Hazrat Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi Rahmatullāhi Alaihi | Biography with Free PDF

Laqab:

Shaikh-ul-Islaam, Shaikh-ul-Shuyukh.

Aap ki Wiladat:

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi ki wilaadat Sha’abaan 539 Hijri (1145 A.D.) me Suharward (Iran) me hui.  Aap ke waalid ka naam Mohammad bin Abdullāh al-Bakari hai.

Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala nahu ki nasl se hain. Aap Hazrat Shaikh Abul Najib Abdul Qaahir Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke bhatije hain. Aap ke waalidain ko koi aulaad nahi thi.

Ek baar Aap ki waalida Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki baargaah me haazir hui to un ko aulaad ke liye dua karne ke liye arz kiya. Hazrat Ghauṡ-ul-aazam ne dua ki aur farmaaya “Tumhare yaha ALLĀH ta’ala ka khaas aur muqarrab banda aane waala hai.”

Aap ki Talimaat:

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi ne Suharward me bunyaadi ta’aleem haasil ki. Phir mazeed ta’aleem ke liye Baghdad gaye. Aap ne Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu se ta’aleem haasil ki.

560 Hijri (1162 A.D.) me Hazrat Ghauṡ-ul-aazam ne Aap ko khilaafat ata farmai. In ke ilaawa aap ne Hazrat Shaikh Abul Najib Abdul Qaahir Suharwardi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Shaikh Najm-ud-deen Ahmad al- Kubra Rahmatullāhi Alaihi aur deegar mashaa’ikh se bhi ta’aleem aur faiz haasil kiya.

Kuchh waqt Abbadan jazeere me Abdaalo ki sohbat me rehkar aap ne faiz haasil kiya. Aap Qur’ān, Hadeeṡ, Fiq’h, Ilm e Istdalaal, aur Kalaam ke maahir the.

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi Shafi’i aur Hanbali mazhab ke maahir the.

Aap ka Hajj:

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi ne kai martaba Hajj e Baitullāh ada kiye. 628 Hijri (1231 A.D.) me aap ne apne saahabzaade Shaikh Imaad-ud-deen Mohammad ke saath aakhri Hajj ada kiya.

563 Hijri (1165 A.D.) me Hazrat Abul Najib Abdul Qaahir Suharwardi ke wisaal ke baad aap ne Khaanqaah ki zimmedaari sambhali.

Aap ne talba ke liye 3 Naye Ribat (Hostel) Banaye

(1) Ribat-e-Nasri
(2) Ribat-e-Bistami
(3) Ribat-e-Mamoonia.

Khalifa al-Nasir ne Aap ko ‘Shaikh-ul-Shuyukh’ ka khitaab ata kiya. Aap ki shohrat dunya ke tamaam ilaaqo me phaili hui thi.

Alag alag ilaaqo me se bahot badi ta’adaad me log aap se mulaaqaat ke liye aate the aur utni hi ta’adaad me log aap ko khat likhte the.

Aap hamesha saadgi ke saath zindagi guzaarte the. Roz hazaaro log aap ko nazraana ata farmaate the magar aap woh tamaam maal ghareebo aur mohtaajo me taqseem kar dete.

Aap ki likhi hui kitaabo me ‘Awaarif-ul-Ma’arif’ mash’hoor hai.

Aqwaal:

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi irshad farmate hai:

(1) Ilm ki 3 qismen hain :

[1] Ilm-e-Tauhid – ALLĀH subhān wa ta’ala ki wahaadaniyat ka ilm,
[2] Ilm-e-Ma’arifat – ALLĀH subhān wa ta’ala ki sifaat wa qudrat ka ilm,
[3] Ilm-e-Shariat – ALLĀH subhān wa ta’ala ke akhaam wa arkaan ka ilm.

Aur in teeno raaste par safar karne waale aur un ke maqaam alag alag hote hain.

(2) Duniya me 2 cheezen hi amal ke liye behtar hain :

[1] Faqeero ki sohbat rehna aur
[2] Auliya Allāh ki ta’azeem karna.

