Biography of Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat:

Aap ki wilaadat 948 Hijri (1576 A.D.) me Lahore me hui.

Aap ki Talimaat:

Qareebi Masjid me Qur’ān majeed ki ta’aleem haasil karne ke baad Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه ne mukhtalif Ulama se mazeed ta’aleem haasil ki aur ek zabardast Aalime deen ban gae.

Phir Hazrat Sayyed Shaah Sikandar Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi se bai’at ki aur Hazrat ki khidmat me rehkar faiz haasil kiya. Phir Hazrat Shaikh Abdul Ahad Sirhindi rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar faiz haasil kiya.

Aap ka Laqab:

“Qutb e Punjab”

Ek din saalikeen ke majlis me Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani rahmatullāhi alaihi ne farmaaya ke “Main ek shakhs ki peshani par ‘Huwal Kaafir ya’ani Ye Kafir he likha hua dekh raha hu.” 

Yeh sun kar haazireen laraz gae. Is baad jab 5-6 mahine guzre to Hazrat Shaikh Muhammad Taahir ek Kaafira aurat ke ishq me mubtila ho gae. Apne gale me Zunnaar bandh liya aur kabhi kabhi Mandir me bhi jaa baithte. 

Aapki yeh haalat dekhkar Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani ke Saahabzaadgaan aur Mutawaasileen ne Aapke liye dua ki guzarish ki. Baar baar israar karne ke baad Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani ne Ghauṡe aazam ke waseele se Dua farmaai to Hazrat Shaikh Muhammad Taahir par ALLĀH ta’ala ka khaas fazl o karam hua aur zunnaar utarkar phenka aur foran Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani ki khidmat me haazir hokar taa’ib hue aur Hazrat ki khidmat me rehkar uloom e baatini ki ta’aleem haasil ki. Sulook wa ma’arifat ki aala tareen manaazil tay karne ke baad Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai aur Qutb e Punjab banakar Lahore bheja.

Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه bade Saahib e Kashf o Karaamat Buzurg the.
Aap akṡar waqt ibaadat o riyazat me guzaarte. Logo ko ta’aleem wa talqin farmaate.
Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani ke saahabzaade Muhammad Saeed aur Muhammad Ma’asoom ne bhi Aap se ta’aleem haasil ki.
Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه tamam umr kisi daulatmand ke paas na gae aur na hi unko apne darbaar me aane ka mauqa diya.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Shaah Sikandar Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi ke mureed hain. Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Allama Mushaahid Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Allama Maulana Ahmad Mas’ood Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Haafiz Qaari Askari Raza Khan
(4) Hazrat Allama Idrees Raza Khan
(5) Hazrat Maulana Taqaddus Ali Khan
(6) Hazrat Allama Abdul Mustafa Hashmati
(7) Hazrat Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shaah Mustafa Haidar Hasan Barkaati rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Haafiz Muhammad Abdus Salaam Razawi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Abdul Wahaab Balrampuri.

Aap ka Wisaal:

Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه ka wisaal 8 Moharram 1040 Hijri (17 August 1630 A.D.) ko 56 saal ki umr me hua. Jaha Aapki Dars-gaah thi wahi par Aap ko dafn kiya gaya.

Aap ka mazaar Lahore (Pakistan) me Miyani Qabrastan me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Shaikh Muhammad Tahir Bandagi Lahori رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele seSab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *