Sirhindi rahmatullāhi alaihi ke mureed hain. Aur ‘Naqshbandi Mujaddidi’ silsile ke Shaikh hain
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Muhammad Zubair bin Shaikh Abul A’alā Sirhindi rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Abul Khair Burhanpuri rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Ziyā-ud-deen Yousuf Mujaddidi bin Khwaja Yahyā Sirhindi rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Shaikh Abdul Kareem rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Shaikh Haaji Abdullāh rahmatullāhi alaihi
Aap ka Wisaal:
Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه ka wisaal 9 Moharram 1115 Hijri (14 May 1703 A.D.) ko 80 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Sirhind (Punjab) me hai.
Aazaadi aur taqseem e mulk ke waqt fasaad ke dauraan kuchh muslim Aap ke mazaar me panaah li thi. kuchh sikh ne un ko maarne ke liye hamla kiya. Magar jaise hi wo sikh dargaah ke qareeb aaye dargaah ke minaar tootkar un par gire. Jis se darkar wo sab waha se bhaag gaye.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.