Aap ke 3 Sahibzaade hain:

(1) Shaikh Zain-ud-deen,

(2) Shaikh Imaad-ud-deen Muhammad [Wisaal 655 Hijri (1257 A.D.)],

(3) Shaikh Jamaal-ud-deen.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi Hazrat Shaikh Zia-ud-deen Abul Najeeb Abdul Qaahir Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke Khulfa:

(1) Hazrat Shaikh Imaad-ud-deen Muhammad rahmatullāhi alaihi

(2) Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi

(3) Hazrat Khwaja Qaazi Hameed-ud-deen Muhammad Faarooqi Nagori rahmatullāhi alaihi

(4) Hazrat Meer Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi rahmatullāhi alaihi

(5) Hazrat Shaikh Jalaal-ud-deen Muhammad Tabrizi rahmatullāhi alaihi

(6) Hazrat Shaikh Muslih-ud-deen Sa’adi Shirazi rahmatullāhi alaihi

(7) Hazrat Sayyed Meer Nizaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Baghdad)

(8 ) Hazrat Shaikh Nooh Bhakkari Sindhi rahmatullāhi alaihi

(9) Hazrat Shaikh Sayyed Ahmad urfe Sultaan Sakhi Sarwar rahmatullāhi alaihi

(10) Hazrat Shaikh Zia-ud-deen Rumi rahmatullāhi alaihi (Delhi)

(11) Hazrat Shaikh Majd-ud-deen Muhammad Haaji Jajermi rahmatullāhi alaihi

(12) Hazrat Shams-ul-Aarifeen Shaah Turkaman Biyabaani Dehlawi rahmatullāhi alaihi

(13) Hazrat Shaikh Sayyed Qaazi Shahaab-ud-deen bin Muhammad al-Husaini rahmatullāhi alaihi

(14) Hazrat Shaikh Sayyed Mo’iz-ud-deen Abdaal Sandailwi rahmatullāhi alaihi

(15) Hazrat Shaikh Meer Sayyed Ala-ud-deen Jawarri rahmatullāhi alaihi

(16) Hazrat Shaikh Sharf-ud-deen Iraqi rahmatullāhi alaihi

(17) Hazrat Shaikh Muhammad Ibrāheem Ansaari rahmatullāhi alaihi

(18) Hazrat Shaikh Ahmad bin Zain Multani rahmatullāhi alaihi

(19) Hazrat Shaikh Sulaimān bin Abdullāh al-Abbaasi al-Hashmi rahmatullāhi alaihi

(20) Hazrat Shaikh Najeeb-ud-deen Ali bin Buzghash Shirazi rahmatullāhi alaihi

(21) Hazrat Shaikh Shams-ud-deen Safi Shirazi rahmatullāhi alaihi

(22) Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Shujah Mash’hadi rahmatullāhi alaihi

(23) Hazrat Shaikh Shaah Sharf-ud-deen Mahmood bin Husain Tastari rahmatullāhi alaihi (Shoukara / Iran)

(24) Hazrat Shaikh Muhammad Yemeni rahmatullāhi alaihi

(25) Hazrat Shaikh Ahmad rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria)

(26) Hazrat Shaikh Najm-ud-deen al-Taflisi rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq)

(27) Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Baghdadi rahmatullāhi alaihi

(28) Hazrat Shaikh Rasheed-ud-deen Muhammad bin Abul Qaasim al-Maqri al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi

(29) Hazrat Shaikh Ahmad Faarooqi al-Kabuli rahmatullāhi alaihi

(30) Hazrat Shaikh Izz-ud-deen Abul Abbaas Ahmad al-Faarooqi rahmatullāhi alaihi

(31) Hazrat Shaikh Auhad-ud-deen Haamid bin Abul Fakhr Kirmani rahmatullāhi alaihi

(32) Hazrat Shaikh Abdul Azeez urfe Urjun Shaah Suharwardi rahmatullāhi alaihi

(33) Hazrat Makhdoom Kamaal-ud-deen Yahyā Maneri rahmatullāhi alaihi

(34) Hazrat Shaikh Shaah Ni’amatullāh Wali Faarsi rahmatullāhi alaihi.

Aap ki Kitabein:

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi ki likhi hui kitaabo me “Awaarif-ul-Ma’arif” mashoor Hai

Aapka Wisaal:

Aap ka wisaal 1 Moharram 632 Hijri (1234 A.D.) me hua. Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Khwaja Auhd-ud-deen Haamid Kirmani rahmatullāhi alaihi ne padhai.

Shaikh Shadabuddin Umar Suharwardi ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me. Aur Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se

Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *